It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~**...For Senior Poet Members...**~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; /aoa Yeah mehfil adab ke mehfil hai.. aur iss mehfil kay kuch adaab hain.. jin ko malhooz e khatir rakhna.. ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| /aoa Yeah mehfil adab ke mehfil hai.. aur iss mehfil kay kuch adaab hain.. jin ko malhooz e khatir rakhna.. hum sab ka AKHLAAQI farz hai.. yeah baat jo mein kehnay jaa raha hoon yeah aaj teesri baar keh raha hoon.. aur bohat dukh kay saath keh raha hoon.. kay baar baar yeahi baat dohranay kay bawajood.... KUCH logoon kay kaaan pay joon nahi reengi.. un ke wohi Murghay ke aik Taang hai.. Ilfaaz shaid talkh hain.. magar kabhi kabhi behtari kay liyeah talkh hoona parta hai.. waisay bhi jab masla shajar ke baqa ka hoo tu aisa karna lazmi hoo jata hai.. !! Baat bohat mukhtasir hai.. hoota kaya hai keh humaray kuch bohat senior dost jin pay hum ko fakhar bhi hai.. woh aatay tu rooz hain aur bohat time online bhi rehtay hain.. dar'haqeeqat ghantoon online rehtay hain.. magar un kayee ghantoon mein jo woh online rehtay hain.. un ka sirf aur sirf aik hee maqsad hoota hai.. aur woh yeah kay sirf APNI hee POST pay REPLY kiya jaye aur uss ko ON TOP rakha jaye.. achi baat hai.. woh share kartay hain apna likha humaray saath.. magar baqi sab saathi bhi yahaan share karnay hee aatay hain.. aur being SENIOR poet/writer yeah un ka Ikhaalqi farz banta hai kay woh jahaan SIRF APNI POSTS ka reply karain wahaan baki dosray sathiyoon ke POSTs pay bhi reply kar kay un ke HOOSLA afzai karain.. ! Baat sharam ke hai.. magar kuch aisay hee aur baaz cases mein yeahi loug Yahoo aur MSN pay logoon ko khaas toor pay kehtay hain kay mein nay apni ghazal/nazam/nasar share ke hai us pay reply karain.. achi baat hai shaid kehna bhe chahiyeah.. magar jo dosray dost hain jo naye likhnay wallay hain.. iss tarhaan ke HARKATOON iss say un sathiyoon ke HOSLA SHIKNI hooti hai.. aur mein being Administrator yeah baat boohat baar wazeh ilfaaz mein keh bata chukka hoon.. kay humara bunyaadi maqsad naye likhnay waloon ke HOSLA AFZAI aur REHNUMAI hai.. na kay un ke HOSLA shikni.. woh bhi aisay OOCHAY HUTKANDOON kay istamaal kay saath...!! Koshish karain jahan aap apni post ko ON TOP aur sab say ziada REPLIES kay saath daikhna chahtay hain aur uss ko MAHEENO chalana chahtay hain ta kay uss pay 50 ya 100 replies hoon.. waheen pay jo dosray NAYE likhnay walllay hain un ko bhi aik reply kar kay un ke HOSLA AFZAYE karain.. aaisa karnay say aap ka QAD ghut nahi jaye ga.. !! Mein janta hoon.. hum kissi ko iss kaam kay liyeah MAJBOOR nahi kar saktay.. magar ikhlaqi toor pay yeah aik GIRI hoi aur bohat hee KHUD'GHARZAANA harqat hai.. mein batoor e khaas aisay tamaam sathiyoon ka NAAM nahi lay raha.. magar mein umeed karta hoon aisay tamaam saathi jo jaan boojh kay ya anjaanay mein aisa kartay hain ya kar rahay hain.. Aainda iss ka khaas khayaal rakhain gai...!! HallaGulla ka maqsad Fun aur Funkar dono ke tasheer aur rahnumai hai aur iss kay liyeah hum har mumkin koshish kartay rahay hain aur jab tuk kar sakay kartay rahain gai.. chahay humay iss kay liyeah un sathiyon ko naraz hee kiyon na karna paray jo yahaan sirf aur sirf APNI aur APNAY likhay howay QALAAM ke TASHEER kay liyeah hee atay hain aur phir iss maksad kay hasool kay liyeah logoon kay saath rawabit barhatay hain rishtay bhi gan'thay hain ta kay un ke TASHEER har mumkin hoo sakay.. Aisay logoon ke aisee bachgana harkatoon pay hansi tu aati hai par dukh bhi bohat hoota hai.. !! Umeed hai mairi payghaam aisay tamaam sathiyoon tuk sahee mafhoom mein pohanch chuka hoo ga... !! AUR WOH AAINDA ISS BAAT KA KHAAS KHAYAAL RAKHAIN GAI... Mazeed iss baray mein kuch kehnay ke zaroorat nahi hai.. Yeah post yahaan pay PIN & CLOSE rahay gi.. Ta kay logoon ko iss baat ka Ehsaas hoota rahay... aur jo in logoon ko nahi jantay un ko in ke Pehchaan bhi hoo sakay... aur umeed hai.. yeah ehsaas aur yeah pehchaan hee aik din TABDEELI ka bais banay ga. Naik Taman'naon kay saath.. Bohat Khush Rahiyeah.. Wa.Salam Administrator HallaGulla |