It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Poetry of Faisal Shahzad within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Zindage ka hasil hain Chand sookhay patey jo Un rahon par bikhrey hain Jin par hum tum chaltey they Hathon ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [10] |
|
#41
| |||||
| |||||
![]() Zindage ka hasil hain Chand sookhay patey jo Un rahon par bikhrey hain Jin par hum tum chaltey they Hathon main thamey haath Haath ab woh khalee hain Mairee qismat kee manind Ratain bhee ab kalee hain Mairee zulfon kee manind Door yeh zardee ho jaye Chaa jaye har soo nayee bahaar Tayer bhee jo thak baithey hain Ho jaain urnay ko tayaar Aa jaao agar tum aik baar Itnaa bas tum say kahtey hain Hum thak kar aankhain mond naa lain Faisal ! aur kitnaa intizaar ???
__________________ Last edited by faisal_Rwp; 03-13-2008 at 07:18 PM. Reason: Correction |
|
#42
| |||||
| |||||
![]() . Barish e sang e malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey FAISAL es dil kay hathon bohat majboor rahey Last edited by faisal_Rwp; 03-03-2008 at 02:57 PM. Reason: Text Addition |
|
#43
| |||||
| |||||
![]() Chal para hay yeh safar Mushkalain aatee hain aksar Yoon baton say naa jaye gee Qomon kee taqdeer sanwar Inqilaab jab bhee aataa hay Kat jaatey hain bohat say sar Adu ! yeh Pakistan Hay Shohdaa kee janon kaa samar Yeh kab aur kaisey badley gaa Islaam hay es kaa mahwar Hum nay seenchaa hay es ko Quaid nay boyaa thaa yeh shajar Kaat kay rakh dain gay woh haath Jo kaatney aain es kee jar Qatal , Gharat garee to hay Manzil pay pohanchain gay magar Har simat aman o mohabat hay FAISAL tum dekho gay yeh manzar Last edited by faisal_Rwp; 03-23-2008 at 06:08 PM. |
|
#44
| |||||
| |||||
![]() Yeh namumkin hay raiza dil, shikastaa jaan ho jaao Haan laikin tab, koi chot jab tum dil pay khao gay ! |
|
#45
| |||||
| |||||
![]() Yunhee badnaam nahee FAISAL Agar tum us ko dekho to Nigahon main khumaree hay Lahjaa bhee bharee bharee hay Sharaab e Ishq peetaa hay Mohabbat kaa jawaree hay Apnay Aap say lartaa hay Kisee larkee pay martaa hay Magar kahnay say dartaa hay Kay woh larkee naa thukraa day Yaa phir Us larkee kaa chahraa Aansuon say naa dhul jaye Agar yeh baat khul jaye Yaa ho saktaa hay woh larkee Mohabat kee shanawar ho Koi ho aur hee hastee Woh jis pay jaan nichawar ho To phir yeh toot jaye gaa Khushee say es kaa har naataa Samajh Lo ... Choot jaye gaa Tabhe to beqararee hay Es kaa din nahee kat taa Es par raat bharee hay Main aksar us say kahtaa hay Mohabat karney walon ko Kisee kaa dar nahee hotaa Tumhain Daawaa e muhabat hay To phir aakhir kyun dartey ho ?? To woh hans deta hay pal bhar Aur apnee nam aankhon ko Mairee janib uthataa hay Aur phir Jo kuch bataataa hay Main sun kar kaanp jaataa hoon Woh kahtaa hay ... Suno .. Aey Dost ! Main jeetaa es leye hon kay Mujhey ek aas rahtee hay Ek din aisaa aye gaa Mairey dil main hay jo larkee Woh mairey paas rahtee hay Woh kahtaah ay mairee sochain Usee ko sochawaatee hain Mairee neendain har ek shab main Usee kay khawaab dikhatee hain Koi bhee pal nahee aisaa Kay jis main saans aatee ho Aur us kee yaad naa aye Magar yeh bat sun lo kay Mujhay us say mohabat hay Bhaley woh mujh ko naa chahey Woh mairee zindaganee hay Mujhey woh RAB ataa kar dain Yeh UN kee meharbaanee hay Agar naa paa sakoon us ko To phir bhee gham nahee mujh ko Kay yeh dunyaa to fanee hay Magar yeh jaan lo aey dost Ek aisaa bhee jazbaa hay Jo har shay say muqadam hay Main dartaa es leye hoon kay Mairee saree mohabat say Us kee izzat bhaaree hay !!! Kay us kee izzat par mairee Mohabat , Jaan , waree hay !!! |
|
#46
| |||||
| |||||
| InshaAllah Am Coming Back Very Soon With Some More Designed Poetry Written By Me ... |
|
#47
| |||||
| |||||
| bahut accha kalam our designing hai,,,,hum apke khubsoorat kalam ka intezar karain ge,,,,,,,,, god bless u,,,,
__________________ Fazal Khan Marwat +92 300 77 81 437 |
|
#48
| |||||
| |||||
| Quote:
<><><><><><><><><><> <><> Pasandedgee par mashkoor hoon <><><><><><><><><><> <><> |