It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Poetry of Faisal Shahzad within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Jab shaam kay bheegay saye hon Koi ghar janey kee bat karey Hum ko kyun aisaa lagtaa hay Kaash apnaa ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [13] |
|
#31
| |||||
| |||||
![]() Jab shaam kay bheegay saye hon Koi ghar janey kee bat karey Hum ko kyun aisaa lagtaa hay Kaash apnaa bhee ek ghar hotaa Us apnay ghar kay aangan main Kayee piyaar kay deep jalatey hum Yaa phir ban kar, jaisey shabnam Ek piyaar kaa pair ugatey hum Yaa us kee chat ko jaan gagan Chandaa taron say sajatey hum Phir lait kar apney bister main Aur khol kar apnee aankhon ko Kitney hee khawaab Dikhatey hum Par aisaa to ab kuch bhee nahee Naa tum ho naa woh aangan hay Sarey mausam ab phagan hain Hain sard hawaain zard shajar Naa chaand hay naa tarey hain Har soo chaya andhiaaraa magar Tairee yaad kaa sooraj niklaa hay !!! Woh sooraj, dhaltee shaam aur main Yun sar ko jhukaayee baithey hain Tairee yadain, batain, piyaar, woh sab Seenay say lagae baithey hain FAISAL tum hee ab batlaao Jab tanhaa katna ho yeh safar Koi jaye phir kyun apney ghar Jahan apnaa koi naa rahtaa ho
__________________ |
|
#32
| |||||
| |||||
![]() Hum kabhi na kabhi mar jaain gay Jab tum mur kar dekho gay Tab hum nazar nahee aa'ain gay Khushiaan dhoondhatey dhoondhatey Dukh kitney uthaain gay Raah main aaney walee sab Mushkilon say takraain gay Phir bhee hum ko nahee yaqeen Tujh ko bhool jaain gay FAISAL es qisay ko hum Kab tilak dohraain gay Tu nay hum ko jaanaa nahee Piyaar humaaraa maanaa nahee Shayed tu hum ko samajh sakey Dil ko yeh samjhaain gay Hum kabhi naa kabhi mar jaain gay |
|
#33
| |||||
| |||||
![]() Sunsaan rahon par chaltey Dil sawaal kartaa hay Aaj kyun akailaa hoon ? Dil ko ab kiaa batlaain Khail yeh muqadar kay Kuch ajeeb hotey hain ! Dil main basney walon kay kab Sathnaseeb hotey hain ! Khail hum ek khailey they Khail hum woh harey hain FAISAL us kee chahat main Jaan o dil bhee warey hain Phir nahee milaa woh jab Tab khayal aayaa kay Main bhee kitnaa tanhaa hoon Mairee es tanhaee main Koi humsafar hotaa Main bhee ghar ko jaataa gar Mairaa bhee koi ghar hotaa Aisaa to par kuch bhee nahee Main hoon tanhaa rahain hain Jin par jab bhee chaltaa hoon Dil sawaal kartaa hay !!! |
|
#34
| |||||
| |||||
| wah wah wah ..... once again bohat piyaree shaereee
__________________ Mohabbat Karney Waley Kam Naa Hon Gay |
|
#35
| |||||
| |||||
| Quote:
ji done.. ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#36
| |||||
| |||||
| Shukriaa Dost ![]() |
|
#37
| |||||
| |||||
| Bohat Shukriaa ~~~~~~~~~~~~~KKM Sahiba |
|
#38
| |||||
| |||||
![]() Chalo kuch baat kartey hain... Us kay shaher main basar Hum ek raat kartey hain Sochtey hain sakoon apnaa Phir say dawaam paa jaye Zindagee main jo us kay sang Mayasar, shaam aa jaye Us kee hon, humaaree hon Mohabbat main sabhee batain Jo sab kay lab pay jaree hon Enhee baton kee khushbu say Hum apnee raat mahkaaain Us kay aariz o lab kee Zufashaanee say chamkaain Har ek tareek lamhey ko Jo us kay sang nahee beetaa Mohabbat khail baithaa hoon Magar us ko nahee jeetaa Ab yaadon main rahtaa hoon Jo us ko kah sakaa naa tab Woh sab batain main kahtaa hoon Kabhi ghazlon main, shayron main Shab kay aakharee pahron main Usee ko sochataa rahtaa hoon Jo koi dost aa jaye Usay itnaa hee kahta hoon Chalo kuch baat kartey hain.... |
|
#39
| |
| |