It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Poetry of Faisal Shahzad within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; After Islah ... New Version with some changes Bohat takleef hotee hay , bohat say dard sahtaa hoon Tumharee yaad ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [13] |
|
#11
| |||||
| |||||
![]() After Islah ... New Version with some changes Bohat takleef hotee hay , bohat say dard sahtaa hoon Tumharee yaad aye to , ghazal aur shayer kahtaa hoon Yeh mumkin hay naa samjho tum, mairey dil kee kahee batain Mairee shamain bhe tum say hain, tumhee ko saher kahtaa hoon Yeh ranjish hay, adawat hay, mohabbat hay, kay majbooree Tumharee yaad ka tarkash bhara hay, main nahetaa hoon Woh ghar thaa jis main jeenaa, main nay, tum nay, aur mohabbat nay Ab us tootey gharonday main faqat tanhaa main rahtaa hoon Mujhey toofaan kee mojon kaa koi dar nahee FAISAL Jafaa kay baher main ab be safeenaa khud he bahtaa hoon
__________________ |
|
#12
| |||||
| |||||
| Asalam o Alaikum Moderators .. Ap say request hay kay es thread kaa title.. change kar dain .. aur .. Poetry Of Faisal Shahzad kar dain Agar possible ho to.. Thanks ... |
|
#13
| |||||
| |||||
![]() Main tujh ay piyaar itnaa kartaa thaa Kah saka naa kuch bhee tujh ko kabhi Har ek sitam ko tere sahtaa gaya Main wafaaon kaa shanawar thaa, bahtaa gaya Kabhi naa harf e shikayat mairee zubaan nay liya Tere karam kaa, rafaqat ka, talabgaar raha Magar Ab sansain hain kam, waqt kee garanee hay Dil kay baher main, ghamon kee bhee rawanee hay Chalney lagey hain chor kar teree dunyaa FAISAL Kyun man main maire ubaal aataa hay Sookhatey , kanpatey labon pay yahee Ek, aakharee sawaal aataa hay Kia aisaa bhee hotaa hay kabhi ? Tairee aankhon kee chamak barh jaye Tairee sanson main mehak aa jaye Khilnay lag jain dil main tairey gulaab Rangeen hotey chaley jaain tairee aankhon main khawaab Jab kabhi sochataa hay tu mujh ko ! Jab bhee mairaa khayaal aataa hay !!! |
|
#14
| |||||
| |||||
| aapki 2nd poem bahut nice lekin aap agar is image ki jagah koi aur image usekarte tab aur bhi umda ho jati aapmi poem, image selection sab se zyada zaroorti hota hai, maine abhi tak hallagulla par zyada waqt nahi bitaya tha lekin ab main yahan kuchh waqt thahroonga
__________________ Meri Aankhein Padhkar Dekho Aankhon Mein Hain Khwab Bahut Dariya Hain Kitne chhote Chhote Lekin Hai Inmein Sailab Bahut |
|
#15
| |||||
| |||||
| Quote:
InshaAllah ... aaindaa khayal rakhoon gaa and welcome to HallaGulla.. |
|
#16
| |||||
| |||||
![]() Badaltee ruton main Woh bichraa musafir Phir yaad aney laga hay Mujh ko sataney laga hay Ho sard mosam To dhoop kee hidat Jaisey badan ko Daitee hay rahat Kuch waisey hee Tairee yadon kaa mosam Dil ko jalaney laga hay Man main mere Ek meetha sa dard Phir say jaganey laga hay Badaltee ruton main bichray musafir! Dekh humarey hathon main saghar Yeh saghar zamaney ko Dikhaney kay leye hay Tere hijar kee shidat say Apney qadmon kee larzish Chupaney kay leye hay Badaltee ruton main bichray musafir! Dekh humaree aankhon main aansoo Tere gham kee agnee Jalaye hay hum ko Yeh us ko Bhujaney kay leye hay Badaltee ruton main bichray musafir! Dekh humarey paon main chaley Jis dam say tu Bichraa hay hum say Es pal say hain Hum ek safar main Jis kee hay manzil Paa jaanaa tujh ko Yeh chaley safar kee Hain ek nishanee Yeh manzil pay Janey kay leye hain Badaltee ruton main bichray musafir! Dekh humarey dil main Bastaa hay bas tu Teree hee yadain Bikhree hain har soo Sehar main hay tu Shaam main hay tu Din main hay tu Raat main hay tu Soch main hay tu Dhiaan main nay tu Hosh main hay tu Giaan main hay tu Humray jevan main Jaan main hay tu Humare izat Aan main hay tu Tu hee hay dunya Jahan main hay tu Tu hay pahchaan Nishaan main hay tu Hum nay jo tujh ko Rakhaa hay dil main Yeh khud ko Jeye janey kay leye hay Badaltee ruton main bichray musafir! Mohabat main hum nay Ganwaayaa thaa khud ko Magar hum khush they Kay payaa hay tujh ko Jab tu nay choraa Saath humaaraa Jab tu nay thukraayaa Haath humaaraa Tab say howee hay Andhair dunyaa Yeh jo hay tujhey Sochanaa humaraa Yeh shairon main Ghazlon main Tera Zikr karnaa Yeh FAISAL junoon kay Hain sab karishmay Baharon main Sehraaon ko safr karnaa Khizaaon main Gulshan ko ghar karnaa Badaltee hay rut to Satatee hay hum ko Yeh tere yaad Dilaney kay leye hay Esee leye to Badalte ruton main Woh bichraa musafir Phir yaad aney laga hay |
|
#17
| |||||
| |||||
![]() Barishain rooth jatee hain Kisee ko naa mananey par Kisee kay yaad aney par Yeh phir rimjhim barastee hain Bohat nuqsaan kartee hain Tab pale kuch nahee rahtaa Tabhee to tum say kahtaa hoon Mohabbat tum nahee karnaa Tum es qazye main mat parnaa Agar tum ruk na pao to Khud ko mohaan mat karnaa Mohabbat ko anaa kay but pay Tum qurbaan mat karnaa Kyunkay Mohabbat zindagee kay dukh kaa Dil ko baar daytee hay Agar tum jeetana chaho Tumhain yeh haar daytee hay Jo sar ko tum jhukaa do gay Tumhain yeh piyaar daytee hay FAISAL rakhnaa tum yeh yaad Mohabbat mar nahee saktee Mohabbat maar daytee hay |
|
#18
| |||||
| |||||
![]() Adhooree sanson kaa safar Adhoray khawabon kaa nagar Hum nay gee kar dekh liaa Adhooree zindagee milee magar Ashk aankhon main aayen to Dhundalaney lagtey hain manzar Halankay barkhaa sawan main Khil say jatey hain shajar Yeh jo tum khush khush rahtey ho Mairee chahat kaa hay sab asar Main tum say piyaar kartaa hoon Tum hee ho ab mairaa mahwar Kaanch say hain jazbaat mairey Toot kar jaain naa bikhar Mohabbat kee es bazee main Tumhain jeetain gay , harey gar Yahee FAISAL ab khawahish hay Umar ho terey sang basar |