It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on phir beshak raah badal laina:( within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; ASALAM-O-ALAIKUM doston aaj pehli bar ek ghazal k sath aap logon ki bazm mein shareek ho rahi hon umeed hai ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| ASALAM-O-ALAIKUM doston aaj pehli bar ek ghazal k sath aap logon ki bazm mein shareek ho rahi hon umeed hai aap ko pasand aayegi , or ager kahein islah ki zarorat hoi to aap loog plzz mairi islah kar dijiyega ghazal paish-e-khidmat hai kuch door to maire sath chaloo phir beshak raah badal laina kuch pal tum maire sath raho, phir beshak raah badal laina kuch dair to thamo maira hath, kuch dair raho tum maire pass yeh yadeein mujh ko tum dedo, phir beshak raah badal laina auron k sath to rehtey ho, auron ki suntey, kehtey ho do batein mujh se bhe kar lo, phir beshak raah badal laina kaandhey pe tairey sir rakh lon, aankhon ko apni band kar lon palkon ki chilman girne do, phir beshak raah badal laina q mujh se chup k rehtey ho? q dil ki baat na kehtey ho? jo dil mein hai wo keh dalo, phir beshak raah badal laina jo tum kehtey na kehti hein q aankhein sath na daity hein? yeh aanson bhe apne chun loo, phir beshak rah badal laina bin tairey ji na paongi mein matti mein mil jaongi maire maiyat ko kaandha daina, phir beshak rah badal laina ![]() aap ki aa'ra ki muntazir FG
__________________ Fr!sKy_G!rL Last edited by Fr!sKy_G!rL; 05-20-2006 at 06:03 AM. |
|
#2
| |||||
| |||||
Cooooooooooooooooooo ool!!!!!!!!!!!!!!!!! !! I am really imprest! wah kya Baat hai app ki Sis!(flowers) Carry on! very nice sharing! ![]()
__________________ SiTaRa (*) |
|
#3
| |||||
| |||||
| w-salam wow very nice thanx for sharing @};-
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Kaisay kaisay log, hamaarey dil ko churaaney aa jaatey hain, apni apni ghazlain likh kar hamein sunaaney aa jaatey hain, ,,,,, Bohat acha likhe hay jee, kaafi rythem aur nafaasat nazar aai, Allah karay zor-e-qalam aur ziyaada, jeeti rahiye, khush rahiye, hansti muskraati rahiye. musafir
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Bohot achchhi ghazal kahii hai aap ne FG ... Daad qubool keejiay ![]() Qassim Mirza :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Khoobsorat Ghazal Kahi Aap Ney Khush Raheyey Sadda=d>
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| phir baishak rah badal laina... wahhhh... bohat hi dilkash ghazal hai fari... kia hi kehnay ...poets club maiN welkom @};-umeed hai aainda bhi likhti aur share karti raho gi ![]() khush raho
__________________ ![]() . . . Mere dil.. Mere musaafir..! |
|
#8
| |||||
| |||||
| bohat khoob ghazal likhi hai chanda ..... ![]() likhti raho ... khush raho ....... @};- |