It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Palat K Waapsi Ka Ab Koi Rasta Nahin Baaqi within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; assalam alaikum doston kaafi dino k baad apni aik nazm aap k sath share kar rahi hon hamesha ki tarah ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [12] |
|
#1
| |||||
| |||||
| assalam alaikum doston kaafi dino k baad apni aik nazm aap k sath share kar rahi hon hamesha ki tarah aap sab ki qeemti aara ka intezaar rahega palat k waapsi ka ab koi rasta nahin baaqi nigahon mein jo roshan thi woh qandeelain dhuwaan hain ab lahu mein daurti us pyaas ki shiddat sawa hai ab k jis shiddat ne mere har taraf ik jadui manzar banaya tha chamkti aab khushboo aur ghanay pairon ka saya tha jahan tum the tumhari chahton ka abr chaya tha magar mera qadam partay hi sab manzar hue ojhal na khoshboo thi na saye the na teri aankh mein chahat ka darya tha chamakti dhoop ki shiddat sulagta jalta sehra tha humari ruuh pe bas aablon ka jaal phaila tha humaray pair zakhmi they humaray hauslay bedum ukharti saaans aankhon mein jalan lekin palat k waapsi ka ab koi rasta nahin baaqi jala kar kashtiyan saari hum is sahil pe utray the..... |
|
#2
| |||||
| |||||
| palat ke wapsi ka ab koi rasta nahi baqi.. wahhhhhhh.. kya kehnay... MashaAllah Allah ne ap ko bepanah salahiyaton se nawaza hai ..inhen baroo-e-kaar laati raha kijiye.. likhti rahiye aur share kerti rahiye.. nazm bohat myari hai.. daad qabool kijiye.. ![]() wafa aur dua ke saath withlove ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#3
| |||||
| |||||
| wah wah wah kai kehnae hain jala kar kashtian sari ham is sahil pae utre thae ...... aap kae alfaaz or alfazon main ayan haqiqat aap ki umda or alla soch or wasi-o-arieez tor par pheltae huwae takhaiyal or khwahishon kea lazat bharat un lamhaat ki akasi karti hae kae jinko bhoolna asan nahin ........ waise mera naam afzaal hae pakistani hoon lain dubai main settle hoon jab kabhi tanhayaion kae samndar main apna safeena akail nazar ayae to kisis na kisi tarhan apnea app ko masroof rakhta hon or aksar aiseae main yeh site kholta hoon ,,,appki poetry parhi bara acha laga ...mola aap kae qalam ko itni taqat dae kae apnae alfzanon sae hamarae dard chun chun ke kaghaz kae seenae pae utartae rahen or mehfooz kartae rahen kion kae yeh alfaaz ..wo moti hain jo dil ki ghehraion main miltae hian ..... well done buhut aumdah agar ho sakae to mujhe apni khaas collection bahaijen (al_afzaal72@yahoo.c om..or afzaal_72@hotmail.co m |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
aap k jaisay achay shair ki daad mere liye bahot maanay rakhti hai jazakAllah bahot saara |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
bahot saara jazakAllah itni hausla afzayi aur itni purkhuloos duaon k liye...Allah Paak aap ki har pareshani har ghum ko duur kar de aur aap ko sukoon aur sachi khushiyan ata kare aameen agar ho sakae to mujhe apni khaas collection bahaijen aap ko ye collection meri apni likhi hui shairi ka chahiye ya meri pasandeeda shairi ka? |
|
#6
| |||||
| |||||
| wah wah.......bohat khooob........kia kehny jitni tareef ki jaye kam hai...very nice thinking.....zabr10 iss khobsurat nazam k liye bohat si dad kabool kijiye........ sada khush rahiye...... |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bohut umdaah aur khoobsorat nazam aapo kam kam likhtii heyn per kamaal likhtii heyn khush raheyey sadda ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#8
| |||||
| |||||
| wawawawa je awawa ...... khubsurat kawish hey ......... dad qabool karin ... ![]()
__________________ ![]() |