It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on My New Ghazal: Waheed Akhtar Wahid within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; app ki ghazal aur nazam dono bohat khub hain lakin kia ye behtar neigh ke app aik aik ker ke ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#11
| |||||
| |||||
| app ki ghazal aur nazam dono bohat khub hain lakin kia ye behtar neigh ke app aik aik ker ke inahien post kerian readers ko zayda lutaf aay ga..............than ks |
|
#12
| |||||
| |||||
| Shukria yasmeen g, Main nain to yeh do posts hi kee theen, post kay magar rules ko follow karnay kay liey faizan sb nain dono mearge kar dee theen ![]()
__________________ Khair Andesh, Waheed Akhtar Wahid Cell: +92.321.427.0776 Find All of My Posted Poetry Here... |
|
#13
| |||||
| |||||
| Waheed Sahb tanqeed bardasht karna balke tanqeed ki dawat dena ..... wah..... baray haoslay aor mardangi ki baat hay... is bat par dher sari daad wusool kijiay.... aap ki nazm meri samajh mein nahin aai is mein sara sar meri kam fehmi ka qusoor hay... albatta ghazal par baat ki ja sakti hay.... pehla shear ham ahl-e-junoon ko masti ka jab jaam pilaya jaey ga... lekan kia mast hona junoon kay baad ki koi manzil hay....? doosra shear "waqt pe sakta" waqt pe sakta nahin hota waqt rukta nahin hay "har lash girai jaey gi" zara sa ghaor kijiay ga..... lash ko matlab pehlay say qatl shuda lash ko youn ba aihtmam giranay ki zaroorat nahin hoti... boht si lasahin girai jain gi... ya boht say logon ki lasain girai jain gi.... har lash ka matlab hay ke jitni bhi lashain hain sab girai jain gi.... teesra shear shaoq-e-wafa main bhool gaey..... matlab wafa mein itnay magan huay ke yeh bhool gaey... to jo pehlay hi wafa mein itna shraboor hay woh deed kay maron ko pehloo say door kioon rakhay ga.... waisay aik baat aor hay ke deed kay maron ko pehloon mein bethnay say itna faida nahin hota jitna ru-broo bethnay say hota hay... Chhatta shear dekhiay agar sang trash waqaee sang shnas bhi hay to yeh us ki azafi khoobi hay isay tanqeed ka nishana nahin bnana chahiay... yeh to boht achi baat hay ke aik shakhs jis ka naam azar hay woh sang trash hay aor saath saath sang shnas bhi hay usay pata ke kis qabeel kay buton keliay konsa pathar munasab rahay ga to yeh us ki fankarana slahiyyat hay.... bahar haal doosra misra ..... ohho yeh kia aap nay to qafia hi badal dia lihaza yeh shear is ghazal ka nahin raha... aakhri shear acha hay agar doosra misra youn karlia jaey ke hamain dekh kay tum say chehray par parda na giraya jaey ga..... kioon k chehray say parda girana aor chehray par parda girana mukhtalif soortain hain... bahar haal bura mat maniay ga.... aap ko haq hasil hay ke meri ghazlon par bhi tanqeed kijiay ta ke bahmi naqd-o-nazar say sab mustafeez hon... aap ka bilkul apna azam
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#14
| |||||
| |||||
![]() Dua kay saath 1- ham ahl-e-junoon ko masti ka jab jaam pilaya jaey ga... lekan kia mast hona junoon kay baad ki koi manzil hay....? Yahan lafz hai "ahl-e-junoon", matlab yeh keh janooni, aur janooni jab masti main aata hai tabhi us ak janoon jaagta hai Phir muhawara tan LASH GIRAYE jaati hai. Lash Giran matlab Qatal Karna. Phir Lash say muraad "Bay His" log bhi hotay hain. 2- doosra shear yahaan lafaz "sakta" typing ki ghalti hai, yeh lafaz hai "larza" (shukriya tojeh dilanay ka) 3- teesra shear yahaan lafaz wafa bhi typing ki ghalti hai, yeh lafaz hai "jafa" (shukriya tojeh dilanay ka) main aksar oqaat lines doosari composing say copy/paste karta hoon, to baaz oqaat lafat rehjaatay hain 4- App azar ki taareekh parhain to maloom ho ga keh wo Hazrat ibraheem kay walid ka naam tha jo but trashtay thay aur baar baar tawajeh dilnay kay drstage ki taraf nahin aye... Aur waisay bhi puranay dor main behtareen sang tarash ka behtreen sang shanas hon bhi lazim-o-malzoom tha 5- Rehnay dain aisay hi.. wo final nahin hai abhi tak (jab final hoga to update kar doon ga) Balkeh mustaqbil main, main zer-e-ghor shair ko sirkh kar diya karoon ga Number 2 aur 3 ki typing update kar raha hoon Balkeh main nain aik misra behtar kar diya hai "Jahan bin dolat insaaf naihn" ko main nain kar diya hai "jahan muflis ko insaaf nahin" Bohat bohat shukria dobara tanqeed ka.... Yeh mujhay zinda rkhti hai, kyoon keh main shairi waqt guzari kay liye nahin karta, main is main dwaam chahta hoon. aap kay jawab ka intazaar rahay ga... Last edited by waheedakhtar; 05-11-2008 at 11:31 AM. |
![]() |
| Tags |
| nazam, ghazal, waheed akhtar wahid, poem, shikasta khab |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| raa'ay shumari bra'ay Muqabla-e-Terhi Ghazal (May 07) | WanderingThoughts | Urdu Poet Club | 11 | 05-31-2007 10:16 PM |