It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; dosto ujlat amin kahi gai aik tarhai ghazal paish e khidmat hay umed rakht hun k ap logon ko pasnd ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#41
| |||||
| |||||
| dosto ujlat amin kahi gai aik tarhai ghazal paish e khidmat hay umed rakht hun k ap logon ko pasnd ay gi. aap ki tankeed o tabrik ka muntaazir rahun ga......... " wafa main ab yay hunar ikhtiar karna hay diyay ke lo' ko hawaon say piar karna hay udas hona hay khud bhi teri judai per tujhay bhi abb kay bohat bayqarar karna hy tamam umr ye karwat nahin badalni hy tamam umr tera intizar karna hay ye gham nahin ky hmain phir faraib he ho ga ghazab to ye hay tera aitbaar karna hay... chamk rahay hain charagon ki ankh main ansoo hawa ko aaj bohat sogwar karna hay........ andhairi jheel hy,khamoshian hain,jungle hay or jugnuon pe mujhay inhisaar karna hay aboor karna hay ik rasta musafir ko or aik fasala sooraj ko paar karna hay adoo ki taigh ko taskheer kar lia main nay ab apny khun ki khushbo sy waar krna hy ye keh rha hy hawa ka mizaj patjhar say kay janglon main bapa intishar karna hay zaban dayni hay ya dil udas naslon ko ye faisla bhi sere shakh e daar karna hay khulay huay hain sabhi ablon ky mu'n mazhar`` lahoo ko raqss e sir e nok e khaar karna hay.... (Mazhar Naqvi) |
|
#42
| |||||
| |||||
| muqabla-e-tarahi ghazal ke liye meri ghazal qubul kijiyega " wafa mein ab ye hunar ikhtiyar karna hai woh bewafa hi sahi,phir bhi pyar karna hai balandiyon pe mere housale hon, mere khuda khizan ki rut ko badalkar bahar karna hai unki ahat hameysha gunjati hai aangan mein tamam umr hamein intazar karna hai woh dur ho to khatakti hai judai unki woh paas ho to shikwe hazar karna hai woh din ko raat bhi kah dein to koi baat nahin hamara kya hai hamein eitbaar karna hai hamari neende udana tumhara kaam sahi hamara shagl bhi taare shumar karna hai qadam qadam pe teri rahmaton ka saya ho qadam qadam pe tujhe hamkinar karna hai ----------------vibhavan----------------- |
|
#43
| |||||
| |||||
| Assalamualaik, aik adna si kavish,,, jamaal e yar ko ab aashkar karna hai khizan raseeda chaman ko bahar karna hai "wafa mein ab yeh hunar ikhtiar karna hai" tumhari yad sey dil waguzar karna hai merey khilaf saf aara hein yar bhi merey to sochta hoon mujhey kis pe war karna hai isi zameen ki nisbat sey mu`tabir thehrey isi zameen` ko hamein lalazar karna hai jo ahl e dil hain usey shairy bhi manein gey hamein to tazkira e husn e yar karna hai yeh kya kamal ke yaron pe jan ho qurban maza to jab hai adoo sey bhi pyar karna hai wo jis kay honey sey sara jahan mera tha jahan sara usi par nisar karna hai jo teri bazm mein kartey hain dawa e ulfat meri wafa ney unhein sharmsar karna hai wisaal e yar ki khatir muheeb darya ko ghara hai kachcha to kya phir bhi par karna hai Allah hafiz
__________________ Yadash Bakahir ham bhi aadi thay dil lagi kay Ab khwab ki hain batein qissay thay jo kabhi kay |
|
#44
| |||||
| |||||
| Aziz saathio diyay gaey misra-e-tarah par meri mamooli si koshish bhi aap ki nazr hai. Nihan hai jo bhi yahan aashkar karna hai hadon mein rakhna nahin beykinar karna hai hua na kuch bhi buhat khak ura kay daikh liya ab us ki raah mein khud ko ghubar karna hai nidhal kar diya is hijr ki musaafat nay aur aagay dast-e-rafaqat bhi paar karna hai hamaray dil ki bhi tauqeer kuch khulay us par "wafa mein ab yeh hunar ikhtiar karna hai" naey siray say jala kar diyay umeedon kay ab un kay gird hawa ka hisaar karna hai kara hai marhala darpaish aur us pay sitam keh apnay aap par ab aitebaar karna hai |
|
#45
| |||||
| |||||
| "wafa maiN ab yeh hunar ikhtiyaar kerna hai" jo pyar mujh se karay uss se pyar kerna hai khushi maiN jis ki bhula bhet-thaa tha apnay gham usii ko ab ke bohot beqaraar kerna hai hai kaun jis ko kahooN aithbaar ke qabil? kisi pe kiya! apnay pe aithbaar kerna hai! maiN kis ke dar pe chalooN? kiya samajataiN kerlooN? khazaaN jo dil mian hai uss ko bahaar kerna hai! woh ab ke jesay kabhi saamnay na ayega hamesha chupkay hi se uss ne waar kerna hai
__________________ Ihsan Elahi Last edited by silent_wishes; 05-21-2008 at 08:57 PM. |
|
#46
| |||||
| |||||
| wafaa maiN ab ye hunar ekhtayaar karna hai dil kee lagee zabaaN se ezhaar karna hai sitaaroo se aage phir banayeN ge jahaN pahle diloN ko hamwaar karna hai dil tang huye to ghar kushada hogay bacho ki aahat ka ab intazaar karna hai bisaat e bakht ki chaal samajh saka na koi bekar apnee tez raftaar karna hai kab bahee hai hawa mange ki rut per ek din to naao is paar,uspaar karna hai |
|
#47
| |||||
| |||||
| muqabla-e-terhi ghazal (May 08) meiN aap sab ahbaab ki participation ka bohat shukriya, ab ye thread close ki jati hy aur jald hi aik naei thread judges ki marking k liay laga di ja'ay gi. hmaiN afsoos k sath batana paR raha hy k member: nageen ki entery Post # 26 contest meiN shamil nahiN ki ja sakti, because ye muqabla ghazal ka tha, aur in member ki taraf se nazm mosul hui.
__________________ ![]() Last edited by WanderingThoughts; 05-22-2008 at 07:09 AM. |
![]() |
| Tags |
| tarahi, muqabla, may, ghazal |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| natija muqabla Baitbazi.............Jnuary2008 | Noor-al-sabah | Bait Bazi | 12 | 02-09-2008 01:39 PM |
| Raye shumari baraye muqabla-e-ghazal goi... Jan-08 | kanch ki mehroo | Urdu Poet Club | 4 | 02-01-2008 10:11 PM |
| Muqabla bait bazi ...........January2008 | Noor-al-sabah | Bait Bazi | 224 | 01-31-2008 08:01 AM |
| Polling Ghazal Contest Jan 2008 | ~ HijR ~ | Ghazal | 14 | 01-29-2008 02:40 PM |
| Ghazal Contest for the Month of January 08 | Asifa | Ghazal | 26 | 01-20-2008 01:47 AM |