It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; wah boht "lazeez" behs paRhnay ko mili.... bahar haal aik baat hay........ agar singing kay tareeqay say wazn sahih ho ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#21
| |||||
| |||||
| wah boht "lazeez" behs paRhnay ko mili.... bahar haal aik baat hay........ agar singing kay tareeqay say wazn sahih ho sakta hay to boht achi baat hay lekan mera mashwara hay ke tarz banatay huay asatiza-e-ghazal ko hi zehn mein rakhna chahiay na ke malkoo aor Jazzi B ko ..... maslan GuloN mein rang bharay bad-e-naubahar chalay. kiya hay piar jisay ham nay zindgi ki tarah wo aashna bhi mila ham say ajnabi ki tarah buray naseeb meray vairi hoya piar mera nazar mila kay koi lay gya qrar mera. kabhi kaha na kisi say teray fsanay ko najanay kaisay khabar ho gai zmanay ko. to kia yeh tay hay ke ab umr bhar nahin milna to phir yeh umr bhi kiooN tum say gar nahin milna. waghera waghera khush rahiay aor aisay hi khush kartay rahiay.... aap ka bilkul apna azam
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
| The Following User Says Thank You to azam_hfd For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#22
| |||||
| |||||
bohat achi baat ki aap nain azam sb. Agar JazziB ya Malkoo ko ghazal liktay wqat zahan main rakha jaye ga to ghazal ka PHALOODA ban jaye ga aur likki gayee ghazaal kuch aissi ho geAaaAAAA, Thaaa, hummm, pyaaaar hai eee, cheeen, paaaan, thusss, aaaj kis ka intzaar hai aik misra lamba, aik chota aur bay maani ![]() |
| The Following User Says Thank You to waheedakhtar For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#23
| |||||
| |||||
![]() Iss micre ka naam hai Behr Mujtas Musamman Makhbuun Maqsuur aur iss ka wazn kuch youN hai: (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - laa - tun) (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - lun) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2 - 2) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2) (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - laa - tun) (Ma - faa - i - lun) (Fa - lun) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2 - 2) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 2) Iss maah ka tarhii micra, taqtee ke saath: (Wa - faa - meN - ab) (yeh - hu - nar - ikh) (ti - yaa - r - ker) (naa - hai) (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - laa - tun) (Ma - faa - i - lun) (Fa - lun) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2 - 2) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 2) Jo micra Azam_hfd bhai ne micaal kii taur per dia hai woh Faiz Ahmed :Faiz: saahib kii ghazal ka aik shair hai: GuloN meiN rang bhare baad-e-nau-bahaar chale Chale bhii aao ki gulshan ka kaar-o-baar chale Yeh shair iss behr per baandhaa gaya hai: (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - laa - tun) (Ma - faa - i - lun) (Fa - i - lun) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2 - 2) (1 - 2 - 1 - 2) (1 - 1 - 2) Umeed kerta hu iss se dosto ko kuch madad milaygii ![]() MuKhlic, Qassim Mirza Ali :Qassim:
__________________ ![]() Last edited by :Qassim:; 05-12-2008 at 02:04 PM. |
| The Following User Says Thank You to :Qassim: For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#24
| |||||
| |||||
| As-Salam-O-Alaikum, Main Taranum kay saath shair kehnay kay Tutorial per kaam kar raha hoon, jo jald hi post karoon ga... |
| The Following User Says Thank You to waheedakhtar For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#25
| |||||
| |||||
| Quote:
![]()
__________________ ![]() |
| The Following User Says Thank You to :Qassim: For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#26
| |||||
| |||||
samandar main sahary ka aetbaar karna hai wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai kay tujhy deakhy bina hi tujh main khin kho jaoun kay talaash karna bhi chahoun to na kar paoun k teri deed ki talaash main kahin door jo jaoun kay kisi kay bulany par kabhi lout na paoun kay jesay umer bhar kisi ka intezaar karna hai wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai main manind,e, parwaana shamma say lipat jaoun kay titli ki tarhan phooloun k gird mandlaoun,,,,,,, main gulshan main jugnou ki chamak damkaoun ya sehra main kahin door paani ki chamak paoun mujhy youn hi teri neamatein shumaar karna hai wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai ab jis jagah say takht,e, suleeman ka hai guzar ab is jagah say sheahr,e, saba ka deedaar karna hai ab raah kho chuki hai musafat ki dhund main ab dasht,e, aabla paa tujhy paar karna hai ab kaatib,e taqdeer ko khud ka parastaar karna hai wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai ous nay kaha k lougoun k darmiyaan main houn ous nay kaha kay sab say aashna bhi houn,,,,,,, ous nay kaha kay tere liye meharbaan bhi houn us nay kaha kay dunya say ayaan bhi houn,,,,, phir bhi aye jalwa gar tera deedaar karna hai wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai,, deedaar ,e, khuda by nageen |
| The Following User Says Thank You to nageen For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#27
| |||||
| |||||
| ڈوب آگ کے در یا کو پار کرنا ہے ہر ایک دستور زمانہ کو تار کرنا ہے وفا میں اب یہ ہنر اختیار کرنا ہے خود اپنے ہی قاتل سے پیار کرنا ہے نگا ہ ناز کے تیروں کے مقابل ھے جگر کتنے لگتے ہیں کس نے شمار کرنا ہے گھنیری زلف کی شوخ بجلیوں کی قسم ھے آشیانہ میرا جہاں تونے وار کرنا ہے اس کا ایک بھی وعدہ وفا ھوا نہ کبھی مزاج دلگیر کو مگر اعتبار کرنا ہے گلوں میں رنگ بہاروں کی آمدیں عمران میرا نصیب مجھے انتظار کرنا ہے M. Imran Ansari |
| The Following User Says Thank You to mdimran_ansari For This Useful Post: | ||
MEHIR_GULL786 (05-14-2008) | ||
|
#30
| |||||
| |||||
| Mehroo Sahiba Mind Na Kijye Ga Main Aap Se Puchna Chahata Houn K Ye Mehroo Naam Aap Ka Qalmi Naam Hai Ya Asli Mujhe Zroor Batayei Ga Mujhe Ye Naam Bohat Acha Lagta Hai Is Liye Puch Raha Houn Please Mujhe Is Id Per Inform Kijiye Ga ......mehir_gull786@ yahoo.com |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| tarahi, muqabla, may, ghazal |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| natija muqabla Baitbazi.............Jnuary2008 | Noor-al-sabah | Bait Bazi | 12 | 02-09-2008 01:39 PM |
| Raye shumari baraye muqabla-e-ghazal goi... Jan-08 | kanch ki mehroo | Urdu Poet Club | 4 | 02-01-2008 10:11 PM |
| Muqabla bait bazi ...........January2008 | Noor-al-sabah | Bait Bazi | 224 | 01-31-2008 08:01 AM |
| Polling Ghazal Contest Jan 2008 | ~ HijR ~ | Ghazal | 14 | 01-29-2008 02:40 PM |
| Ghazal Contest for the Month of January 08 | Asifa | Ghazal | 26 | 01-20-2008 01:47 AM |