It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muqabla-e-Mazahia Ghazal ~*~Eid -ul-Azhaa Special~*~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; As-salam-o-alaikum Dosto!!! jesa k ham sab janty haiN k December meiN Eid-ul-Azhaa aa rahi hy, so baqr-Eid ki khushioN ko ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| As-salam-o-alaikum Dosto!!! jesa k ham sab janty haiN k December meiN Eid-ul-Azhaa aa rahi hy, so baqr-Eid ki khushioN ko dobala krny k liay is baar muqabla-e-mazahiya ghazal ka inaqaad kiya ja raha hy... yaani samjhi'ay k is baar aap sab ki his-e-mazaah ki aazmaish hy ![]() so apni merzi se qaafia, radeef, zameen aur behr sellect kijiay aur aik khilkhilati hui hansti-muskurati hui ghazal keh daali'ay... Muqably meiN shirkat ki last date 21st December 07 hy. aur jesa k ham janty haiN k Eid bhi inhi dates meiN aa rhi hy, so judges se advance guzarish ho gi k wo EID ki masroofiat se faraghat paaty hi apny faisly se aagaah kr deN. inshaAllah 1st January 2008 ko winner announce kr diya ja'ay ga... Last edited by WanderingThoughts; 12-04-2007 at 07:21 AM. |
|
#3
| |||||
| |||||
| chupke chupke raat din uska bartan manjvana yaad hai humko ab tak kaprey dhonay ka woh zamana yaad hai dopehar ki dhoop mein kaprey sukhanay kay liye woh mera kothay pay bhi nangey panv jana yaad hai Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping woh mera meri biwi say, ATM card chupana yaad hai saas sasur ki dostoN ab kiya sunaoun daastaaN sasuraal na janey ka mujhey har ik bahana yaad hai daaru pee kay jab bhi ghar mein aana para mujhey woh mera daantoN taley, ilaichi chabana yaad hai dekh liya jab bhi kabhi rastay mein kissi dusri larki ko Biwi kay ghussay ko deikh kar mera thartharana yaad hai waqt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai mujhey biwi kay purse say car ki chaabi churana yaad hai second show deikh kar woh mera raat ko ghar dair say Aana Biwi ka ghussay say darwaza na kholna yaad hai Jub Kabhi Ittefaqan taway pey roti jal janay par woh mera tere belan say sir phatwana yaad hai Jub kabhi tujh say teree umar poochnay per who tera duppatay main Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaaad hai Apni umar chupanay kay liye who tera munnay ko peetna Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai haftey baad hi moun utha kar meikey chalay jana tera aur mera ghar mein jharu pochaa lagana yaad hai kheench lena woh tera salary ka lifafa dafataan aur tera beauty parlor pay woh paisay urana yaad hai yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey peetna aur baad pitney kay tera woh iodex lagana yaad hai aaye din saley saliyooN ka aana ghar pay mere woh tera unkey samney mujhey murgha banana yaad hai shukr hai 'HumTum' teri shaadi nahi hui abhi shaadi shuda YarooN ka woh, rona rulana yaad hai !! |
|
#4
| |||||
| |||||
| Tu paapee hai tiree khwaahiSh hai daaman meN savaab aa'ay Magar kehta hai dil teraa hijaabii be.hijaab aa'ay Nijas uss muNh se laytaa hai meri betii ka tuu jo naam Dua hai khaak uss muNh meN tere bhii be.hisaab aa'ay Hifaazat ab mere eemaaN kii Maalik hee kare logo! Kii fermaa'iSh thi Zam Zam kee woh layker haiN sharaab aa'ay Manaa kitnaa kiya maiN ne kahaaN sunte sasur jee haiN ZameeN per gand phailee thee pah woh pehnay juraab aa'ay Khuda e Lam.yajal tuu hee bataa yeh maajraa kya hai Bajaa'ay sang k waaN se miree jaanib gulaab aa'ay Najaane kaunsii aunty ne inko aaNkh maarii hai? Ke peerii meN bhii buDDhay per bahaar aa'ay shabaab aa'ay Jo sar apna jhukaa'ay hai, kahe roker wahii ganjaa Sharaafat hai kahaaN kee yeh ke tohfay meN khizaab aa'ay Mujhay khaao naheiN PUCCA ke hooN mazloom saa panchhii Tumhaarii bhook kee khaatir mujhee per kyuN azaab aa'ay? DIYA aapii na poochhaiN yeh "bataao hai kahaaN teetar?" Usay PUCCA ne khaaya hai thay din uss k kharaab aa'ay Meray duShman kii her murGhii ne sonay kay diay anDay Merii murGhii se aa'ay jo sabhii anDay kharaab aa'ay Ghareebii ka yeh aalam hai ke sabzii per guzaaraa hai Terii qismat meN aay dur: najaane kab kabaab aa'ay ... |
|
#5
| |||||
| |||||
| Aaj tak woh band baje shaamiyana yaad hay Khud ko itni dhoom se sooli chaRhana yaad hay Teen moqay bhi diye qazi ne GHor-o fikr ke Aaj tak who qeemati moqay gaNwana yaad hay Aik nah kafi thi her muskil se bachne ke liye hum ko haN ka faislaa who ehmaqana yaad hay ghar jise laye the hum roti pakane ke liye ab pakati hay hameN us ka pakana yaad hay nah silaee janti hay nah cooking maloom hay haN oose shohar ko ungli per nachaana yaad hay uski her ik baat per kehna hi paRta hay ‘bajaa’ is tarah ooska hameN barsoN bajana yaad hay mantay heN hum logoo hadesaa hoga shdeed kiyon keh hum ko waqeaa itna puranaa yaad hay |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#7
| |||||
| |||||
| ye ho gaye kia haalaat SADAR sahb ik kero muj se mulakat SADAR sahb apposition ki position khatar naak hai ker do havaly jail khana jaat SADAR sahb main kum sin shaitaan kaya mashwara don aap to khud hoo bady chaalaak SADAR sahb khud he ban jaoo sadar , wazir_e_azam be nahin chayeh hamain ye wuzraat SADAR sahb mangty rahoo amrica se amdaad roozana har din hoo ap ka jumairaat SADAR sahb zindgi main kabi b wardi na utarna ta k door rahain afaat_o_billiyaat SADAR sahb hakoomat ho apki jeet koi or jaye ye kahan ki ''ikhlakiyaat'' SADAR sahb aman ka suraj nikal he ana hai akhir ho gaye hai kaafi raat SADAR sahb |
|
#8
| |||||
| |||||
| [quote=WanderingThoug hts;3588505] As-salam-o-alaikum Dosto!!! tell me how to participate in the competition. |
|
#9
| |||||
| |||||
| I have sent my ghazal in your reply is it a right place to post in this muqabilah. |