It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muqabla baraye Nazam goi...Aug-07 within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; execllent sach kaha...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [9] |
|
#11
| |||||
| |||||
| execllent sach kaha |
|
#12
| |||||
| |||||
| Salam Pakistan Salam Pakistan Tujhi se hain hum sab tujhi se hai pehchan Salam pakistan salam pakistan Yeh ronaqein sari tere hi damm se hain Yeh tere sab jalwe janam janam se hain Khuda tujhe rakhe baharon ka unwaan Salam pakistan salam pakistan Woh Quaid-e-azam woh maadr-e-millat Woh shayer-e-mashriq woh quaid-e-millat Salam ho unper jo hogaye qurbaan Salam pakistan salam pakistan Teri fiza'on mein jo saans lete hain Tujhi pe jeete hain tujhi pe marte hain Tere hain sab tere tu sab ka dilbar jaan Salam pakistan salam pakistan Humari azadi ka hai tu hi mahoor hai Woh jiska hum qatra tu woh samander hai Sada rahe jal thal sada charhe parwaan Salam pakistan salam pakistan Tere yeh sab shayer tere maghni hai Yeh aabadi yeh sab teri phaban bhi hain Yeh saaz yeh naghmein tere hain aey dil jaan Salam pakistan salam pakistan ![]() |
|
#13
| |||||
| |||||
| Hum azzad qoom hain.... yeah jantay huey bhi na janay kin azzadyon k chakaron mein phans gaey hain hum apnay culture or apni tahzeeb ko bhula kar namaloom dharoon mein bah rahay hain aur apni pahchaan ko apni qoomi zubaan ko hum bhula rahay hain nai saqafat ,nai tahzeeb k ghaoo is per laga rahay hain hum apnay mazhab se door ho kar jadeedyat ka pahan k chola nafs ka daman bhartay ja rahay hain zameeron ko behissi kay libaday pehna rahay hain hum apnay jazboon ko munafiqat k acid mein dabo kar masakh kar rahay hain jala rahay hain aur khotay lahjoon se aysay jazbay chupa rahay hain hum apnay markaz se door ho kar nai manzil bana rahay hain andhairi rahon mein roshnee k chiraagh khud hi bujha rahay hain tamam rangoon ko khud hi madham bana rahay hain aur apnay shaoor ko aaghi ko thapak thapak kar sula rahay hain hum khud hi rangeenyat k ghulaam ban kar rasm-e-dunya nibha rahay hain azzad urano ko bhool kar ham khud hi pinjron ko ja rahay hain yeah kia hua k hum apna mazi bhula rahay hain kachi bunyadon se naey gharonday bana rahay hain kia yeah sahi hai k apnay hathon se nanhay poodon ko zehreela pani pila rahay hain hum un ko ujray mahool ka qaidi bana rahay hain jehan hawa mein badeesi sazishoon k virius mundla rahay hain har amal-e-tanafus k bad lahu mein shamil ho k namu pa rahay hain hamein mahool ka aadi bana rahay hain.... . haan aaj phir 'YOM-E-AAZADI' hai aue meri sochain sissak rahi hain k yeah 'REALITY SHOW' kab tak chalay ga ????? jashan-e-aazadi k hawalay se aik kawish.....hope u'd like it........... |
|
#14
| |||||
| |||||
| wah bohat khoobsoorat unwaan humeshan ki trah ![]() umeedh kerta hoon humeshan ki trah iss dafa bhi bohat acchi acchi nazmain perhney ko milaiangi azaadi k mazoo per ![]() wasey mehroo bohat acchi thread lagyiee hai ![]()
__________________ ![]() |
|
#17
| |||||
| |||||
|
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#18
| |||||
| |||||
| AY M'RE ARZ - E - WATAN thaa qyaamat thoo rhay azaaD ay arz – e – watan teraa har gosha rhay abaaD ay arz – e – watan paak hai mitti t’ri iss maiN shahiidoN ka hai khooN Teri sarhad ke hifazat maiN m’re dil ka s’kooN naam se tere m’ri iss dehR maiN pehchaan hai tuj pe apni jaan warooN ye m’ra eemaan hai maiN j’haaN jaooN wahii roshan t’ra hii naam ho pasbaaN hooN maiN t’ra, teri hifazat kaam ho aasmaaN tak naam tera dehR maiN ooNchaa rhay ay watan , ay dais tera har jaga charchaa rhay ay watan teri b’qa maiN hai asal meri b’qa tuj pe mere paak ALLAH ka rhay sayaa sadaa
__________________ Ihsan Elahi Last edited by silent_wishes; 08-21-2007 at 06:01 PM. Reason: editing fromat n fonts |