It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Mujhay Insaan Matt Kehnaa within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Assalamualaikum everyone.. I am new to this forum. Let me start with my very recent poem, Mujhay Insaan Matt Kehnaa. ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalamualaikum everyone.. I am new to this forum. Let me start with my very recent poem, Mujhay Insaan Matt Kehnaa. MUJHAY INSAAN MATT KEHNAA Agarr kuch naam dainaa ho Mujhay Insaan Matt Kehnaa Judaa chehray, judaa bay-shakk sabhi ke kaam hotay hai'n Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n Mere Tum daam matt dainaa Mujhay ye naam matt dainaa Agarr kuchh naam dainaa ho Mujhay Ehsaas keh dainaa Magarr Thehro! Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa! Mera buss naam reh jaay Mujhay aisay nahi'n Rehna a Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa Agarr Kuchh naa dainaa ho Mujhay saawan hee keh dainaa Magarr Thehro! Mujhay saawan nahi'n kehnaa Barastaa hai, magarr rut ke badaltay beet jaata hai Mujhay saawan nahi'n kehnaa Agarr kuchh naam dainaa ho Mujhay Aansoo hee keh dainaa Janamm lainaa kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per mernaa Yaho jis ki haqeeqat hai chalo aansoo hee keh dainaa Magarr daikho! Kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi aanay nahi'n dainaa Ke qeematt aansuo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa hee kehj dainaa Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n Magarr thehro! Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa Ke Sapnay toot jaatay hai'n Mujhay apnaa nahi'n kehnaa Ke apnay rooth jaatay hai'n Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail. com) |
|
#2
| |||||
| |||||
| To Read This Poem in Urdu, Check This Page: http://www.geocities.com/sajidraheem/my_poetry/insaan.jpg |
|
#3
| |||||
| |||||
| nice sharing bhai jaan ![]()
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| sab se pehle to HG pe khush aamded, ![]() bahot khoobsurat nazam kahi hai aap ne sajid saahib,nazam ka buniyaadi khayaal bahot pasand aaya,daad qabool kijiye, bahot khush rahiye, aor aate raha kijiye ga.![]()
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Sajid Raheem saahib welcome to HG ... Sab se pehlii nazam hii itnii kamaal kii hai ![]() Qassim Mirza :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| wah.........bohat hi khoobsurat nazam kahi aap nay.........keep sharing
__________________ jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzer gaye rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| bahut he aalah !!!
__________________ ---------------= |