It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Mitti Tha yeh Khamir ..... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Adaab, Zindaghi Aisi hi hia Kabhi Alfaaz Ko Zubaan nahi Milti tu kabhi Zubaan ko Alfaz, Gurbat kye iss Moosam ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [8] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Adaab, Zindaghi Aisi hi hia Kabhi Alfaaz Ko Zubaan nahi Milti tu kabhi Zubaan ko Alfaz, Gurbat kye iss Moosam Mian Likhi hui yeh Ghazal App Sab Ahl-e-Sukhan Ki Nazar.... ![]()
__________________ ![]() Readme |
|
#2
| |||||
| |||||
| bohat achee sharing
__________________ Mohabbat Karney Waley Kam Naa Hon Gay |
|
#3
| |||||
| |||||
| Wah wah wah....Waqas Bhai, bohot khoob ghazal likhi hai, kamal ke khayalat laye hain aur kia hi umda andaaz-e-bayaan hai Insaan ho kaheeN ka, kisi bhi sadi ka ho Ye jab uTha, zameer ki awaz se uTha Bhai wahhh, ek mukammal sachchai ko kitni umdagi aur khubsoorti se bayan kia hai MaiN jaan looN ke kia hai mera jabr-o-akhtiaar YaRab ye mas-ala kabhi aghaaz se uTha Bohot hi umda, jabr-o-qadr ke hawale se tajassus ko kis khubsoorti se aap ne bayan kia hai ke be akhtiaar daad dene ko ji chahta hai, is hawale se Saleem Ahmed marhoom ka ek taweel mukalima Prof Shabnam Siddiqi ke saath Riwaet main publish hua tha, kabhi mauqa milay to zaroor dekhye ga Is subh-e-chaman maiN aik yahi aftaab tha Is aadmi ki laash ko aizaaz se uTha Pehla misra nazr-e-saani ka talabgaar hai kionke wazan ka masla paida horaha hai, ghaliban alfaaz ki tareeb thori si badal den to ye theek hojayega. Doosre misray ke kia kehne hain sahab, wah wah wah, zarbul misl ban-ne ke layeq hai. Wo abr shabnami tha ke nehla gaya wajood Main khwab dekhta hua alfaaz se uTha Shaire to lajawab hai, kia hi kehne hain is khayaal ke, lekin ye baat qabil-e-ghour hai ke kia "Alfaaz" ko is ghazal main bator qafia use kia ja sakta hai kionke is ke aakhir main "Zai" ki bajaye "Zoye" araha hai. Ye baat to khair koi senior behter bata sakta hai. So kartaboN se likha gaya aik aik harf (is misre per to qurbaan hojane ka ji chahta hai) Ummeed-e-sahar liye ek naye aijaaz se uTha Pehla misra lajawab hai, doosre misre main phir wazan ka kuch masla hai, isko zara dekh lijye ga Overall, itni umda ghazal likhne per dili daad aur mubarakbaad qubool karen aur isi tarah shandaar aur pur-khayaal likhte rahen ke aap jaise buland khayal bari mushkil se milte hain aur bohot bohot khush rahen
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) Last edited by Saraabs; 12-16-2007 at 08:23 PM. |
|
#4
| |||||
| |||||
| salam main khud ko is qabil nahin samjhti k itni bari soch par kuch keh sakon.... bohat khush rahin aap aur hamesha aisa he shandaar likhtay rahin ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| wah saaheb,bahot dinon ke baad pc main aana huwa aor itni khoobsurat ghazal paRney ka maoqa mila,bahot hi khoobsurat khayalaat o alfaaz,aor bahot barjasta andaaz-e-bayaan liye yeh ghazal be had pasand aayi,so bahot si daad meri jaanib se bhi qabool kijiye, ![]() bahot khush rahiye,likhtey rahiye, ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
Aap say yeh umeed nahin thi keh kisi aur shaa'ir ki ghazal ko apni ghazal qarar day kar youn pesh karain gay aur shaa'ir bhi koyee gumnaam nahin Obaidullah Aleem jaisay shaa'ir ki ghazal. Mukammal aur dursut ghazal haazir hai. Mitti tha main khameer teray naaz say utha phir haft aasma'n meri parwaaz say utha insaan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho yeh jub utha zameer ki aawaz say utha subh-e-chaman mein aik yehi aaftab tha is aadmi ki laash ko aizaz say utha sau kartabon say likha gaya aik aik lafz laikin yeh jub utha kisi aijaz say utha aye shahsawar-e-husn yeh dil hai yeh mera dil yeh teri sarzamee'n hai qadam naaz say utha main pooch loun keh kiya hai mera jabr-o-ikhtiar yaarab yeh mas'ala kabhi aaghaz say utha woh abr shabnami tha keh nehla gaya wajood main khawab daikhta hua alfaaz say utha shaa'ir ki aankh ka woh sitara hua aleem qaamat mein jo qayamati andaaz say utha Anis Hasan |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
yi app ki apni ghzal hi kia batt kartay ho please mod...........notice that.......... |
|
#8
| |||||
| |||||
| waqas bhai!!! kuch explain kreN gy???
__________________ ------------------------------------------------- Bedil libaas-e-zeest bohat deeda-zeb tha aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya... (Bedil Haidri) |
|
#9
| |||||
|