It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Meri Aik Ghazal within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Assalam-o-alaikum, HG poets club kay tamam saathion ki khidmat mein apni aik ghazal pesh kar raha houn parh kar apni ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [8] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalam-o-alaikum, HG poets club kay tamam saathion ki khidmat mein apni aik ghazal pesh kar raha houn parh kar apni qeemti aara say zaroor nawaziyay ga. Youn bheer tou itni Hi keh rasta nahin milta Aur dhoondhain tou phir bhi koyee apna nahin milta Din raat ki ik daur hai yeh zindagi kiya hai Hum khud say milain jis mein who lamha nahin milta Kiya dhoop say narmi ki umeed ab koyee rakhain Jab apni hi chut say hamain saaya nahin milta Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta Yeh dil mera shayad keh kisi bun ka makee’n hai Is ka tow kisi say bhi tareeqa nahin milta Ujri hui mehmil mein koyee aks nahin hai Aur khaak uranay ko bhi sehra nahin milta Yeh dard ki daulat jo anis hum ko mili hai Har aik ko yeh bhi tow khazana nahin milta Anis Hasan Last edited by Anis Hasan; 01-12-2008 at 09:09 PM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| walikum asalam.. bohat hi khubsooorat ghazal kahi Anis bhai... kia bat hai.. bohat hi dilkash.. Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta wahhhhhhh... jo sab say zaroori hai.. kia kehnay haiN.. mashAllah.. bohat khush rahiye
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#3
| |||||
| |||||
| wah!!! bahot khoob janaab Anis Hasan saaheb,be had khoobsurat ghazal rahi yeh bhi,so bahot si daad qabool kijiye, ![]() mashq-e-sukhan jaari rakhiye,aor ham se share kartey rahiye, ![]() bahot khush rahiye, ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#4
| |||||
| |||||
| Anees bhai salaam meri jaanib say is khubsuret ghazal per daad qabul kijiay sohail
__________________ Sohail Malik |
|
#6
| |||||
| |||||
| Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta wah Anis saheb. Sari ghazal hi bey had murassa hey. Dheron daad. Qamar
__________________ Kyun Teri Chashm-e mast ka ehsaaN uthaaiye Zehrab-e may sey ho gham-e hasti ager ghalat |
|
#7
| |||||
| |||||
| Kiya dhoop say narmi ki umeed ab koyee rakhain Jab apni hi chut say hamain saaya nahin milta Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta Wah wah Anis Bhai......hamesha ki tarah shandar aur bakamaal ghazal kahi hai....bohot bohot ziada daad is nihaet shandar ghazal ki nazr hai........
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#8
| |||||
| |||||
| Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta.. wahh.........bohat khoob ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Main bikhri hui zaat ko kis tarah say joroun Jo sub say zaroori hai who tukra nahin milta Wah......Boht Khooob..... Very Nice Thinking...... Sada Khush Rahain... |