It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on meray maalik may teri janib ayaa hoon within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Aslam o alikum to all pta nahi yeh nazam hai ya kuch aur bus jo meray zahen may ayaa may ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aslam o alikum to all pta nahi yeh nazam hai ya kuch aur bus jo meray zahen may ayaa may nay likh diya umeed hai aap ko pasand aye ga meray maalik may teri janib aya hoon duniya nay thukriya muj ko tora aur rulaya muj ko nudamut k hain saray aansoo jhoaliaan bher bher laya hoon meray maalik may teri janib aya hoon tera rusta chore k may nay guli guli butkaya khud ko itna kub bura tha may jitna khud giraya khud ko teri raza say meri husti werna may bay maya hoon meray maalik may teri janib aya hoon muj ko ruswa ker gyee mohubbat kitnee susti chahat thi khud ko baich k socha may nay kia yeh hi bus meri keemat thi tu nay izzat bukhshi muj ko may zillat kuma ker laya hoon mera maalik may teri janib aya hoon zakhumi rooh per bhoj liye phr teray der pay aa k perra hoon ik nazer bus us k sadkay jis ki ummet may khurra hoon apni punah may rukhna muj ko duniya say ghubraya hoon meray maalik may teri janib aya hoon Last edited by aas awan; 01-24-2007 at 01:31 PM. Reason: spelling |
|
#2
| |||||
| |||||
| very nice and beautiful sharing
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| Asslamo alikum MASHALLAh se aap ki kavish bohut achhi hai unwaan bhi be had acha hai 2 batein balkey rqst thein aap se mind na kijye ga aik to yeh k plz aap zara in page pe apni shairi ko type kardiya karein ya phir apna font style and size change kardiya karein jis se baa saani parha ja sakay aur aik ghalti ki taraf aap ka dhiyaan lana chahoon gi aap ne aik line main monis ka segha istemaal kiya hai isey theek karlein plz may itnee hi baykeemat thi?
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| khobsurat nazam kahi aap nay... keep sharing take care
__________________ jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzer gaye rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya |
|
#7
| |||||
| |||||
| teri raza say meri husti, werna may bay maya hoon.... Ary wah... Aas sis.... itni achi Dua'iya Nazm... meri janib se dheroN daad hazir hy.... Rida ne durust kaha k isy impage maiN compose kiya karo to parhny maiN aur lutf milta hy... mujhy ye misra bohat acha laga... "werna may bay maya hoon..." kiya aap is misry pr aik ghazal keh sakti ho??? try zurur krna... Allah Mola aap ko bohat ziada ata kary... khush raho, aabaad raho....
__________________ tu na jadoN paas channaN! key ay saady paas way, din vi udaas saady, rataaN vi udaas way, luT gya chain sadaa, rus gye hassay way, khushiaN ny dur nssiaN... akhaN cham cham wssiaN!!! |
|
#8
| |||||
| |||||
| dear ass apki poetry to muje wese hi bohat pasand hai ye bi app ne khooooooooooob likhi hai wahhhhhhhhhhhhhh |
|
#9
| |||||
| |||||
| mashAllah.... wahhhhh...nazam ka aik aik lafz...dil par asar kar gaya....bohatttt hi khubsoorat khayal hai...waqqai...insan har taraf say thokar kha kar hi Allah ta'la ki taraf ruju karta hai... khush rahiye
__________________ ![]() . . . Mere dil.. Mere musaafir..! |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| meray, maalik, may, teri, janib, ayaa |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Mano | Ankaboot | Announcements | 6 | 10-02-2005 05:20 PM |
| Carol | Ankaboot | Announcements | 3 | 06-11-2005 10:21 AM |
| Unknown Person | Admin | Announcements | 14 | 05-18-2005 02:28 PM |
| Sweet_to_be_forgo10 | Ansa | Announcements | 322 | 03-14-2005 12:18 PM |
| Sweet_2b_4got10 | Ankaboot | Announcements | 0 | 03-09-2005 11:14 PM |