It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Manzer Kashi within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Asma tum nai bhi Manzer nahi lagaya abhi tak /angry azharulhaq aap nai tou waqai bara mazai ka amnzer biyan ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#12
| |||||
| |||||
| <!--QuoteBegin-BePaki*)+Jul 29 2003, 08:58 PM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (BePaki*) @ Jul 29 2003, 08:58 PM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> Asma tum nai bhi Manzer nahi lagaya abhi tak /angry azharulhaq aap nai tou waqai bara mazai ka amnzer biyan ker diya batoon batoon mei [/b][/quote] I dont know your real name, magar mera kaam hi yeh hai kay batoon batoon main baat kar jaoo ![]() I hope you like that, thanx |
|
#13
| |||||
| |||||
| <!--QuoteBegin-BePaki*)+Jul 29 2003, 04:58 PM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (BePaki*) @ Jul 29 2003, 04:58 PM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin-->Asma tum nai bhi Manzer nahi lagaya abhi tak /angry [/b][/quote] :blush ..... abhi laati houn likh kar ;D |
|
#14
| |||||
| |||||
| <!--QuoteBegin-azharulhaq+Jul 29 2003, 08:34 AM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (azharulhaq @ Jul 29 2003, 08:34 AM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin-->very good sab bateen kar rahay hain manzar koee nahi likh raha ;) gaon ka manzar bananay kay liya yeh ashya darkar hain bohat khuli zameen kachay pakkay makaan , jo aik dosray se door door hain pak dandyan aik adad nadi ya nala chakki ki tuk tuk ki awaz khet khalyaan tube well ka pani prinday, maal movaishi, dhoor dangar yeh gaoon app kaheen par bhi bana leen , thar main ya cholistan main, kisi chak gaaf bay main, yaa pothohaar main, sibbi main yaa chaman main . . .kahin bhi aur agar Punjabi film ka masala chahay too lachay kurtay wali mutyaareen bari pagri walay chohdri sahib gandaasay walay ghabroo jawan aur haan agar aik patwari bhi ho too tarka lag jay ga kyon jee hoeee kuch manzar kashi /thinking[/b][/quote] he he he he ... /good good one ji ! ... ab isay paka kar kha jaatay hain /hungry And btw .. Welcome to HG and Writer's Club /hug /flower |
|
#15
| |||||
| |||||
| bohat umda topic shuroo kiya hai...main bhi keyboard uthanay ki jasaarat ker rahi hooN... GaooN.....sheher ki taraf say pakki sarak per mashriq ki taraf rukh kerain to raastay mein sersoN k peelay khaitoN ka waseee silsila nazar aai ga ....sarak k donoN atraaf mein phailay huay yeh khait taa hadd e nazar tak dikhai daitay hain.....yooon lagta hai k aap chaltay jaen gaay chaltay jaen gaay or yeh khoobsoorat manzer peely peely sersoN or kachi pakki pagdandi kabhi khatm nahi hogy.......lakin aisa nahi hai...aap is pagdandi per chalna shuroo kerain to aap ko apnay atraaf mein mehanty or mazboot loag kaam kertay nazar aaeN gaay.....aajkal kiyon k sersoN phool chuki hai...to katai ka moasam hai...boorhay or jawan apny mehnat ka phal kaat rahay haiN...subah sawairay ka waqt hai...fizza mein aik ajeeb c thandak or mehek hai...shayad sersoN ki...ya phir door us taraf kachay gharoN say uth tay huay lakri k choolhay ki...jis per chaye pak ker aik ajeeb hi sondy c khushbu phaila rahi hai...or saath hi roty ki mehek ....k bhoook na bhi lagi ho to lag jaye.... thora or aagay jaen gaay to guy or bakriyoN ki aawazain sunaye dein gy...jo k subah subah khailnay koodnay or khanay peenay k liay nikly haiN...aray wo kiya.... suna?... kitny khoobsurat baaNsury baja raha hai wo lerka...peepal k pair k neechay ...acha yehi to hai in jaanwaroN ka nigran jis ki bansury ki dhun per jaanwer to kiya insan bhi must haiN....or wo rangeen aaNchal kis ka hai...jo koi bhi hai ...bary shareer hai...aaNkhoN mein masoomiyat liay bansury ki dhun per muskuraty hai...or jaisay hi wo us ki taraf dekhta hai to apna munh gharay k peechay chupa laity hai...wo akaily nahi us k saath or bhi lerkiyaN haiN...gharoN mein pani bhernay aai hain...kuwaiN per ....baary baary pani bhi bherty ja rahi haiN or aik doosray ko bhigoty ja rahi haiN..chul-lu mein pani bher bher ker....wo jo saamnay derwaza nazer aa raha hai..us k doosry taraf aik aaNgan hai...jis k konay mein choolhay per kuch pak raha hai.... aik khatoon aata goondh rahi haiN...or choty c aik bachi aangan mein jharoo day rahi hai......abhi jab khana pak jaye ga or gharay mein pani bher ker wapas aa jaye ga to yeh khana khaitoN mein kaam kernay waloN k liay bheja jaye ga....khanay ka kaam samait ker sersoN jo k khaitoN say cut ker aai hai ghathoN mein baandhni hai.... shaam ho rahi hai...thakay haaray panchi gheroN ko loat ker aa rahay haiN...pair k neechay bajnay wali baNsury ruk gaye hai.....ab aik baray maidaan mein jis k donoN taraf khoob ooNchay ooNchay sheesham or neem k pair haiN....palaNg bichay nazar aa rahay haiN..saaray jawan boorhay or khawateen jama haiN....yeh in ka roze ka maamool hai....bachay alag khail rahay haiN...aik konay say halki c khuser phuser sunai daity hai...us k baad dabi dabi khoobsurat c hansi ki aawazaiN...noJawanoN ki alag mehfil hai....gherz k raat gaay tak apni kahi jaty hai or doosroN ki suni jaty hai....yahaN sab ka dukh aik hai...or sab ki khushiyaN sanjhi hai yeh gaooN hai...sukh chain ka jahaN sab k dukh bhi aik haiN or sab ki khushiyaN saanjhi haiN.. jahaN sersoN rung bakhairty hai... jahaN chaandni basti ghairty hai... yeh GaooN hai.... sukh chain ka :blush shayad kuch ziada hi likh gaee jazbaat mein aa ker...waisay yeh gaooN sirf mairay tasawwur ka gaooN hai...umeed hai k pasand aaye ga @};- |
![]() |
| Tags |
| manzer, kashi |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| agarchy dur se manzer suhany lag rahy haiN | WanderingThoughts | Faizan Ahmad | 2 | 04-29-2008 08:27 PM |
| Do Manzer .... | zard rutt | Ashaar - Misc | 9 | 02-29-2008 01:19 AM |
| Kehta hy kya ye manzer... | WanderingThoughts | Urdu Poet Club | 47 | 02-05-2008 07:37 AM |
| dil kashi hai tmahri zaat k saath | Adhuraa | Ghazal | 9 | 12-11-2007 08:56 PM |
| agarchy dur se manzer suhany lag rahy haiN | WanderingThoughts | Urdu Poet Club | 16 | 12-11-2007 11:54 AM |