It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Mahabat aazmany k dinoN maiN... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Dosto aik bar phir aik adad ghazal k sath hazir huN... waqt k lehaz se kuch purani hy lekin aap ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Dosto aik bar phir aik adad ghazal k sath hazir huN... waqt k lehaz se kuch purani hy lekin aap k li'ay nai hi hy... so parhi'ay aur apni ra'ay se nawazi'ay... ![]() ====== in roman ====== Mahabat aazmany k dinoN maiN koi rutha manany k dinoN maiN mujhy lagta hy maiN zinda rahuN ga usi beety zamany k dinoN maiN ye kesi kashma'kash maiN hy mera dil usy apna banany k dinoN maiN mujhy masrufiat maiN yad rakhy na bholy bhool jany k dinoN maiN in aankhoN maiN nami kyuN phailti hy wafaiN gungunany k dinoN maiN wo sookhy phool chunta ja raha hy na'ay guldaaN sajany k dinoN maiN purany ehd kyuN yaad aa rahy haiN na'ay waady nibhany k dinoN maiN pryshaN chand kis ki khoj maiN hy chamakny jagmagany k dinoN maiN tawaju shart hy Faizan her dam kisi ko bhool jany k dinoN maiN ============ Allah Mola ap sab ko apny hifz-o-aman maiN rakhy. ap k comments ka muntzir.... Faizan Ahmad. Last edited by WanderingThoughts; 10-09-2006 at 02:45 AM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| woh sukhay phol chunta ja raha hai naye guldaa'n sajjanay k dino main wah wah wah................. .... faizan bhaiya.....aap ki ghazal k aik aik shair kamal ka hota hai bohat acha likhtay hain hamaysha...' aap k es shair say aik or shair yaa aya.. "jab bahaar ayee tou sehra ki taraf chal nikla" bohat khoob... keep sharing
__________________ jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzer gaye rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya |
|
#3
| |||||
| |||||
| Wah ji faizan bhai wah... Hamesha ki tarhaaN aik aur khoobsoorat kalaam ye shair tou humko khaas ker pasand aya... tawaju shart hy Faizan her dam kisi ko bhool jany k dinoN maiN Allah ta'ala aap k qalam meiN aur taraqi ata farmaye .. Ameen.. ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| wha very nice sharing every word is magic
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| once again very nice faizan bhai mohubbat aazmanay k dino may koi rootha munanay k dino may wah ji wahi lakin ji hum kahtay hain mohubbat may azmayish acchi nahi hoti kabhi mohubbat ko azamnay say haath kuch nahi aata kahir bohut khush rahye aur meray liye dua keejye
__________________ |
|
#6
| |||||
| |||||
| pryshaN chand kis ki khoj maiN hy chamakny jagmagany k dinoN maiN tawaju shart hy Faizan her dam kisi ko bhool jany k dinoN maiN Wah wah Faizan bhai Kia hi kehna hay app ki is ghazal ka bhi Buhat hi aalishan ghazal kahi hay app ne Buhat si daad qabool kijiay Khush Rahiay ![]()
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| mujhy masrufiat maiN yad rakhy na bholy bhool jany k dinoN maiN bohut achi ghazal likhi ap nay faizan bahi, thanks for sharing |
|
#8
| |||||
| |||||
| Asslamo alikum faizan kiya masla hai akhirrrrrrrrrrr aaaaap k sath kiyn itna kamal ka har baar likh detey hain really super ghazal likh daali aap ne har har sher itna zabar10 lag raha hai selct nahin horha mujh se main bara baar parh rahi hoon aur baar baar utna hi maza arha hai matlay se leker maqta tak zabar10 hai itni shaand daar ghazal mere khyal main aaj k pc k vist main aap ki hi rahi daad kabool farmaaaaaaye
__________________ ![]() |
|
#9
| |||||
|