It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Lamhoo.n Ka Khahil.... Teyyeb Saleem within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; As'salam O ALaikum, merey bohattttt piyaarey abba jaan ki aik nazm Din Ujley hain jo aaj yahan tu kal ko ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| As'salam O ALaikum, merey bohattttt piyaarey abba jaan ki aik nazm ![]() Din Ujley hain jo aaj yahan tu kal ko kaali raatain hain ye duniya hi lamhaati hay, lamhaati is ki baatain hain ik lamha paida hone ka, ik lamha jaan sey jane ka ik lamha fas'l ugaane ka, ik lamha kaat k khaney ka ik lamha maar k dam lena, ik lamha usko shifa dena ik lamha mehel bana lena, ik lamha us ko dha dena lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yaha.n lamhaati hai ik lamha neer bahaney ka, ik lamha hansney hansaney ka ik lamha raqs ka hota hay, ik lamha ghum k khane ka ik lamha sang ki barish ka, ik lamha aan sey darne ka ik lamha eid ka alam hay, ik lamha noha karne ka ik lamha seene lag jana, ik lamha aahai.n bharne ka ik lamha sab kuch hasil ho, ik lamha sab kuch kho dena ik lamha saint k rakhne ka, ik lamha sab hi dobo dena lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yaha.n lamhaati hai ik lamha jism dareeda ho, ik lamha usko see lena ik lamha dill ko dukha dena, ik lamha sab kuch pee lena ik lamha piyaar ka armaa.n hay, ik lamha nafrat barsana ik lamha jang ka samaa.n hai, ik lamha seene lag jana ik lamha quf'l-e khamoshi, ik lamha sab kuch kehne ka ik lamha eid ka samaa.n hai, ik lamha zilm k sehne ka ik lamha jaan sey jane ka, ik lamha zindah rehney ka lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yahaa.n lamhaati hai ye bhi hai paraya maal miyaa.n, ye saans jo aati jaati hai din ujley hain jo aaj yahaa.n, tu kal ko kaali raatai.n hian ye duniya hi lamhaati hai, lamhaati is ki baatain hain ------------------------- Teyyeb Saleem
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |
|
#2
| |||||
| |||||
| ws. wow shagufta sis Aap k baba ne bohat achi nazm likhi hai MASHALLAH se ik lamha jism dareeda ho, ik lamha usko see lena ik lamha dill ko dukha dena, ik lamha sab kuch pee lena ik lamha piyaar ka armaa.n hay, ik lamha nafrat barsana barey after all barey hi hotey hain ALLAH MAIN UNHE HAMESHA KHUSH RAKHAIN OR SEHAT KA TANDRUSTI MAIN RAKHAIN AMEEN/ bohat pyaari nazm likhi sach ![]() bohat khush rahyee baba bhi or Aap bhi. |
|
#3
| |||||
| |||||
| Ahaan zabardast Aik Aik Lafaz ko bare khubi say Ada keya gaya hay Har line bare fit hay is ko kehtay heen aik mukmal nazam |
|
#4
| |||||
| |||||
| wahhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhh... kya hi kehnay... mashallah.. bohat hi khoobsoorat khayalat ko khoobsoorati se lafzon ke peraye mein beyaa'n kiya hia .. bohat hi khoob.. parh ker bohat acha laga.. share kernay ka bohat hi shukria @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#5
| |||||
| |||||
| wow bohat bohat khoobsurat likha hai bohat hi acheyyyyyyyyy ![]()
__________________ mujhe mitti bulati hai bara dil ko rulati hai |
|
#6
| |||||
| |||||
| buhat khoobsurat ![]() buhat hi acha likha buhat Umdaah khush rahyeah @};-
__________________ Khawab Howay Azaab !! |
|
#7
| |||||
| |||||
| ik lamha jism dareeda ho, ik lamha usko see lena ik lamha dill ko dukha dena, ik lamha sab kuch pee lena ik lamha piyaar ka armaa.n hay, ik lamha nafrat barsana ik lamha jang ka samaa.n hai, ik lamha seene lag jana ik lamha quf'l-e khamoshi, ik lamha sab kuch kehne ka ik lamha eid ka samaa.n hai, ik lamha zilm k sehne ka ik lamha jaan sey jane ka, ik lamha zindah rehney ka aapi jaani /yhug uncle jee sai kahiyai ga bauhat hi khubsurat nazam likhi hai unhoon nai...wakai sirf aik lamha hi to lagta hai /rose khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| mashAllah ...shagufta sis aap k baba jaani nay bohat hi khoobsurat nazm likhi ...... bohat umdaah ![]() alwayz b happy n take care :flower
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |