It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kisay Sunaa-oon Gham-e-zest Ka Fasaana Meen within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; G H A Z A L kisay sunaa-ooN gham-e zeest kaa fasaana maiN Keh raazdan to koi aaj tak milaa ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#1
| |||||
| |||||
| G H A Z A L kisay sunaa-ooN gham-e zeest kaa fasaana maiN Keh raazdan to koi aaj tak milaa hi nahiN karooN maiN raah ki dushwaari kaa gila kis say maiN woh musaafir-e kam- kosh keh chalaa hi nahiN kabhi milo to maiN sab kuch hi tum sey keh DaalooN keh roz roz to milnay kaa silsila hi nahiN teraa suraagh nahiN phir bhi DhoonD looNga tujhay bajuz Khudaa kay meraa ki Aasra hi nahiN hazaar baataeN haiN jo mujh peh log kartay hain magar yeh dil haiy keh paththar, kabhi jalaa hi nahiN Aa phir Aaj Aaina hi daikh janaa! keh sach to Aaj tak tu nay kabhi sunaa hi nahiN |
|
#2
| |||||
| |||||
![]() magar yeh dil haiy keh paththar, kabhi jalaa hi nahiN wah.. umda kawish rahi aapki... likhtay rahiye khush rahiye
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#3
| |||||
| |||||
| mashallah bohat undah kalam hai ...........daad ke saath bohat khush rahian |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#5
| |||||
| |||||
| thanks mehrooo ji |
|
#6
| |||||
| |||||
| achi kawash hi app ki............... |
|
#7
| |||||
| |||||
| Achi ghazal hi Kisay Sunaa-oon Gham-e-zest Ka Fasaana Meen
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#8
| |||||
| |||||
| karooN maiN raah ki dushwaari kaa gila kis say maiN woh musaafir-e kam- kosh keh chalaa hi nahiN Bhai Wah Farid Bhai....bohot umda ghazal likhi hai mashaAllah...khaas kar ke ye shaire to kamal hai.....maza agaya parh kar.....bohot si daad qubool kijye
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#9
| |||||
| |||||
| bhoot khoobsoort kalam hai, daad wasool karyain kind Regards
__________________ ------------------------------------------------ Aik mudat se merii maa nahi soye "Tabish" Main ne ek baar kaha tha mujey durr lagta hai ---------------------------------------------------- |