It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kia haal sunaaooN usi bai mehr ke aagay within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Kia haal sunaaooN usi bai mehr ke aagay Sunta nahiN meri jo kabhi dehr ke aagay Lagta hai ke beenayee ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Kia haal sunaaooN usi bai mehr ke aagay Sunta nahiN meri jo kabhi dehr ke aagay Lagta hai ke beenayee bhi mehdood hai apni UThti hi nahiN aaNkh tere shehr ke aagay Aye waqt! jo haNs haNs ke bulatay hoN ise khud Kia khaak dareNgay wo tere qehr ke aagay Is ishq ke maaroN ko sukooN kaisay milay ga Taryaaq bhi chalta nahiN is zehr ke aagay Darya se jo bach niklay to apni ye adaa thi Phir baiTh gaye aik nayee lehr ke aagay Qurbat maiN Saraab uski wo ThanDak thi ke jaisay BeTha hooN sar-e-shaam kisi nehr ke aagay
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#2
| |||||
| |||||
| bohut khub likha hai bhai, khaas kar ke doosra shair to kamaal hai |
|
#4
| |||||
| |||||
| Darya se jo bach niklay to apni ye adaa thi Phir baiTh gaye aik nayee lehr ke aagay Qurbat maiN Saraab uski wo ThanDak thi ke jaisay BeTha hooN sar-e-shaam kisi nehr ke aagay bohut khubsurat saraab sahab , mubarak ho , is ghazal per aur in ashar per bilkhusoos |
|
#5
| |||||
| |||||
| saraab bhai boht achi ghazal likhi ha apnay. humaishah khush rahoo
__________________ kaash aisa kamal hojayewo mera hum khayal hojaye ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Is ishq ke maaroN ko sukooN kaisay milay ga Taryaaq bhi chalta nahiN is zehr ke aagay Bohat Umda.......... Beautiful Thinking. Sada Khush Rahain |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bohot shukria bhai.....sab aap ki nazar ka kamaal hai |
|
#8
| |||||
| |||||
| |
|
#9
| |||||
|