It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Khuwab ankhoun main rahein dil ko gawara na hua within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; khuwab ankhoun main rahein dil ko gawara na hua hum kisii key hii rahey koiii humara na hua un se ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| khuwab ankhoun main rahein dil ko gawara na hua hum kisii key hii rahey koiii humara na hua un se lena tha humein umr e gureza_n ka hisab kia kahein samna un sey yun dubara na hua wo ju guzri hain kai shaam un key pehlo main abtalak utna hasee_n koi nazara na hua maloom huraha hai shikast pyar main mili baloun ko aaj us ney sanwara na hua tha humein chand ko mathe pe sajane ka shoq per apna tu koi toota hua tara na hua ju key andhi main bhi auroun k lye larta tha thak ke betha hai koi uska sahara na hua |
| The Following User Says Thank You to cute mary For This Useful Post: | ||
silver-weed (08-11-2008) | ||
|
#2
| |||||
| |||||
| wo ju guzri hain kai shaam un key pehlo main abtalak utna hasee_n koi nazara na hua khuwab ankhoun main rahein dil ko gawara na hua hum kisii key hii rahey koiii humara na hua matla bohut khubsurat, mager darj zel sher, thori aur tawajja mangta he: maloom huraha hai shikast pyar main mili baloun ko aaj us ney sanwara na hua ye sher bohut acha he: un se lena tha humein umr e gureza_n ka hisab kia kahein samna un sey yun dubara na hua |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
apna khayal rakhyega |
|
#4
| |||||
| |||||
| cute sis.. buhot khoob.. bala ki ravani hai apki khoobsurat ghazal me.. aur mazameen ka chunao bhi kamal ka hai.. go k urooz ka koi khaas ilm na hai mujhe... lekin yahan apke is she'r me ravani kahiN majroh hui hai tha humein chand ko mathe pe sajane ka shoq per apna tu koi toota hua tara na hua tavajju farmae'ye khush rahaiN.
__________________ sirf zindaa rehne ko zindagii nahii.n kehte kuch Gam-e-muhabbat ho kuch Gam-e-jahaa.N yaaro!! |
|
#5
| |||||
| |||||
| achi kawash hi app ki
__________________ |
|
#6
| |||||
| |||||
| bahot khoob Cute mary saahiba,bahot achhi koshish rahi aap ki,achhey mazmoon baandhey haiN aap ne ghazal maiN,so daad qabool kijiye, ![]() albata alfaaz ke chunaao aor bayaan ki tarf thori aor tawajah daiN to aap ki shaairy mazeed nikhar sakti hai, ![]() bahot khush rahiye, ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
apna khayal rakhyega |
|
#8
| |||||
| |||||
| bohat shukria asif shehzad apka apna khayal rakhyega |
|
#9
| |||||
| |||||
| |