It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
User Name: Password:
Urdu Poetry/Shayari Forum

Urdu Poetry Forum

Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum

 


Khawab Mertay Nahin (Mushtarika Kahani)

This is a discussion on Khawab Mertay Nahin (Mushtarika Kahani) within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Yeh kahani teen lerkooN (Aneeq, Faiz aur Nadeem) kee hai jo Pakistan se door diyar ghair main rizk kee talash ...


Go Back   Urdu Poetry/Shayari Forum > Urdu Poetry > Urdu Poet Club

Video Photo Books Games Sites Register Groups FAQ Calendar Mark Forums Read Chat [1]

Notices

Rate This Thread - Khawab Mertay Nahin (Mushtarika Kahani).
(0)
Thread Rating: 0 votes, average.

Reply
 
Thread Tools
  #1  
Old 12-18-2003, 11:27 AM
tanha_musafir's Avatar
tanha_musafir
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

Yeh kahani teen lerkooN (Aneeq, Faiz aur Nadeem) kee hai jo Pakistan se door diyar ghair main rizk kee talash main aai hain. TeenooN apnay peechay achay dinoon ke khawaab chor ker aai hain. Khud unki aankhooN main apnooN se bicharnay ka dukh aur dil main achay dinooN kee umeed k diya roshan hain. Aneeq basically Engineer tha aur Pakistan main 2 saal takk naukri k liya dhakkay khannay k baad kisi tarah se yahan pohncha tha k apnay waldain keeboorhi aankhooN k khawabooN ko poora ker sakay. Apni university k dinoon main khassa khilindra hua kerta tha aur baat bay baat hansna aur yarooN dostooN se mazak uss kee aadat main tha. Uss kee iss nature keewaja se uss ke bohat dost thay aur university kee lerkiyan bhee ussay pasandeedgi kee nazer se daikhti theeN. Unhi lerkiyun main
Sehrish bhee thee jo k uss se teen saal junior thee aur dil hee dil main ussay pasand kerti thee. Aneeq ko bhee usske khamosh chahat ka ilm tha aur woh bhee Sehrish ko pasand tu kerta tha mager sochta tha k jab takk kuch bann na jaoN kisi ko koi aas nahin dooN ga. Faiz aik BA paas lerka tha, taleem maidaan main koi khaas kamiyabi kabhi bhee hasil nahin kee thee mager chand computer coursed kee banna per diyar-i-ghair main kismat azmai k liya chala aaya tha. Ammoman baat baat per hasb-i-mauqa sher kehna uss ke aadat thee. Faiz bhee aneeq kee tarah apnay peechayachay dinooN kee aas choray aaya tha. Nadeem nai duniyaooN ke talash main aaya tha. Ussay koi khaas maali
parishaniyan nahin theeN. Walid ka garments ka business tha mager ussay adventure pasand tha. Aur khud kuch bann ker dkhanay ke shauk main apnay ghar se apnay mulak se door aa gaya tha. TeenooN kee mulaqaat airport se bahir nikaltay huay huee. Taaruf kee baad pata chala k un teenooN main aik aur cheez common hai aur woh yeh k teenoon ka hee yahan koi aziz rishtay daar nahin tha. ....

[color= brown]
(by tanha_musafir)

---------------------------------------------------------------------------------------------------


Tab hi un teenon nay yeh faisla kiya K kiun na hum teenon hi ek doosray ko apna risht-e-daar samjhain ...ek doosray kay dukh sukh kay sathi bananay ka ahad Karen ..........Dayar-e-ghair main itna hi kafi hai K hum teenon ki shinakht Humara piyara Pakistan hai ...aur hum is perdes main Ittefaq ko apni taqat banaen gay .................... ..

yeh un teenon ka Apas main Ahad tha .........

Ab Masala tha Kay yahan say kahan Jaya jaey ?

Aneeq ka mashwara tha Kay kisi youth hostel ki talash ki jani chaheay .....usko idea tha Kay wahan rehayash qad-r-e sasti hoti hai ....baqi donon nay bhi Aneeq kay khayal say itefaq kiya ....so unhon nay pass hi line main lagi hui cabs main say Ek cab ki taraf barhay aur driver say request ki kay humian kisi youth club jana hai ...aur hum is sheher say nawaqif hain ....

Driver bhi ittefaq say Pakistani hi tha ...aur dil ka acha insan tha ...us nay kaha "bhai sahab koi masala nahin hai

Aap fiker na karen ...main apko sahi jagha pohncha doon ga humara to kaam hi yeh hai "

Teenon nay apna saman cab main rakha aur cab main sawar ho gaey ...............


Cab driver bohat batooni tha, baithay hee shuru ho gaya. TeenoN ne ussay jab apna masla bataya tu uss ne kaha yeh tu koi masla nahin jahan main rehta hooN wahan aik room hai ager tum rehna chaho tu wahan liya chalta hooN.Andha kiya chahay do aankhain k misaal unhain aur kiya chahiya tha. Cab driver jiss ne apna naam Saleem bataya tha unhain aik qadray gunjaan locality main lay gaya. Kamra kafi chota sa tha mager un k liya kafi tha. Mukhtasir yeh k teenooN wahan rehnay lagay. Sir per chatt aai tu pait bharnay kee fikar huee .......


(by A'nchaL)

---------------------------------------------------------------------------------------------

............jahaz kay lambay safar ki thakan bhi thi aur bhook bhi shadeed.Saleem nay bataya kay yahan paas hi ek pakistani resturant hai jahan kay khanay pooray London main mashoor hain.Aur log door door say khas tor per yahan ki kerhai aur gajar ka halwa khanay atay hain .karhai ka naam suntay hi faiz nay baikhtiyar kaha Ka bhai jaldi chalo mujh say to aik minut bhi ab bhook bardasht nahin hoti .Aneeq aur nadeem nay bhi haan main haan milai aur wo khanay kay leay ghar say niklay.resturant pass main hi tha to paidal hi janay ka irada kiya ."Saleem bhai Aj aap humarey mehman hain "Aneeq nay darwazay say bahar nikaltay huay kaha .

"Aray nahin bhai ap log yahan naey hain aur abhi kamai ka zarea bhi kuch nahin so Aaj ka khana meri taraf say hoga

" Saleem nay israr kiya .

"yeh to apki zarranawazi hai saleem bhai Aap bohat hi naik dil insan hain Allah apko is naiki ka ajar day Ameen."
Faiz nay bohat naram lehjay main bayan kiya .

Resturant pohncay aur sab nay mutafiq ho ker mutton karhai hi Order ki jiskay leay resturant mashoor tha aur meethay main gajar ka halwa.Jab bill dainay ka time aya to Nadeem bola yeh koi baat na hui Saleem bhai Apka humarey ooper yeh ehsan hi bohat hai K Apnay humain Dayareghair main bagher kisi paraishani kay atay hi humari rehayash ka intezam kara diya .Hum Aap per kisi qisam ka bojh nahin banna chahtay. aur us nay isharay say waitress ko call ker kay bill lanay ko kaha .
saleem bha i ko moqa hi nahin diya nadeem nay bolnay ka .aur faiz aur Aneeq bhi encouraging andaz main Nadeem ko daikhtay hi reh gaey.Bill Ada hua aur sab mazeed gup shup kay leay kuch dair waheen baithay rahay .................... .................... ............


(by A'nchaL)

----------------------------------------------------------------------------------------------

kuch dear ghup shup ke baad ... unhoon ne irada kiya wahaan se ghur wapis jaane ka ,... kyun keh thukun buhat zyada thi .. ub pait pooja tao ho chuki thi .. to sub wapis ghur ki taruf rawana hogaey ...
Fiaz bistur per laittay hi neend ki wadein mein jaa pohncha.. mager Aneeq ko neend hi nahi aayi ... kai kerwatain badlein mager aadhey ghunte ki koshish ke bawaajood bhi .. woh sonay mein na kamiyaab hi raha... To soocha uth ker zara taza hawa hi khaa aaey ... Derwazey se qadum bahar rukhtay hi osey paani ki awaaz aayi woh samjh gaya keh nadeem naha raha hai ... nadeem ne bataya tha keh woh soonay se pehle naha ker chaey pee ker sota hai keh osey chaey k bina neend nahi aati... Aneeq baahur derwaze ki chukhat pe baith gaya ... Thundi thundi hawaein osey choo ker derwazeh se andar ki taraf daakhil rahi thein.. aik pursakoon sa ehsaas os ke dil mein utarta chala gaya... os ka dil kiya keh yahein ghantoon aisay hi baitha rahey .. wuh aksur Pakistan mein bhi kai ghuntay baahar apne kumrey ki khirki mein khara un thundi hawaaon ke mazay liya kerta tha .... aur baaz dafah tochehal qadmi ko bhi nikal jaya kerta tha aur ghantoon chulte chulte jub pair thak jaate tao ghur ko lauta kerta tha ...
Pakistan ki yaad ne os ki ankhein num kerdein ... kitney haseen aur kush haal zindagi guzar raha tha .. kitney khwaab buney thay os ne .. os sar zameen per...apney mustuqbil ke .. aur apney aur sehrish ke ... . Unhi khwaabonko poora kerne k liey hi tao wuh yahaan aaya tha... ub osey waqayi kuch bun ker dikhana hai keh is se pehley sehrishko koyi uraa ley jaey ... achanuk osi waqt nadeem aur fiaz ke khayaal ne isey chunka diya ... muskurahut ne os k luboon ko choo lya ... wuh soochne laga keh wuh kitna kush naseeb hai keh osey pardese mein aane se pehle hi do dost mil gaey hein... ub acha time pass hojaya kereyga .. wuh yehi sooch raha tha keh peechey se kisi ne os ke kundhey per haath rukha ...


(by Biya)

--------------------------------------------------------------------------------------------------

Aneeq ne chaunk ker peechay daikha tu Nadeem ko kharray paya jo apnay geelay baal towel se khushk ker raha tha.Nadeem ne poocha "Yaar, yahan kharray kiya ker rahay ho, ghar kee yaad tu nahin aa rahi?" Aneeq dheeray se

muskura diya aur bheegi awaz main bola "Bhai mairay ghar kee kadar ghar se door pata chalti hai. Ajnabi dais mainajnabi logooN ke dermiyan rehna aik barra imtehaan hai mager yeh Allah ka shukker hai k iss ser zameen per qadam rakhtay hee tum jaisay aziz dost mil gai." Nadeem bhee muskura diya aur bola, " Haan yeh tu hai, chal ab aaram ker lay subah phir job bhee dhoondni hai".
Agli subah FAiz kee aankh sab se pehlay khuli aur uss ne dono ko jaga diya. TeenoN tayyar ho ker ussi resturant mainchlay gai jahan raat khanna khaya tha. Nashtay k dauraan teenooN hee apni apni jaga soch rahay thay k ab kahan se shuru karain. Inhi sochooN main gumm thay k unahin Saleem kee awaz ne chaunka diya. Saleem bola mujhay pata tha k aap yahan hee milo gay, Main flat gaya tha mager wahan lock tha tu seedha idhar hee chala aaya. Ab kiya
program hain tum teenooN k. Nadeem bola "Saleem bhai ham kaun sa London ghomnay aai hain k program banain gay. Bass soch rahay hain aaghaaz kahan se karain. Saleem muskurranay laga aur bola "Bhai issi liya tu main aaya hooN" .......


(by Tanha_musafir )

--------------------------------------------------------------------------------------------

Achaa! Nadeem nay apni chair khiskatay hua kaya ," Aen to phir Aap humari yeh mushkil bhi Asaan ker dain ....Agar Apkay mind main koi idea hai to zaroor bataen kiunkay hum teenon to yahan kisi ko bhi nahin jantay "


"Kiun nahin Bhai fikar kiuan kertay ho Rizk aur Izzat to sab Allah kay hath main hai magar haan waseela Insan ko hi banata hai Wo " Saleem nay kursi per baithtay huay kaha .
Saleem kay shaher main kafi waqif thay kiunkay taxi main safar kernay walay aksar pakistani bhi hotay thay aur dostana andaz ki wajha say wo kafi logon ko achi tarhan say janta tha .....unhi main say aik bohat bari convenience stores ki chain ka malik tha (Dhanani) . Tha to Agha khani per pakistani honay kay natay wo naey anay walay pakistaniyon ki kafi madad bhi kerta tha ....

Saleem nay kaha kay main kal Aap teenon ko Dhanani sahab say milwanay lay jaoon ga aur fori taur per wo apki zaroor madad karain gay InshaAllah... .baad main waqt kay sath sath Aap apni matlooba nokri ki talash bhi jari rakhain ...

London jaisay shehr main conveince ka to masala hai hi nahin her jagha busain aur trains say ba asani jaya ja sakta hai so abhi chal ker wo masala bhi hal ker letay hain ..yani kay monthly pass banwa letay hain ..jo kay sab say sasta paray ga .....phir jahan marzi ao jao ...maps ki madad say raston ko samajhna bhi Asaan ho jaey ga .......

Meri to dua hai kay Allah Aap teenon ko jald apnay apnay maqasid main kamiyab karey (Ameen )

Saleem ki batain sun ker teenon doston kay chehron per ek itmenan ki leher dor gai ..jo kay saleem nay bhi mehsoos ki ..usko bhi apnay dil main bohat khushi ho rahi thi kisi kay kaam a aker ....

Nadeem nay waitress ko bulaya aur charon kay leay chaey ka order diya .............



( by A'nchaL)

-------------------------------------------------------------------------------------------

phir saleem nay un teenon say kaha kay "

saleem : han doston ! main soch raha hon kay jab kay hamain kal jana hai dhabani say milnay to aaj kay din main tum logon ko thoda London shaer kay baray main bata samjha dayta hon..

jis par woh teenon ittifaq kartay hain kay...aaj kay din hum thoda yahan ki jaghon ko raston ko samjh lain to agay hamray liyay hi behter hoga...kab tak hum Saleem bhai ko choti choti bataon par zehmat dayngay...

Aneeq: builkul shai kah apnay saleem bhai. aaj hum thoda ghom phir lain..kal say to Inshallah mehnat mazdoori main time guzra karay ga ..

phir Saleem bhai unko london ki mukhtalif jaghon kay rastay samjhatay huy unko London city ki sair karatay rahay....aur is tarha unka yahan pehla din mukammal hua........

Agla din hazaron baychini liyay teenon kay liyay baidar hua woh teenon hi sochon main gum thay...kay aya unko koi si job mil sakay gi bhi kay nahi....tenon subha hi tayyar hokay saleem bhai ka intizar karnay lagay..aur unka intizar ziyada taweel nahi hua tha kay saleem bhai apna wohi mukhlisana undaz liyay unkay samnay thay ...

woh charon Dhanani sahab kay convinience stor pohanchay to dhanani shaab kafi ujlat main dikhai diyay.....aur unhon nay unkay salam ka jawab bhi jaldi main diya aur apnay kisi bohat zaroori kam main mashgool hogay......jis say un teenon kay hi dil bujh gay kay : yahan shayad koi kam nhi bannay wala" ...unkay chehray deikh kar saleem bhai muskura diyay aur kehnay lagay kay:

saleem bhai : kiya hua tum teenon ko..chehron par hawaiyan kiyun ur rahi hian ..?

inki baat par Faiz nay jhijhaktay hauy kaha kay..

Faiz: Saleem bhai hamain to yahan koi kam banta nazar nahi araha ..

uski baat par saleem bhai unko bataya hain yeh kay waqt hi dhanani sahab ka bohat masrrof guzarta hai..thoda sabar karo..sub sahihojay ga..

Dhanani sahab: Assalam oa lekum saleem bhai...kiya hal chal hian janab kay..

saleem bhai: walkeum assalam...Bus ji Allah ka shukar hai..Aram say din rata guzar rahay hain.....

phir dhanani sahab ki nigha in teen nay cheron par parti hia jo kafi had tak uljhay huay lag rahay hotay hain.....dhanani sahab ki nazron kay taqub ko deikhaty hauy saleem bhai kehtay hain..

Saleem bhai: hmm Dhanani shaba yeh teenon nay hain yahan..kal hi is zameen par qadam rakha hia...aur kal say meray sath hi hian.......agar in teenon kay liyay kisi kam ka intizam hojata to.......

dhanani sahab un teenon ko deikhtay hain aur pochaty hain kay..

Dhanani sahab: hmm Aray doston yeh cheray par 12 :00 kiyun baj rahay hain....koi masla hi nahi hai ....jab Allah nay yahan bhaijh hi diya hai to Rizq ka intizam bhi karday ga......yeh batao..tum teenon kiy akam karsaktay ho..?

Aneeq: ji mera nam Aneeq hia...aur kam to chahay jais aho ..kam say kam shoraat to ho...agar bhi Allah malik hai.....hum kam say kam bayrozgar rehna nahi chatay....isliya jo bhi job munasib lagay aap wohi job dilwa dain..

Aneeq ki is baat par Faiz aur Nadeem nay bhi han main han milai..

to dhanani sahab kuch sochtay huay kehnay lagay..

Dhanani sahab: hmmm sahi hai...phir yeh hai kay tum teenon ko ek sath to job milay gi nahi....mukhtalif jagha mukhtalif ma hoga....isliyay Allah ka nam lay kar jo job milay us par shukar kay kam shorh kardayna....phir jab khudh kisi qabil hojao to apnay matlab ki job kay liyay koshish karna.....
tum teenon main say jis ka dehan parhai ki taraf ho woh apni parhai ko bhi jaray rakhay....

us par Aneeq foran kehta hai..

Aneeq: han hum zaroor apni parhai bhi jari rakhiangya,...Inshal lah..

Dhabani Sahab kay pur khuloos rawaiyay ko deikh kar un teenon kay dil main itminan utar jata hai ..!!


(by Roshni)

------------------------------------------------------------------------------------------

Agla Din un teenooN ke zindagi main aik nai subah lay ker talu hua. Dhanani Sb. ne teenooN ko alag alag stores main jobs dilwa deeN. TeenooN kafi hadd tak mutmain thay k chalo rozgaar ka koi tu sabab banna. TeenooN ghar se ikhattay hee nikaltay aur phir bus stop se apnay apnay route kee bus main sawar ho ker apnai jai-rozgaar per pohanch jaatay.
Aneeq ko aik book store main job milli thee jahan ussay record maintanence k saath saath kuch coustermers bhee deal kernay hotay thay. Woh ab akser farigh waqt main sochta k shayad Un khawabooN kee tabeer nazdeek hai jo uss ne aur Sehrish ne daikhay thay. Kuch London ka mausam aur kuch doori ne aik ajab se aag uss kay dil main sulgai huee thee. Uss ne ghar khat likha tu socha Sehrish ko bhee likhay k hamaray khawaab sachay hua hee chahtay hain. Aik naya sooraj hamain awaz day raha hai. Judai k din thoray reh gai hain. Ussay lagta tha k Sehrish bhee ussay yaad ker rahi ho gee. Ussay soch rahi ho gee. Uss ne chaha k ussay likhay k

Abhi yeh haath tarooN ke pohanch se door hain janaaN
Abhi main maang main tairi sitaray bhar nahin sakta
Abhi kuch din lagain gay, khawaab ko tabeer honay main
Abhi kuch din lagain gay soch ko tasweer honay main
Abhi kuch din teher jao .....

Mager najanay kyun woh apnay khayalaat ko alfaaz karoop na dai sakka. Aur khat phir kabhi per daal diya.
Uss din subah se hee barish ho rahi thee. Nadeem ne tu unhain keh diya k aaj woh store nahin ja rahabul k chutti manai ga aur unahin bheee kaha k woh bhee rukk jain mager woh dono ruknay per raazi na huay. Aneeq store pohancha tu store k malik Mr. Malcom ne muskuraty huay kaha, "Enjoying the weather? ", Aik halki se muskurahat se uss ne jawab diya, "You know Mr. Malcom, I love this weather when I was in Pakistan but here the things have changed. I have realized that the weather doesn't mean anything it's the company that matters. That makes the weather beautiful n memorable." Mr. Malcom ne khushgawaar hairat se ussay daikha aur bolay "Man! u r rite, its the company that really matters and I guess that company made u so romantic". Aur woh hans perra aur bola "U can say". Woh apay computer kee taraf berh gaya jahan uss ne record update kerna tha. Aaj store kay baqiya do (2) salesman chutti per thay. Uss ne shukker adda kiya k uss ne chutti nahin kee warna Mr. Malcom pareshaan alag hotay aur impression alag kharaab hota. Uss ka yeh khayaal ghalat bhee nahin tha. Mr. Malcom ko uss ke punctuality aur baatain dono hee achi lageeN theeN. Woh soch rahay thay k iss lerkay kee maded zaroor karain gay. Abhi woh record update ker hee raha tha k ussay awaz aai "Excuse me" .. Uss ne daikha tu aik lerki jo soorat se Aisian lag rahi thee, Kandhay per bag latkai, ussi se mukhatib thee ....


(by tunha_musafir)

---------------------------------------------------------------------------------------------


Lerki :Can U please help me ?

Aneeq: Sure Mam how can I help U ?

Lerki : I'm looking for a Novel titled "Dream Merchant" . I have checked so many stores and every one is out of this best seller's novel, and I can't wait as I need it urgent !

Aneeq : Just give me a minute I'll check my records to see if ther's a copy left I know we have sold many copies of it in the last week also.


Aneeq nay computer main check kiya to ittefaq say unkay pass bhi yeh novel khatam ho chuka tha ....Lerki kay chehray per najanay kiya bachaini thi Aneeq ko tashweesh hui kay akhir is novel main kiya aisi khas baat hai jo isqadar bik raha hai aur iskay na milnay per lerki ka yeh haal hai .........nihayat maazrat kay sath Aneeq nay jawab diya

Aneeq: Sorry mam unfortunately we r out of this best seller's copy too .

Lekri : Oh nooooooo ( lerki kafi pareshan dekhai di aur aik babasi si uskay chahray per jhalak rahi thi )

Aneeq: Maam , there is some thing I can do for U we can book and urgent order for you if u make some payment as a deposit or if u like you can even pay the cover price and leave your phone No with us , we will inform u as soon as the copey arrives in our store.

Lerki : Thanks alot that would be great help ! . Where are you from ?

Aneeq: I'm from Pakistan !

lerki : Really I am from pakistan too ! . Good to know that phir to humain urdu main baat kerni chaheay na . to phir main apko full cover price hi pay ker dati hoon aur aap please jald mujhay yeh copy mangwa dain pleaaaaaaaaaaaaase .

Aneeq : Jee zaroor humari next shipment kal hi any wali hai aur usmain yeh novel bhi zaroor hoga apki tasalli kay leay main double chek bhi ker leta hoon .......by the way akhir is main itni bhi kiya khaas baat hai ?

Lerki : Khas baat ?................... .................... .................... ..............


(by A'nchaL)

--------------------------------------------------------------------------------------------------


itna keh ker wuh chup hogayi .. aisey jasiey khud se sawal ker rahi ho keh waqayi aisi kaisi khaas baat hai ... phir khaloon ko ghoorne lagi jaisey kahein gum si hogayi ho aur phir gurdun jhukaa gayi ... ... Aneeq buhat ghaor se os ke badulte rongon ko dekh raha tha...

Lerki ne achanuk uper dekh ker Aneeq ko kaha " hmm kuch kahaniyaan haqiqut mein such howa kerti hein .. kabhi koyi kirdaar aap ko apney jaisa lugta hai .. ya phir aisa mehsoos hota hai keh jis kirdaar ke bare mein author likh raha hai yeh " main hi hoon ya mujh jaisa koyi" ... mager dur haqeequt aisa hota nahi hai .. aur buhat kum kum baar aisa hota bhi hai .... " os ne aneeq ko dekha aur phir osey apni taruf dekhta paa ker wuh nazrein churaa gayi .. aur phir kehti " Main ne yeh kahani pehle bhi perhi howi thi mager is ka akhri safa na perh saki keh yeh novel mujh se khoo gaya tha ... ager hosakey tao aap mujeh please yeh novel dilwaadein"

Aneeq chup sunta raha phir bola .... " hmmm ... theek main apni puri bhurpoor koshish keroonga.. Aagey Allah ki murzi"

wuh mutmaqeen hogayi aur jaisey hi jaaney lagi ...pulti aur dekh ker poochne lagi " waisey aap ne apna naam nahi bataya"

Aneeq ... " Jee ! is wajeh se nahi bataya keh aap ne kabhi poocha hi nahi ... "

Lerki : hahaha!!! ub pooch leyti hoon.. kya naam hai aap ka ?

Aneeq ... Aneeq .. aur aap ka ?

Lerki : Laiba ... acha main chulti hoon ub meri class hai ... ok it was nice meeting you .. take care

Aneeq ne muskura ke kahaa : ok Allah hafiz


Laiba : Allah Hafiz

Aneeq kafi dear tuk os durwaazey ko tukta raha aur soochta raha os kahani ke bae mein ... kuch sawaaal zehun mein kerwatein badulte rahey .. akhir aisi kiya kahani hai yeh ? aur yeh laiba ne aisa kyun kaha keh kuch kirdaar kahani mein aap ko apne jaisey lugte hein... kya yeh bhi kisi kirdaar se milti julti hai ?? ... Ajeeb lerki thi ... phir os ne sir jhirk ker ghari ko dekha .. raat ke 8: 30 buj rahe thay os ne samaan pack kiya dukaan bundh ki .. tala laga ker ghur ko rawana hogaya ... serkoon per ajeeb si aik khaamoshi thi ... wuh pehley tao khamosh khara khamoshi ko sunta raha phir ghur ki taruf qadum burhaa diey ... apni dhun mein chulta raha.. logon ko dekhta batein sunta soochta chulaa hi jaraha tha ... achanuk hi road corss kerte howe osey aisa laga jaisey kuch cheez taizii se samne burh rahi hai ... itni dear mein os gaari ne osey maar diya tha ... gaari ki speed kaafi taiz thi jis ki wajeh se wuh kafi door saruk ke os paar jaa ker gira.. aur dard se uthtein taisoon ko berdasht kerte kerte wuh beyhoosh hogaya ..

Laiba apni dost ka intezaar ker rahi thi .. abhi os ne saruk paar nahi ki thi keh achanuk cheekh ki awaaz per os ne palut ker dekhaaa taooo ....


(by Sanwali or Biya)

--------------------------------------------------------------------------------------------------

Laiba palati hai aur samney daikhtey hi os ki cheeqh nikal jati hai. Woh bhag ker Aneeq k paas pohanchti hai lekin jab tak gari ka driver bhi baher ajata hai jo k itefaq se pakistani hota hai. Woh bohut khoof aur ghabrahut ki mili juli kefiyut main apney cell phone se 911 ko call kerta hai aur palat ker daikhta hai k woh larki apney dopattey se os larkey ka sir saaf ker rahi hoti hai jo k khoon se lat pat hota hai. Woh os larki k khareeb ja ker beithta hai aur kehta hai, I am so sorry mam but I have called 911 and ambulance will be here shortly. Laiba k hath ruk jatey hain jo Aneeq k khoon ko bheney se rokney ki koshish ker rahey the. Woh nazar otha ker os larkey ko daikhti hai jo k itni sard aur khamosh hoti hai k woh larka ghabra ker oth jata hai aur ambulance ki awaz ki janib daikhta hai. Ambulance main Aneeq k sath Laiba aur woh larka sath beith jatey hain. Hospital main aneeq ko emergency ward main pohncha diya jata hai aur woh dono do mukhtalif kono main kharey ho ker baher barish k girtey khatron ko daikh rahey hain. kuch hi lamhon main doctor bohut ghabraye howi halat main aa ker in dono se kehta hai k, patient has lost too much of his blood and to save him, we need same blood group as he has.
Larka: what blood group do you need?
Doctor: O-
Laiba (excitingly): this is my blood group, You can have my blood as much you want.
Larka: fortunately this is my group as well and as its caused by me so I will give the blood.
Laiba ko bohut gussa ata hai os k is andaaz per lekin berdasht ker k kehti hai k nahi main hi donge aur is tarah on dono main aik choti si behaiz hoti hai.
Doctor: Please we don’t have time and being honest with you, I prefer accepting the blood of this young man instead of you young lady.
Larka aik nazar laiba ko daikhta hai jis main jeet janey ki khushi dikhti hai. Laiba os ko nazar andaaz ker k doctor ko jo bheter samghey juld se juld kerney ka kehti hai. Doctor aur larka patient k paas chaley jatey hain aur Laiba wahan rakhi kuch benchon main se aik bench pe baith jati hai. Lekin jaisy hi os ka hath a’nchal k os koney ko chota hai jo ab tak khoon se bheega howa hai, to woh os hissey ko hath main paker ker olat pulat ker k os a’nchal ko taktey taktey maazi ki yaadon main kho si jati hai…


( by aik simple lerki )
--------------------------------------------------------------------------------------------

Wuh ghur mein daakhil hoti hai keh achanuk chota sa bacha zameen per beatha roota dekh ker os ke ghusey mein mazeed izafa hojata hai .... " hur rooz ki cheekh cheekh se main tung aagayi hoon" wuh yehi kuch sooch rahi hoti hai keh aagey se aaney wale ke saath tukra jati hai ... mager achanuk hi khud ko sambhaal leyti hai ... keh gir ker sambhalna os ne seekh liya tha .. wuh phir samne khara osey dekh raha tha .. aisi galzat bhari nazrein keh osey uljhun honey lagi mager khauf ne bhi dil ko jaisey muthiyoon mein ley rukha tha ... " aager waqayi is ne wuhi kiya ju yeh kehta hai tao kya hoga"... wuh aagey burh gayi ... amma kitchen ki zameen pe beathey rootiyaan bana rahi thein .. wuh unhi ke paas beath gayi tao amma ne kaha
"Aagayi meri beti .. jaanu khana paka ker rukha hai main ne tere liey chul uth hath mun dhoo ker aa aur khana khaa"
wuh acha jee keh achanuk palut ker kehti keh " amma yeh hur rooz yahaan kyun aajta hai "
amma : beta aisa nahi kehte ... bacha bara kaam wala hai

hmmm kehti wuh bathroom ki taruf burh gayi thi ... khana khaaney ke baad achanuk hi firing ki awaaz ne osey chunkaa diya .. wuh daur per baahur aayi tao amma ko zameen per khoon mein lut put paaya ... sakut o jaamud wuh khari sirf os beysood se wajood ko hi tukti gayi .. aagey phir dhundhlaahi chaah gayi aur munzur saare dhundlaa se gaey ... jub uthi tao bister per khud ko paya ...

wuh bhayanuk khwaab se jaagi thi .. os ka jism paseene mein lut put tha... amma bhaagti howi aayein aur pareshaan si nazreinse dekhne lagein phir poocha keh " kya howa laiba kyun pareshaan ho .. koyi bhayanuk khwaab dekha kiya ?" wuh sirf hmm ker keh reh gayi ...aagey kya batati ... aur bath room mein ghus gayi wahaan paani ke chenthein mun per maarey aur phir kupre badul ker college k liey rawana hogayi...

Shaam dhaley jub ghur mein daakhul howi tao aisa mehsoos howa jasiey kuch badla badla sa lug raha hai ... wuh andur daakhil howi tao mamon sofeh pe beathe osey hi dekh ker muskuraa rahe thay .. unhein aur amma ko salaam kerke jub wuh kupre badul ker wapis kumre mein aayi tao .. kushi se bas jhoom hi gayi .. osey tao pata bhi nahi tha keh os ka yeh khwaab itni asaani se pura hojaeyga ... waqayi khuda hi hai ju diloon ka haal janta hai .. wuhi hai ju khwahishoon ko pura ker sakta hai ... os ne khuda ka kaafi shuker ada kiya aur ... tickets haath mein dekh ker tao osey yaqeen hi nah aaya tha .... sub kuch khwaab ki manind lug raha tha ... london aik naya mulk... amma ko kaisey manaya tha yeh tao sirf wuhi janti hai ... london ke khwaab tao wuh buchpun se dekh rahi hai ... os ne din raat khwaab bunney shoorh kerdiey ...
wuh din bhi aagaya jub wuh apne bhai ke saath hi airport per ponhunch ker maa ki dowaein sameat ker jub wuh plane mein beathi tao kaafi azaad kaafi pursakoon mehsoos ker rahi thi ... osey jis baat ka dur tha ' wuh dur ju osey khaaey jaara tha ub wuh dur os ke saath kabhi hur ghiz saath anhi raheyga.. yeh sooch hi rooh mein aik sakoon se buksh rahi thi ... shuker hai keh amma ne os gundey ke saath isey munsoob nahi kerdiya... ager wuh kuch dina ur rehti tao is ke humesha ke inkaar se wuh kuch kerdeyta hai ... yeh wuh buhat achi tareeqe se jaanti thi keh os ka rehna wahaan mushkil tha... ub jub wuh london jaa rahi hai tao wahaan perh ker likh ker amma ko kush rukheygi ..



(by Biya or Sanwali)
--------------------------------------------------------------------------------------------


Aik saal baaad jub wuh london se pakistan jaa rahi thi tao kitni kush thi ... raste mein kuch gariyoon ne in ka peecha kerna shoroh kerdiya .. phir achanuk aik goli ju os ke bhai ka nishana bani ar bhai ke haath se straing wheel choota tao wuh tao gurbara si gayi ... os ne kaisey taisey kerke gaari ko brake lagaya tha.. aik taruf bhai ju akhri saansein ley raha hai aur dosri taruf wuh gaariyaan .. kuch dear baad wuh gaariyaan tao chuli gayi mager os ke bhai ki jaan osi ke haathon osi ki gaod mein nikul gayi ... wuh chahti thi keh aankh bundh kerey aur khuley tao pata chuley keh yeh khwaab thai .. mager khwaab tao azaab hote hein ... kuch dear baad jub police ne aaker osey uthaya aur laash ko uthaa ker leyker jaane lagey tao os ne apn ahi aanchul os k jism per uradiya tha ...

waqt bhi kya khail khailta hai .. kul jisey apne hi anchul se apne hi hathon mein murte dekha tha wuh apna tha ... laikin aaj jis khoon ko apne hi anchul se saaf kiya wuh aik ghear ... wuh achanuk hi phoot phoot ker rooo dii ... kaash keh os ki zindagi asaan hojaey .. osey khoon kharabey aur laashon se dur leyjaey... hathon ko uthaey wuh kitni dear tuk Aneeq ki jaan ki dowaein maangti rahi ... achanuk os ki nazur os lerke per perhi ju doctor se baat ker raha tha ... lerke ki jaisey hi nazur os per perhi tao wuh nazrein chura gaya ...



(by Biya or Sanwali)

-----------------------------------------------------------------------------------------------

Aankh Milney sey hur aik Raaz bikhar jaata hai
Bhaid khul jaatey hain, Palkon ko jhukaaey rakhna


os ki ankhoon mein kuch tha jisey wuh dekh ker sooch mein perh gaya keh os ne itni khubsuret ankhoon mein kaisi ik veerani si burpa kerdi hai ... aik dukh hai ju behta hai aur bikhurne ko tayaar hai .. Dil mein aik ajeeb si kasuk si uthi thi ... un ankhoon ko dekh ker kuch .... os ne sir ko jhutka aur sooch mein perh gaya .. ager yahaan rukey tao yeh ankhein taaqub mein raheyingi jin ka wuh samana kerne se garaez kerna chahta tha aur ager ghur jaeyga tao tunhayi ... tunhayi ka sooch ker os ne qadum burha liaey keh tunhaa rehne ki aadut si perh gayi thi ...


Wuh sari raat wahein bench per beathi rahi .. neend tao jaisey aankhoon se koson dur thi ... sari raat ankhoon mein kut jaaney se ankhein bhi bujhul thein ... na kuch khaya tha na kuch piya tha bas aik intezaar tha keh koyi tao kushi ka paeyghaam laeyga ... keh os ko zindagi mil gayi hai .. os ki sansein chul rahi hein dil ne dhurukne per khud ko amada kerdala hai .. mager subah k 9 buj gaey thay.. aur wuh durwaza waisey hi bundh tha ...
Aankh Milney sey hur aik Raaz bikhar jaata hai
Bhaid khul jaatey hain, Palkon ko jhukaaey rakhna


os ki ankhoon mein kuch tha jisey wuh dekh ker sooch mein perh gaya keh os ne itni khubsuret ankhoon mein kaisi ik veerani si burpa kerdi hai ... aik dukh hai ju behta hai aur bikhurne ko tayaar hai .. Dil mein aik ajeeb si kasuk si uthi thi ... un ankhoon ko dekh ker kuch .... os ne sir ko jhutka aur sooch mein perh gaya .. ager yahaan rukey tao yeh ankhein taaqub mein raheyingi jin ka wuh samana kerne se garaez kerna chahta tha aur ager ghur jaeyga tao tunhayi ... tunhayi ka sooch ker os ne qadum burha liaey keh tunhaa rehne ki aadut si perh gayi thi ...


Wuh sari raat wahein bench per beathi rahi .. neend tao jaisey aankhoon se koson dur thi ... sari raat ankhoon mein kut jaaney se ankhein bhi bujhul thein ... na kuch khaya tha na kuch piya tha bas aik intezaar tha keh koyi tao kushi ka paeyghaam laeyga ... keh os ko zindagi mil gayi hai .. os ki sansein chul rahi hein dil ne dhurukne per khud ko amada kerdala hai .. mager subah k 9 buj gaey thay.. aur wuh durwaza waisey hi bundh tha ...


(By Biya or Sanwali)
-----------------------------------------------------------------------------

Sehrish ka yeah final year tha, aur chand mah mein exams honay wallay thai.. tayaariyaan zoroon pay thi.. aaj bhi woh aur Uzma Library mein kaafi dair tuk baithee notes banatee raheen.. phir uss ko thakawat honay lagi tu dono nay break lainay ka socha.. gate pay sittay walla khara tha.. uss ko daikhtay hee dono ke bhook jaag uthi.. aik dosray ke taraf daikha khamooshi nay jaisay manzoori dai di.. dono nay aik aik bhutta liya aur khoob sara masala dalwa kay uss ko enjoy kartay wapis library ke taraf chal pareen.. phir janay kaya sooch kay sehr-ish nay kaha kay tum chaloo mein aati hoon.. magar uzma ka bhi mood shaid parhayee ka nahi tha.. woh bhi uss kay sath hee side lawn mein naram naram ghaas pay peepal ke chaoon mein baith gai.. kataboon ko darakht kay tanay kay sath laga kay sehrish nay ankhain moond leen.. ! Ankhain moond'tay hee aneeq ka chahra ankhoon kay samnay aa gaya hoo jaisay.. ya jaisay uss say milnay ko hee ankhoon ko monda hoo.. samnay khara muskara raha tha jaisay.. aisa lagay jaisay abhi kahay ga.. kaisi hoo Sehrish aaj phir parhee ka dil nahi kar raha.. 5 sala mansooba hai kaya.. !! uss kay chahray pay shaid muskarahat bikhar gai thi.. neem waa ankhoon say daikha tu Uzma uss say bay'khabar notes kholay un pay jhuki jaa rahi thi.. uss ko samajh nahi aata tha yeah uzma karti kaya hai.. parhti aisay hai jaisay duniya mein aur koi kaam na hoo aur koi equation solve karni par jaye tu aik dum blank hoo jati hai.. magar woh tu iss waqat kissi aalam e sarshaari mein thi.. ankhain moonday phir sajan dawaray hoo gai.. kitni hee battain theen jo kissi film ke tarhaan chalnay lagi theen.. woh din bhi jab aneeq aksar job ke talash say thak haar kay dil choor kay university aa jata.. kabhi library mein dostoon kay hajoom mein baitha nazar aata kabhi canteen mein.. kaisi viraani hooti thi uss ke ankhoon mein.. aur phir sab kaisay uss ka hosla bandhatay thai.. aur uss din kitnay gussay mein tha jab Tariq ko job sirf iss liyeah mill gai thi kay company ka director uss kay chacha ka dost tha.. halankay tariq nay tu mar mar kay 3rd division mein engineering kee thi.. aur uss ko director nay yeah keh kay reject kar diya tha kay sorry we are looking for fresh graduate halaankay uss nay 1st division mein graduate kiya tha.. itnay gussay mein uss nay pehlay kabhi nahi daikha tha aneeq ko ... aur jab uss ko sab nay yeah kaha tha kay bahir try karoo kam az kam bahir aisay safarishain nahi chalteen tu jaisay uss nay tabhi faisla kar liya hoo kay aab iss mulaq mein nahi rehna hai.. aur kaisay aik he maheenay mein sab kuch hoo gaya tha.. kitna khush khush aya tha poori class ko davat dai di thi lunch kee uss nay.. aik haftay baad hee tu jaa raha tha.. janay kiyon uss ke ankhain num hoo gaiyee theen.. shaid aneeq kabhi uss kay ehsaasat ko samajh hee nahi paya tha.. magar jab woh chupkay say canteen say uth kay issi darakhat kay neechay aan baithi thee tu kaisay woh uth kay uss kay samnay aan khara howa tha.. aur yahee tu kaha tha uss nay Sehrish parhayee mein dil nahi lagta... aur jab jatay jatay mur kay uss nay kaha tha.. be in touch aur aik kaghaz pay apna email address likh kay diya.. aur janay kiyon awaz ko dheema kartay kaha tha.. mein humaisha kay liyeah nahi ja raha .. bohat jald wapis aa jaoon ga.. bus duaoon mein yaad rakha.. kaisay chamak rahi theen uss ke ankhain.. jaisay andhairee raat mein aik dum say jugnoo jagmaga uthain.. kayariyoon mein lagay phool bhi tu aik dum say mahek dainay lagay thai.. roshniyaan see phailnay lagee theen.. aur phailtay phailtay faqat rooshniyaan reh gaieen.. aur unhee mein kaheen aneeeq ka wajood khoo gaya.. tabhi uss ko aisay laga koi uss ko hilla raha hai... aik dum say dar gai.. ankhain khoolieen tu dayeen ankh say aik ansoo rukhsaroon say phisalta howa kaheen uss kay anchal mein jazab hoo gaya... aur samnay uzma uss ko ajeeb nazroon say daikh rahi thi.. jaisay poch rahi hoo kay khariyaat kaya howa.. jagti ankhon say khawb daikhtay tu suna hai.. yeah un khawboon mein ansoo bahatay pehli baar daikha hai.. kaya kehti.. khamooshi say kitaabain uthaeen.. unhee mein aik kitaab pay aneeq ka email bih likha howa tha.. aaj uss ko gaiee howay lag bhag aik hafta honay ko aya tha .. magar uss ke koi khabar tuk nahi milli thi uss ko.. .. phir janay kaya soch kay wahaan say uthi aur uzma say kaha kay tum library mein chaloo mein zara computer lab say hoo kay abhi aati hoon... aur uzma ke koi baat sunay baghair hee wahan say uthi aur computer lab ke taraf chal di.. !


Basit
Digg this Post!Add Post to del.icio.usBookmark Post in TechnoratiFurl this Post!Submit to Yahoo!Submit to Google!Submit to Live!Submit to Facebook!Submit to Ask!Submit to StumbleUpon!Submit to Squidoo Submit to Netscape Submit to SlashDot Submit to Reddit Submit to FarkSubmit to Newsvine
Reply With Quote
  #2  
Old 12-18-2003, 12:01 PM
WorThless.'s Avatar
~* Drunk *~
 
Join Date: Jul 2003
Location: Dubai, U.A.E
Posts: 74,318

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Thanks: 74
Thanked 434 Times in 353 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 2486
WorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond reputeWorThless. has a reputation beyond repute
Default

/happy

Khoob likha jis jis ney bhi likha cafe main hee perhi thi /senior

khush rahein aap sab (f)
__________________
H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main
Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain
Digg this Post!Add Post to del.icio.usBookmark Post in TechnoratiFurl this Post!Submit to Yahoo!Submit to Google!Submit to Live!Submit to Facebook!Submit to Ask!Submit to StumbleUpon!Submit to Squidoo Submit to Netscape Submit to SlashDot Submit to Reddit Submit to FarkSubmit to Newsvine
Reply With Quote
  #3  
Old 12-18-2003, 02:58 PM
TUNHAYE's Avatar
TUNHAYE
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

Jeh Ka hai ?
Digg this Post!Add Post to del.icio.usBookmark Post in TechnoratiFurl this Post!Submit to Yahoo!Submit to Google!Submit to Live!Submit to Facebook!Submit to Ask!Submit to StumbleUpon!Submit to Squidoo Submit to Netscape Submit to SlashDot Submit to Reddit Submit to FarkSubmit to Newsvine
Reply With Quote
Reply

Tags
khawab, mertay, nahin, mushtarika, kahani
Thread Tools

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are Off
Pingbacks are Off
Refbacks are Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Muhabbat chor di hum nay . gujigal Ghazal 24 11-04-2007 01:29 AM
Jab piyar nahin hai to bhula kiun nahin detay..!! silent atitude Ghazal 5 10-31-2007 10:53 PM
Madad mangna abbi1602 Discussion Corner 266 09-21-2007 08:54 AM
___ Aik Net BEETI ___ Aas Urdu Writer's Club 26 06-23-2007 12:57 PM
___ Aik Net BEETI ___ Aas Aas 0 06-11-2007 04:37 PM

Urdu Poetry Forum RSS Feed One of the largest message boards on the web ! Photo Gallery RSS Feed

eXTReMe Tracker


All times are GMT +1. The time now is 03:40 PM.


Copyrights: All rights reserved.

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75 76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 87 88 89 90 91 92 93 94 95 96 97 98 99 100 101 102 103 104 105 106 107 108 109 110 111 112 113 114 115 116 117 118 119 120 121 122 123 124 125 126 127 128 129 130 131 132 133 134 135 136 137 138 139 140 141 142 143 144 145 146 147 148 149 150 151 152 153 154 155 156 157 158 159 160 161 162 163 164 165 166 167 168 169 170 171 172 173 174 175 176 177 178 179 180 181 182 183 184 185 186 187 188 189 190 191 192 193 194 195 196 197 198 199 200 201 202 203 204 205 206 207 208 209 210 211 212 213 214 215 216 217 218 219 220 221 222 223 224 225 226 227 228 229 230 231 232 233 234 235 236 237 238 239 240 241 242 243 244 245 246 247 248 249 250 251 252 253 254 255 256 257 258 259 260 261 262 263 264 265 266 267 268 269 270 271 272 273 274 275 276 277 278 279 280 281 282 283 284 285 286 287