It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on kaun jaane! within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; kaun jaane! shaihr kitnaa jalaa ho, kaun jaane! kahiin koi bachaa ho, kaun jaane! raheN ham is shaihr men - ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#1
| |||||
| |||||
| kaun jaane! shaihr kitnaa jalaa ho, kaun jaane! kahiin koi bachaa ho, kaun jaane! raheN ham is shaihr men - aur tum bhi yeh kiskaa faisalaa ho, kaun jaane! nazar milte hi uThTi hai yeh daihshat voh kya kuchh jaanta ho, kaun jaane! nahiin tha bazm men yeh theek hai par woh aana chahtaa ho, kaun jaane! na kar toofaan par itnaa bharosaa kahiin woh khushnumaa ho, kaun jaane! banaa kar kah rahaa hai who nasiihat hamaaraa vaaqi'aa ho, kaun jaane! abhi to shaakh par hi tha parindaa udaa ho ya giraa ho, kaun jaane! woh mujh se mashwiraah le to rahaa hai magar kya sochtaa ho, kaun jaane! sunaayaa mujh ko jo kuchh aa'ine ne use kis ne kahaa ho, kaun jaane! bhalaa ab aasmaan naapenge kaise? yeh paunaa ho, sawaa ho, kaun jaane! use mujh se, miri har baat se hai mujhe kis se gilaa ho, kaun jaane! kisi ki aankh se yarqaan ud kar bahaaron par lagaa ho, kaun jaane! baseerat kar rahaa hai ham sabhoN ki woh khud kitnaa bhalaa ho, kaun jaane! kahiin yeh shaikh ki aaraa'ishoN se, khudaa ghabraa gayaa ho, kaun jaane! zamaanoN tak takii hai raah jis ki use kuchh ho gayaa ho, kaun jaane! likha tha naam, phir rad bhi kiyaa tha dobaara kyun likha ho, kaun jaane!. chalo hogi sazaa roz-e-qayaamat magar kaisi sazaa ho, kaun jaane! k~^s)) |
|
#2
| |||||
| |||||
| /aoa Umer jee Apko Hg per KhushAmdeed @};- Achi nazam hai apki " Kaun Janay " @};- ....apko thora sa batati chaloon ...k yeh jo section hai Cefe yahan hum members say wo nazmain yah ghazlain share kernay ki tawaqu kertay hain jin main unko islah yah kisi tabsaray ki zarorat ho ..... Wesay aam tor per sab apni shaeri poetsClub main hi share kertay hain @};- Ap ko agar islah chaheay apni nazam main aur chahtay hain k koi unki nishandahi karay to aap iska izhaar apnay message main karain to Cefe main apko her mumkin madad milay gi @};-
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
![]() |
| Tags |
| kaun, jaane |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Jane kyun | hasankhan | Funny Poetry | 7 | 11-08-2008 08:22 AM |
| Bulla Ki Jaana Maen Kaun | bm25_2004 | Nazam | 4 | 01-24-2008 09:44 AM |
| Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai | mashamshah | Ghazal | 6 | 11-04-2007 01:34 AM |
| Kaun Jaane | Daanie | Ashaar - Misc | 12 | 10-09-2007 11:55 AM |
| jaane kyun..jaane kyun ..jaane kyun ? | washma | Funny Poetry | 7 | 06-27-2007 09:44 AM |