It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on jal pari................ .... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Salamz jee, Pehli dafa aik kaavish paish karnay ki jassarat kar raha hoon, apnay ustaad-e-mohtram Qibla Irfan Ali Minhaas, jo ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Salamz jee, Pehli dafa aik kaavish paish karnay ki jassarat kar raha hoon, apnay ustaad-e-mohtram Qibla Irfan Ali Minhaas, jo HG par Tanha Musafir kay name say jaanay jaatay hain, un ki ijazat say main musafir ka takhalus istemaal kar raha hoon, aap ki musbat tanqeed mujhay khaamion ko door karnay main aur aap ki hosla afzaai mujhay mazeed likhnay par maail kar sakti hay, agar aap ki nazar main yeh tehreer nazam kehlanay kay qaabil hay aur kisi adbi meyaar par utarti hay to apni raaiy zaroor den, shiddat say muntazir. Jal pari hooN devta kay des say paigham laanay walay panchi un say kehna ab talak daasi ki aankhoN maiN tumhaara roop hay haaN piyaaray panchi yeh bhi kehna kay yeh daasi us samey tak aankheiyoN ki chilmanoN maiN khaab paalay gi kay jab tak hijr kay sunsaan mausam chatt na jaaeiN wasal kay phooloN ki khushboo lay kay jab tak devta jee tum naa aao gay haaN panchi yeh bhi kehna devta jee teri daasi dar rahi hay kay jo aankhaiN khol baithi to kaheeN yeh zeest kaa haasil tumhaara khaab aur woh hijr kay lamhay tumhaara murr kay taknaa bheegi palkoN ki faseeloN say na chann jaaey o panchi yeh bhi kehna hay kay pagli jal pari ab yeh safar aur yeh riyaazat yeh aqeedat yeh ibaadat paanioN ki hasratoN meiN teh ba teh uthee hui saffaak maujoN kay piyaasay neelay hontoN par kisi pal seh naa paaey devta jee is kahaani main bhi paapan jal pari majboor-o-bay kas piyaar maiN bay haal-o-bay bas ishq kar kay phir akeeli reh naa jaaey devtaa jee teri daasi aansoo'oN maiN beh naa jaaey. musafir
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| wahhh ... bohhhat khooob aur bohhhat umda likha aap nay ... bohhhat acha laga parh k ... likhtay rahiyay ....
__________________ Wo jo shakhs tha wo kitab tha, so kitab jaisay bikhar gae Wo jo khwab thay wo azab thay, so azab jaisay thehr gaye |
|
#4
| |||||
| |||||
| pehli kawish hai to bohat hi ziada achi kawish hai Altab Sahib.... bohat si dad qubool kijiye....@};- likhtay rahiye aur share kartay rhaiye....
__________________ ![]() . . . Mere dil.. Mere musaafir..! |
|
#5
| |||||
| |||||
| wahhhhhhhh.. sahib.. kya hi kehnay .. Bohat khoob likh dala.. eik mayari nazam takhleeq kernay per.. dhairo'n mubarakbaad qabool kijiye.. Bohat Shukria.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#6
| |||||
| |||||
| Waaahhhhh Kia Kahneyn Khoobsorat
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
Bohat bohat shukriya jee, main dil ki gehraaion say mamnoon hoon is qadar daani par, aap ki hosla afzaai nay mujhay bohat hosla bakhsha hay, mujhay aap ka name to maloom nahin but chilli milli jee, thanks alot. jeeti rahiye aur bohat khush rahiye |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
Mohtram aap kay is ikhtesaar par dharknain bay akhtiyaar to huein leiken positive way main, jeetay rahiye, bohat khush-o-khuram rahiye aur aainda bhi is fiyaazi ka muzahira kartay rahiye gaa. |
|
#9
| |||||
| |||||
| Quote:
Bohat bohat shukriya jee, aap nay jis khaloos say hosla afzaai ki main intehaai mamnoon hoon, aap ki ghazlain nazar say guzarti hain, aap khud bohat acha likhti hain, is liye agar aap nay kuch alfaaz hosla afzaai main kahay hain to bohat maani rakhtay hain, bohat khush rahain, jeeti rahain. |