It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on jal pari................ .... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by Shagufta Basit Qasim, merey bhai aisa kab howa k tumhari kisi ghazal per reply na miley hon.... ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#21
| |||||
| |||||
| Quote:
Aap nay bohat khubsoorat andaaz main Qasim bhai kay gilay ko door karnay ki koshish ki hay, meri tamaam tar purkhaloos duaain aur alfaaz aap ki is koshihs ki taaeed main hain, Allah Qasim bhai ko aur bohat acha likhnay aur phir us par daad wasool karnay ki taufeeq day, Aameen.
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#22
| |||||
| |||||
| Quote:
Main kiya kahoon kay baar-e-mamnooniyat say meray alfaaz-e-tashakur jhukay jaatay hain, aap nay jin khubsoorat alfaaz ko zarya-e-mawaslat banaya hay yeh haqeer un ko dil ki gehraaion main basad ehtemaam saja raha hay takay un ki khushboo say hosla pa kar mazeed likhnay ka jazba aur shaoor milay. jeeti rahiye, aur apni sistraana duaaon main yaad rakhiye ga. |
|
#23
| |||||
| |||||
| Quote:
Iss baat ko maiN ne aik shair meN Dhaalne kii koSHiSh kee hai: Dunya e shair goii meN :Qassim: ka kya muqaam hai :Ghaalib:, :Anees: se yahaaN ustaad haiN guzar ga'ay
__________________ ![]() |
|
#24
| |||||
| |||||
:wah dear bro buhat khub :clapping2 buhat acha likha hai aap ne par kar acha laga kush raho buhat Ameen ![]() ![]()
__________________ Ek Aah Bhari Ho Ghi Hum Ne Na Suni Ho Ghi Jate Jate Tum Ne Awaaz Tu Di Ho Ghi ![]() Sukh Da Koi Saa Na Avey...? |
|
#25
| |||||
| |||||
| Quote:
Bohat bohat shukriya, aap nay meri kaavish ko pasandeedgi ki nazar say daikha, aap jeetay rahain aur apnay khoobsoorat andaaz say harf-o-maani kay zuhaab jaari rakhain,,,,,,,,,,,,, ,,,,,, bohat khush rahain. |
|
#26
| |||||
| |||||
| Altaf Hussain SaaHeb: Walaikum Assalam: aap kee is naZm ko beshak naZam kahaa jaa saktaa hai. ek mukammal Khayaal ko bohat KhoobSoortee se nibhayaa hai aap ne. lafzooN ka chunao aur nazm ka bahao donoN hee apnii jagah bohat dilkash heN. meree jaanib se ek khoobSoorat taKhleeq par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye. aap kee mazeed taKhleeqaat ka bhi intizaar rahe gaa MuKhliS Zahida Raees :Raji:
__________________ meree shaahiree se mujhe jaan lo keh yeh aaeena hai meri zaat kaa ![]() (Zahida Raees :Raji: ) |
|
#27
| |||||
| |||||
, aray wah ji wah shagird jee, kiya khoob joolaniyan dikhai hain, main apni mitti say door kiya aya hoon, peechay say meri seat sambhaalnay chal diye, ,,,,, buhat nice, buhat umda, buhat he pleasent, buhat he fluent, ustaad ka naam roshan karo gay, jeetay raho, khush raho, zaraa wapas aa loon ap say aik tafseeli nashist bhi karni hai, kuch sawaal tishna hain, kuch jawaabon ki talab hai, kuch jaankaari ki khoj hai, kuch mann ki baatain share karni hain, inshallah, 27 ko wapas aa raha hoon, or most probably 30 ko mulaqat ho gi. buhat se pur khaloos duaaon kay saath. ustaad jee.
__________________ Signature Removed - Unable to load the image Last edited by T@nHa muS@F!r; 05-16-2006 at 05:09 PM. |
|
#28
| |||||
| |||||
| Quote:
Assalam-0-Alaikum Qasim Bhai... @};- aap nay aisa kaisay soch liya... ye saari hastiyaaN tou khud hamaray liye hud darja qabil-i-ahteram heiN.. aur in ki muhabbat bhi hamaray eeman ka lazmi juzv hay... . aur mujhay ye yaqeen hay kay yahaaN koi aik bhi aisa member nahiN hoga.. jo isski buniyad per aap ki post ko ignore keray ga.. aap itnay achay shayer heiN... meiN tou aap k threads ki target killing kerta hoon ..means chun chun k parhta hooN... ![]() Allah aap ko aur bhi acha likhnay ki salahiyat se nawazay.... aur aap kay qalam meiN aur bhi zor paida karay... aur tamam wahem apnay dil-o-dimagh se nikal dijiye.... @};- |
|
#29
| |||||
|