It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ HumaiN us dais jana hai....!! ~*~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; naye saal ki pehli bongi lay ke main phir aa gaii ~*~ HumaiN us dais jana hai....!! ~*~ naye is ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() naye saal ki pehli bongi lay ke main phir aa gaii ~*~ HumaiN us dais jana hai....!! ~*~ naye is saal ki aamad pe ... tumsay itna kehna hai... ijazat do humaiN humdam ke qafs-e-jism-o-jaaN sehnay ka yara.... ab nahin baaqi ! humaiN us dais jana hai.. jahan pe titliyaaN phuloN ki baanhoN main ...chupi baithi...sakooN ki neend laiti hain humaiN us dais jana hai jahan kaliyoN ko muskanay say pehlay... toot janay ka... koi khadsha nahin hota jahan iss dais ki tarha ... koi ruswa nahin hota humaiN us dais jana hai... jahan pe parbatoN ki gaud say jharnay nikaltay hain jahan aihsaas ke jugnoo har ik jaanib damaktay hain jahan na dil ke kuchoN main kahin pe dard paltay hain hain pal do pal ke ab mehmaaN .. musaafat door ki janaaN .. ijazat do humain jaldi..ke humko door jana hai.. sulagtay khuwaab ke angaar ki ta'beer lana hai ke iss bai-jaan laashay ko tah-e-matti dabana hai jahan na zaat raiza hai, na hi fikR-e-zamana hai humain us dais jana hai ... humain ... us dais jana hai !!! aapki aara ki muntazir rahoongi ![]() khush rahiye @};- Mehroo
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px Last edited by kanch ki mehroo; 01-02-2006 at 08:36 PM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| Quote:
kya baat hai me ki janu ki buhat khub dear hamesha kush raho janu :/baja/:
__________________ Ek Aah Bhari Ho Ghi Hum Ne Na Suni Ho Ghi Jate Jate Tum Ne Awaaz Tu Di Ho Ghi ![]() Sukh Da Koi Saa Na Avey...? |
|
#3
| |||||
| |||||
| ijazat do humain jaldi..ke humko door jana hai.. sulagtay khuwaab ke angaar ki ta'beer lana hai ke iss bai-jaan laashay ko tah-e-matti dabana hai jahan na zaat raiza hai, na hi fikR-e-zamana hai humain us dais jana hai ... humain ... us dais jana hai !!! Per kabhi jazat bhi to mil nahi pai..laken hum sab aiehad tor ker chal detay hain...koi rok bhi to nahi sakta na chanda... Bahotu khoobsoorat @};- Khush raho bachay @};-
__________________ Hmmmmmmmmmmm -:? |
|
#4
| |||||
| |||||
| humain bhi us dess jana hai.......... ![]() bohat khoobsurat likha hai mehroo bala ki rawani hia nazm main khush raheye likhti raheye
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!! Main zindagi sey nibha rahi hoon Hai us nay pocha udaas ho tum! main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |
|
#5
| |||||
| |||||
| wow!!!!!!!! 3 3 bahot khoob mehroo,bahot zabardast nazam kahi hai aap ne,bahot maza aaya par ke, bahot khush rahiye aor likhti rahiye.
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#6
| |||||
| |||||
| ahaan chanda bohat khubsurat des hai :clap6agar pohoncho wahan toh humein na bhulana.. :kiss3bohat bohat khush raho... AMEEN
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#7
| |||||
| |||||
| awww mehrooo.... ![]() nazam bohat khobsorat hai.... 3 ....laikin etna dard aur etni udasi liay howay hai.....nai saal ka aghaz khush aaind tareeqay sai bhi kia ja sakta tha..... 0Allah tumhain hameesha khush rakhay...aur lambi omer daiy...aur aanay wala yeh saal tumhary liay khushiyan laiy...ameen... ![]()
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Mehrooo tera main kya karooon lagta hai ahista ahista tuu mere liyay tareef kay ilfaaz bhi khatam kardaygeee ,aur mere paas hai hi ek lafz zabardast woh bhi tu nay ek din mujhsay cheen lena hai aisi nazmain likh kar,..waqiyay ek scenary see dimagh main nazar ayeee tumharee yeh nazam parhkay chandaaa as if ,u can visualize the whole scene ur describing behadh khoobsurat nazam likhee hai chandaa, nayay saal kay agaaz main ek behadh khoobsurat sharing ALLAH TALA say dua hai tum hamesha khush rahoo aur yeh saal tumharay liyay hazaron khushiyaan layay AMEEN SUM AMEEN ![]() ![]() |