It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~Hina ka Rang Jaisay Aarzi ho~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by safeena Salam, Sab say pehlay to Ghazal ko pasand karnay kay liye bohat shukriya, kion kay mujhay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#21
| ||||||
| ||||||
| Quote:
ab esi bhi koi bat nahi sahab!sab ko aap ki ghazal pasand aaei hy, aur ye jo corrections haiN, ye bhi hamara piar aur khuloos zahir krti haiN... ager aap ko mushkil nai laga to aap ka baRa pan hy, mujhy to kuch kuch mushkil lag raha tha... Quote:
Quote:
"Khirad waa'da-e-farda pr hy raazi" aur aap ko to malum ho ga k adabi satah kr wazn ki ghalati kisi surat qubool nahi ki jati.... Quote:
__________________ tu na jadoN paas channaN! key ay saady paas way, din vi udaas saady, rataaN vi udaas way, luT gya chain sadaa, rus gye hassay way, khushiaN ny dur nssiaN... akhaN cham cham wssiaN!!! |
|
#22
| |||||
| |||||
| Quote:
Baad az aadaab o tasleemat, Jawab bohat khoobsorat laga, pehlay to ispar daad qubool kijeh. Bay shak is koi shuba nahee kay app logon ki mohbbat hai jo itni arq-raizi kartay hein, humein samjhanay kay liye. Theek hai janab koshish karta hoon kay iss shair ko qabo karon. aur "khirad" wala misra bhee change kar doon ga, Jee haan sahee farmaya app nay wazn ki ghalati qabil-e-qubool bilkul bhee nahee hai, mein apni ghalati manta hoon. Nahee janab app ghalat samjhein hein, mein nay kisi ustaad ki suhbat mein aaj tak waqat nahee guzara aur itni saari ghalation ki waja yahee cheez hai shayad. waisay itni saari tabdeelion kay baad meri ghazal to kaheen kho gaee hai ![]() Aik baar phir app ka bayhud shukriya, khush rahiye regards, Raza
__________________ MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen Sahir Faizabadi |
|
#23
| |||||
| |||||
| Bohat Umdaa ghazal . . . . . Dated 27th GHAZAL OF the Week V nice Poetry ![]()
__________________ ![]() |
|
#24
| |||||
| |||||
| Quote:
arrey naheen bhaahi,aesi bi koyi baat naheen hai,ham sab yahaan seekhney ke liye aatey hain,aor koshish kartey hain ke aek doosarey se kuchh seekha jaaye,aor jo ham jaantey hain woh doosaron ko bataaya jaaye,kiyoon ke bad qismati se ham main se aksar sirf apne shoq hi ki bina par qalam uthaatey hain,aor un ko koyi bhi baaqaaida sikhaaney waala naheen,(main ne bhi jo seekha,yaheen,issi foram main,inhi doston se seekha),...so umeed karta hoon ke aap bhi hamaarey saath is kaam main aagey aayain ge,![]() jahaan tak aap ki is ghazal ki baat hai to yeh aap hi ki thi,aor aap hi ki hai,.....choonke ghazal waaqayi bahot khoobsurat thi,..is liye us main mujhey jo,do aek khaamiyaan nazar aayain,mujh se nazarandaaz na ho sakeen, ![]() naheen,us misrey ki wajah se sher ka husn maand par raha tha,to socha ke jab yeh khoobsurat ho sakta hai,to kiyoon na koshish ki jaaye,aap ka shukriya ke aap ne,merey alfaaz ko maan diya,..wesey yeh sirf aek tajweez thi, ![]() Quote:
![]() Quote:
bahot khush rahiye,shaad o aabaad rahiye, ![]()
__________________ ![]() |
|
#25
| |||||
| |||||
| Quote:
Appka mesg parh kay bara sukoon mila, khair jo batein mein nay likh deen theen wo sirf yoon hi likh deen theen, inshaAllah jaisay hi waqt mila to app say chat par kuch batein poochon ga. Aur haan please meri mails dekh kar yeh bilkul mat samjhiye ga kay muhjay app logon ka ghalatiyaan pakarna accha nahee laga, bhai mein to bayhud khush hoon kam say kam agar kisi aur kay samnay parhoon ga to ghalation say to mubbarrra hogee na meri ghazal. so please aaindaa bhee yoon hi rah numaaii kartay rahiye ga app log. Baat to appki theek hai kay, accha hai kuch seekh lein takay aagay ghalati na ho, meri koshish hogee ka agli ghazal mein iss say kam khamiyaan hoon. App ka bohat bohat shukriya, inshaAllah "Ali" nay corrections keen hein wo bhee update kar doon ga. Maa'asalam Raza
__________________ MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen Sahir Faizabadi |
|
#26
| |||||
| |||||
| wah boht khooob aj pehli bar ap ko pada aur boht maza aya mashallah boht hi kamal ki ghazal kahi ap nay daad kabool kijiye "HG PuNj@bI@Nz"
__________________ ![]() |
|
#27
| |||||
| |||||
| v nice khubsurat kavish rahi buhat si daad qabool keray all the best
__________________ ![]() |
|
#29
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam, Bohat bohat shukriya kay app ko mera kalam pasand aaya, iss mein humaray kalam ka nahee app ki nazar-e-karam ka kamal hai. Raza Alam
__________________ MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen Sahir Faizabadi |
|
#30
| |||||
| |||||
| Quote:
![]()
__________________ MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen Sahir Faizabadi |