It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Dunya se kabhi kee koyee faryaad nahiN hai within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Dunya se kabhi kee koyee faryaad nahiN hai Itni bhi giraaN sakhti-e-baidaad nahiN hai Itni to khabar hai ke tamanna ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Dunya se kabhi kee koyee faryaad nahiN hai Itni bhi giraaN sakhti-e-baidaad nahiN hai Itni to khabar hai ke tamanna to bohot thi Kis shay ki tamanna thi, ye ab yaad nahiN hai Ek jast maiN lai aayee hawa isko zameeN per URta hua panchee koyee azaad nahiN hai Ek baar to dukh poochH lai us mohr-ba-lab ka YooN-hi to wo is shehr maiN barbaad nahiN hai Hai soch asasa mera, jo isko jakaR paaye Aisa to koyee panja-e-sayyaad nahiN hai Taqleed ke is daur maiN kia martaba-e-fikr Hasil koyee juz lazzat-e-eejaad nahiN hai Kis waastay jeenay ki tag-o-do hai subh-o-shaam Jab zeest se koyee bhi yahaaN shaad nahiN hai JuRnay na dia un se Saraab! apna kabhi naam Mujh sa to koyee majnooN-o-farhaad nahiN hai
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#2
| |||||
| |||||
| buhat umdha.............
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#3
| |||||
| |||||
![]() Itni to khabar hai ke tamanna to bohot thi Kis shay ki tamanna thi, ye ab yaad nahiN hai Kis waastay jeenay ki tag-o-do hai subh-o-shaam wahhhhh... kis shay ki tamanna thi... bohat hi umda... bohat si dad qubool kijiye... farrukh sahab k signature maiN aik misra hai.. "ji rahay haiN, kamaal kartay haiN"... aap par kuch yooN sadiq aata hai ; "jo bhi likh daiN.. kamaal kartay haiN" ![]() bohat khush rahiye
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#4
| |||||
| |||||
| Saraab aap ka zel ka sher bohat pasand ayaa, bohat umdah khayaal bayaan kia hay, daad qabul kijiay Taqleed ke is daur maiN kia martaba-e-fikr Hasil koyee juz lazzat-e-eejaad nahiN hai sohail malik
__________________ Sohail Malik |
|
#5
| |||||
| |||||
| Ek baar to dukh poochH lai us mohr-ba-lab ka YooN-hi to wo is shehr maiN barbaad nahiN hai wahh...Dr sahib hamesha ki trah bohat umdah.. ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| bohat khoob ....awesome ghazal
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Itni to khabar hai ke tamanna to bohot thi Kis shay ki tamanna thi, ye ab yaad nahiN hai wahhhh bht khub bht khubsurat ghazal kahi aapne tamam ashaar hi khubsurat hain par is sher ne bht mutasir kia
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| Saraabs bhai aadab, Yeh ghazal bhi lajawab rahi tamam hi ashaar khayal aur bayan ki khubion say bharpoor hain taham yeh shair khussosi taur par pasand aaya Ek baar to dukh poochH lai us mohr-ba-lab ka YooN-hi to wo is shehr maiN barbaad nahiN hai Meri jaanib say bharpoor daad hazir hai. Anis Hasan |