It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Duniyadaar aur fankaar within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Duniyadaar aur Fankaar Duniyadaar Fankaar Say Tu bhi kabhi muskurayaa hota Is jahaaN ka khuda jo apnayaa hota Bheer main ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Duniyadaar aur Fankaar Duniyadaar Fankaar Say Tu bhi kabhi muskurayaa hota Is jahaaN ka khuda jo apnayaa hota Bheer main phirta beshaql bun kar Aur izzat ka makhota lagyaa hota Jamaal-e-fan-e-zindagi say na-ashna rehta Aur khyaal balNdioN pay na layaa hota Zauq-e-talab is jahaaN main jurm hai sadioN say Is jurm pay tujhko na pyaar aayaa hota Befiqr ki masti main phir tu bhi raqs karta Riwayaut ko jo khuda tunay banaayaa hota ---######----- Fankaar Duniyadaar Say Meri duniya main jo ik baar tu aayaa hota To yeh reham toonay khud pay hi khayaa hota HoNth phail jaanay ko hi tu haNsi samjhay Masrrat ko itna to na girayaa hota Miltay jo balaNdioN pay basay shffaaf zehan Apnay aleel fulsphoN pay sharm khayaa hota Dekhta jo tu meri masarrat ki parvaazaiN Larkhraatay kadamoN pay apnay na itna itraayaa hota Samajh paataa tu jo vehshi say insaaN bannay ka safar To zauq-e-talab ko duniya nay na juram banayaa hota Ik baar phir chal diya uqta kay woh daanaa Main hi kaash teri mehfil main na aayaa hota --------------------------------
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla Last edited by brijinder1232; 08-17-2006 at 10:51 PM. Reason: Typo errors |
|
#3
| |||||
| |||||
| bahot khoob janaab,aap ki yeh nazam bhi bahot khoob rahi, ![]() bahot khush rahiye,likhte rahiye. ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#4
| |||||
| |||||
| Bouhat Khoob...Masha Allah Aap Bouhat Ba Salahiyat Hai'n... ![]()
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| HoNth phail jaanay ko hi tu haNsi samjhay Masrrat ko itna to na girayaa hota wah.........bohat hi khoob.. bohat khoobsurat nazam kahi bhai aap nay keep sharing
__________________ jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzer gaye rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya |
|
#6
| |||||
| |||||
| I am moved by such very warm expression of appreciation from all of u.If my poems make u pause,think and agin pause n think,that is the reward of my poem. Thanx |
|
#7
| |||||
| |||||
| wah bohat khoob zabdast likha hey. keep writing humeri traf se dhairon dadh qabool kijiya. ALLAH ap ko sada kush rakhay. Ameen Sum Ameen
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Wasim bhai,I am very thankfu for the warm words appreciation. Brijidner"Sagar' |
|
#9
| |||||
| |||||
| bohat khoob , daad wasool ki jiyay ........
__________________ /shukar |
|
#10
| ||
|