It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Duaaein Cheekh Uththi hain....... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; wah khoobsurat khush rahiye...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#81
| |||||
| |||||
| wah khoobsurat khush rahiye
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#82
| |||||
| |||||
| Quote:
Bhai musafir... kya baat hai... aapka andaaz to ghazab lagta hai.... kya zabaan hai... kya lafz chunte hain aap... jee khush ho gaya aapki tehreer ko parh kar... aapne bataya ke aapki maadri zabaan punjabi hai aur iske bawajood aap jis tarah se urdu ko barat rahe hain... kamaal hai! Janab aisa hai ke hum aap ki baaton se pori tarah ittefaaq karte hain aur bas itna kehna chahte hain ke... aap jis safar pe poore josh ke saath gaamzan hain, hum bhi usi safar pe nikle huye hain aur maze ki baat to ye hai ke jangalon aur maidaanon me der se bhatak rahe hain, khushi hoti hai! Lijiye do sher yaad aa gaye... sun lijiye... nida faazli kehte hain apni talaash apni nazar, apna tajraba ho chahe rasta saaf bhatak jana chahiye aur.... aapke ahmad mushtaq sahab.. naye deewano ko dekhein to khushi hoti hai hum bhi aise hi the jab aaye the veerane me! sach much khushi ho rahi hai aapse yun ru ba ru hote huye... aur sach kahon to aap hume koi naye deewane to kisi tarah nahin dikhlayee dete... aapka kehna ke jab maan liya to phir kisi aur baat ke liye jageh kahan reh jaati... bilkul durust, magr aisa hai ke har zeerooh ka, chaahe wo insaan hi kyun na ho ye apna zaati masala hai, aur kayi baar maan lene ke baad bhi daryaaft ka amal jaari rehta hai aur har ek nazar ke saath shiddatein badhti, dooni hoti jati hain. Dher saari duaein aur nek khwahishaat aapke liye... aap apni khoshish jaari rakhein... mujhe yaqeen hai aap apni alag raah nikaalne me zaroor kaamyaab honge... jahan tak rehnumaayee ka sawaal hai to... hum khud ko is laayeq nahin samajhte... bas itna kar lete hain ke agar kuch cheez nazar ko khatak gayi aur saamne wale ne israar kiya, to isharah bhar kar diya. phir wo jane... uska kaam... Aap apni ghazalon ko likhne ke baad kuch din apne saath hi rakhein... aur parhte, gungunate rahein to inka husn aur nikhar sakta hai saath hi... maani ki bhi tehein barhti jayengi. Meri koshish rehti hai ke kisi lafz ka istemaal us waqt tak na koron jab tak ye yaqeen na aa jaye ke koi doosra lafz us per ghalib nahin aa sakta. Der se jawaab dene ke liye maafi chahta hon! Jeete rahiye! Odu Aakhir me aik sawaal... jawaab mujhe nahin chahiye... ye sirf yunhi poochne ke liye hai. Aapki is ghazal ke radayef "cheek uthti hain" achi hai... magr kya aap iske maani ki gunjaish se poori tarah waqif hain aur kya kaafiye ke saath iski humaahangi se waqayee satisfied hain? |
|
#83
| |||||
| |||||
| wahhhhh buhat hi umda.....keep writing
__________________ some joys are better expressed in silence as a smile holds more meaning than words ,so I just smiled |
|
#84
| |||||
| |||||
| Quote:
buhat buhat shukriya............ ........pasnad karnay ka......
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#85
| |||||
| |||||
| Quote:
Qibla minnat kash-e-baar-e-mamnooniyat say adab kay raaston ka yeh kotaah qaamat is lamhay faqat itna soch raha hay kay kitna kushaada zarf hay aap ka jis main naa sirf rahnumaai kaa saaman hay balkay, himat afzaai, aur veeran khaan-e-takhayul kay liye kitnay charaag chupay hain jo shab haaey teera main misl-e-khursheed yaas shiknee main hama waqt masroof hain, aap say baat kar kay jo aalam hay main aisaa qavee to kabhi na thaa, bas yeh aap ki hosla afzaai hay kay main mazeed likhnay ki jasaarat kar sakoon gaa, aap kay astafsaar par mahaz itna keh paaon gaa kay cheekhon ko main bhi intehaaey khalaish-e-karb-o-soz-e-ranj-e-wahshat ki nawaa nahin jaanta, magar kiyaa karoon kay abhi naa tajurba kaari bhi to daaman geer hay aur hosla bhi asmaanon tak ka nahin hay, bas jhanjhornay ki bajaaey sirf ishaara karnay par iktefaa kar kay guzar giya, apnay aik aur namoona-e-kalaam ka likn aap ki khidmat main basad ehtraam bhaijnay ki juraat karnay ko dil chaah raha hay us par apnay harf-o-maani ki qandeelain rawana karain jin say main roshni paa kar mazeed acha likh sakoon, aap salamat rahain, sada khush rahain, aur sada muskrahtein ap kay labon par hatmi naaz ban kar raqsaaN rahaiN. http://www.hallagulla.com/vb3/urdu-p...ly-112599.html ![]() |
|
#86
| |||||
| |||||
| Ustaad-e-Mohtram, New ghazal kab charhaa rahey hain site par, janab aap Pak say kiya gaey hain, lagta hay aap ka takhleeqi safar bhi slow ho giya hay, jaldi say wapas aaien, yaa phir wahin say he koi new ghazal upload kar den. aap ka tabeadaar shaagird.
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#87
| |||||
| |||||
| bohut khoob, bohut sensitive subject per likha aur khoob likha. bohut mubarak ho aap ko itna behtareen likhnay per
__________________ Aasma Erum |
|
#88
| |||||
| |||||
| Salamz ustaad jee, Qibla ik jasaarat ki raat ko, agar aap bura naa maanein to bata hoon, ,,,,,,,, wesay aap ki shafqat say umeed hay kay aap dar guzar farma den gay, ,,,,,,,,,, raat ko aap ki is ghazal main thori pevand kaari ki yaa youn kahiye kuch shaagird gardi karnay ki koshish ki, aur main nay daikha kay agar is kay qaafiye main "cheekh uthti hain" ki bajaaey "bain karti hain" bhi laga diya jaaye to wazan to wohi rahey ga magar is ki shiddat-e-izhaar main mazeed kaat paida ho jaaey gi, yeh to mujhey pata nahin kay aap nay isey kuch narm alfaaz main wohi paigham pohenchaaney ki koshish ki ho gi, magar is tarah karney say meray khiyaal main shaairana ta'aali kay murtakib honey say daman bachaya ja sakta hay, ,,,,,,,,,,,,,,,,,, gustaakhi ki maafi, is ziman main aap kay khiyaalaat jaan'nay kay liyey betaab hoon, umed hay kay aaj after noon main aap kay saath jo nashist hay chaupal main us main aap is maamley main koi pur maghaz guftagu farmaaein gay, ,,,,,,,,,,,,,, wesay sachi baat bataaoon, yeh shararat sirf is liye ki kay mulaqat main pursish-e-ahwaal kay baad baat karney kay liyey kuch to ho, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,, Jeetay rahiye, Allah aap ko aur izat say nawazey, ,,,,,,,,,,,,,, shaagird jee |