It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Duaaein Cheekh Uththi hain....... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by rose2006 *salaam musafir ji* very nice work hamesha ashey hi share kartey raho ,,,,,,,,,,,,,,,, Salam jee, Bohat ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#71
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam jee, Bohat bohat shukriya jee, bohat nawazish, karam , kamaal-e-meharbaani, izat afzaai par khaksaar har-e-shukr guzaari kay gullhaaey nau khez liyey paaband-e-jasaarat-e-kornish hay, qabool keejye aur aainda bhi apni purkhaloos duaaon main yaad rakhiye. bohat khus rahiye,. ~muS@F!r~
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#72
| |||||
| |||||
| bohat khoob tanha ji bohat acha likhte hai'n aur bohat acha likha hai .. khush rahiye likhte rahie 3
__________________ ![]() . . Tere is jahaN maiN aye Khuda..woh nahi to lagta hai kuch nahi |
|
#73
| |||||
| |||||
| Quote:
Janab Shaagird-e-muaazam-o-munnazam, Aap ki tehreer main jo harf zanni hoti hay , woh sarbastaa dard-e-lazat amez ka ganj-e-graaNmaya lagta hay, aap kay lehjay main ehtraam ki aanch bhi hoti hay aur soorat-e-barrash-e-shamsheer kaat bhi hotee hay, ab main aap kay is dabbang aahang ko kis ma'ani khezi ki kehkashaaon main sajaaoon, janab aap say baat karnay ko ab to yeh dil-e-aashufta mizaaj jaisay udhaar khaaey baithaa hota hay, yeh walwala-e-barq-e-tapaan khirman-e-idraak par soor-e-israafeel phoonktaa mehsoos hota hay, kabhi kabhi to youn lagtaa hay kay qadeem-e-azzal nay roz-e-alast jab zaraah-e-bay mayaa ko auj-e-surayya bakhshaa, amr-e-qaaima ko dawaam-e-haadis bakhsha to aap ki rooh ki baas meri rooh kay mashaam main rach bass gaei thi. Aap say phone par baat karnay ka sharf haasil hua to mujhay laga kay koi aisaa bhi hay jo meri wahshaton, meri tanhaaion, meri dil fariftagee, meray har zakhm-e-sadd chaak par apnay haroof-e-asloob-e-taaza say marham rakhnay wala bhi hay, aap ko jawaab nahin daina kiyunkay main aap ko jawaab nahin daina chaahtaa balkay sawaal daina chaahta hoon, sawaal jo mujhay aap ki shanaasaai kaa huner ataa kar dain, aap mujhay ustaad nahin agar hamnasheen-e-rooh-e-akhlaas likha karain to tamaaniyat kaa ehsaas ho ga. Umeed hay aap meri is bay nawaaei ko apnay zarf kay mutabiq ehtraam aur maan dain gay. Bohat si duaaon ki chayaa main aap kay liye deeda-o-dil farsh-e-raah kiye. ~muS@F!r~ ![]() Last edited by T@nHa muS@F!r; 05-05-2006 at 06:51 PM. |
|
#74
| |||||
| |||||
| tasleem...!! Ghazal achi kahi hai aapne Zameen khasi mukhtalif aur dushwaar nikaalne ki koshish ki hai... phir lafzon ka chunaaw bhi waqayee zabardast hai... bas zara kahin kahin baher me kuch jholeedagi ya yun keh lein kotahoiyaan reh gayi si mehsoos hoti hai... Guzarish hai ke aap aik baar zara nazr-e-saani kar lein... ke is tarah jab parhte huye aahang toot'ta hai to phir qaari ka zehn aur bhi doosri baaton ya khayalon se ulajhne lagta hai. Is tarah... kayi baar usey kuch misre... ya koi koi sher poora ka poora mahez aik koshish aur mushkil alfaaz ko yakja karna ya sajana lagne lagta hai. Agar tajreed ki baat hai to mujhe lagta hai aap meri is baat se zaroor ittefaaq karenge ke tajreedi parey fankaar ki to samajh me aate hain magar aam fahem kam hi hua karte hain aur aam logon ke haafze ka hissa zara mushkil hi se ban pate hain... Ye bilkul alag baat hai agar wo hume nihayat hi khoobsoorat aur maani se labrez dikhlayi padte hain... Yahan meri muraad ye hargiz nahin hai ke aap aam logon ke liye hi likhiye... Main khud apni baat karon to tajreed mere liye khuda ki tarah maanikhez aur muqaddas hai... balki yun kehna behtar rahega ke main khuda ko tajreed ke hawale se hi samajhta aur iski lasaani misaal jaanta hon aur isiliye uski ibadat karta hon. Aap me zabardast salahiyat hai. kya hi behtar hoga agar aap kabhi kabhi kisi ustaad ko apne kalaam dikha liya karein. Duaein waghairha!! Odu |
|
#76
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam brother-e-bazurgwaar, Aaj pehli baar mujhay apni kisi tehreer par is qadar pur maghaz aur mukhlisaana hadd tak faseeh naaqidaana raey parhnay kaa moqa mila, janab aik to arz yeh karna hay k main koi pukhta kaar aur qaadir-ul-kalam shaair to hoon nahin, main to mehaz dil main uthnay wali teson ko haroof kaa jaama pehna kar doston kay saamnay paish kar daita hoon, aur woh kamaal meharbaani say meri kotaahion ki nishaandehi kar kay mujhay shukriye ka moqa faraham kartay hain, choonke ustaadi ka koi daawa nahin is liye ghaltion ki gunjaaish bhi dosron kay muqaablay main fazooN tar ho gi, aur main mashkoor hoon kay aap jaisi moatabar hasti nay meri adbi aghlaat ki nishaandahi farmaai, adbi hawaley say main tajurbi asloob par apnay aap ko maail pata hoon, tajurad jis ka aik laazma hay, main qadeem banjar ko bhi itna hi mohtram o muqadam samajhta hoon jitna jadeed lisaani tashkeelaat aur esteaaron ko, qadeem urdu main mustemal estaaron kay pehloo ba pehloo agar ham jadeed tasawuraat aur tashkeelaat ko bhi jaga dain to meray khiyaal kay mutaabiq kaafi takhleeqi jehaat waa ho sakti hain, main apnay taeen yeh yaqeen bhi rakhta hoon kay qaari ko kabhi bhi underestimate nahin karna chaaheye, qaari ki samajhnay ki salahiyat par bharosa kartay huey agar usay kuch mawaad aisa bhi day diya jaaey jis say woh sochnay par majboor ho to kiya he behtar ho, kiyunke is tarah us kay zehen ki partain to khulti he hain laiken saath saath he kai naey zaaviye, naey asloob aur naey aahang saamnay aatay hain, jo bazat-e-khud adab ki nabzon main naei zindagee kaa baais ho sakta hay, ,,,,,,, aap nay kaha kay aap khuda ko us ki tajreed k baais maantay hain to main to mahaz itna jaanta hoon kay jab maan liya to phir kisi wajoob ki zaroorat nahin rehti, kiyunke woh to maan lainay say pehli kay lawaazmaat main aata hay, jee, aap nay kaha kay meray misron main jholeedgi paaei jaati hay to main to khud aap kay is lafz "jholeedgi" say mehzooz hua hoon, aur isay aap ki takhleeqi salaahiyat ki lan taraani samajhta hoon, main kisi bhi excuse kay baghair is baat ko qabool karta hoon kay meri kaavish ghaltion say khaali nahin hay, aur main to khud urdu main apnay aap ko is qaabil nahin samajhta kay likh sakoon yeh to doston nay majboor kiya to likhna shuroo kiya aur dost bhi meri tarah urdu ki haqeeqi baareekiyon say koson door thay is liye meri har ghalat tehreer par bhi daad-o-tehseen ki nawaazshain kartay rahay, mother language punjabi hay, umeed hay aap meri majboori ko samajh gaey hon gay, aur rahi baat kisi ustaad say islaah lainay ki to aajkal lahore main jis qisam kay ustaad miltay hain, un say islaah kam aur aik doosray kay baray main gilay shikway, galam galoch ka dars ziyaada mil sakta hay, is liye is dasht ki siyaahi mai kisi ustaad say is tarah bidakta hoon jaisay koi tifel kisi ghair maree makhlooq say, aap jaisay baaligh-un-nazar say main umeed rakhtaa hoon kay aap is baarey main meri rahnumaai farmaa kar mujhay minnat kash-e-ehsaan zaroor karain gay, Bohat si duaaon ka nazrana. ~muS@F!r~ ![]() |
|
#77
| |||||
| |||||
| Quote:
OH shukriya shukriya jee, bas jee ab kiya karoon khud bakhud he likha jaata hay is mai mera koi qasoor nahin, main to bas baithtaa hoon aur meray mukhlish parhnay waalon ki duaain takhulaat ko haroof ki soorat meray qalb par naazil kar daitee hain, is main meri salaahiyaton ka amal dakhal kam aur aap jaisay doston ki duaaon ko ziyada ahmeiyat haasil hay, main koshish karoon gaa kay aap doston ka yeh maan salamat rahay, aur main mazeed achaa likh paaon, duaaon kay iltemaas kay saath. Khush rahiye, jeeti rahiye, hansti muskraati rahiye, aur meri tehreeron par tabsraa zaroor karti rahiye. |
|
#78
| |||||
| |||||
| Quote:
|