It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Duaaein Cheekh Uththi hain....... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by T@nHa muS@F!r kia hova ap ko.................. ... roman urdu mein nahi hai jee...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#51
| |||||
| |||||
| Quote:
![]()
__________________ ~~Main burron say lakh burra sahi...magar UNSAY hai mera Wasta~~ ..sry |
|
#52
| |||||
| |||||
| Quote:
yooNhi share kartay rahiye ALLAH karay zoor-e-qalam or zyada hoo
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#53
| |||||
| |||||
| wahhhh ... bohhhhhhhhhat hi khoooooooob .. bohhhat acha likha aap nay .. very well done ![]()
__________________ Wo jo shakhs tha wo kitab tha, so kitab jaisay bikhar gae Wo jo khwab thay wo azab thay, so azab jaisay thehr gaye |
|
#54
| |||||
| |||||
| Quote:
salam para jee, Qibla, woh wala ma'amla hai , kahaan tak suno gay kahaan tak sunaaon, janab dil mila hai magar dard ki soorat or us par mustzaad-ye-kay dar bhi har pal, har gharri gham ki wahi ki tarah utarta hai or ham us ko rehal-e-jaan main youn sajaa laitay hain jaisay koi saheefaa rakha ho, or ap nay kaha zindagee main kabhi khushi kabhi gham hota hai, magar jis ko khushi kay maani he naa aatay hon, ne..........way, sorry ap ko bore kiya, ap sunaayey ap kaisay hain, khush baash, or shaadaan-o-farhaan hain naa, ap kay liyey bohat si duaain, bohat si naik khaahishaat, jeetay rahain, khush rahain, hanstay muskratay rahain.............. ~muS@F!r~ ![]()
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#55
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam Aamir jee, Bohat bohat shukriya, ap nay meri tehreer ko saraaha, ap ki daad bohat maani rakhte hai, isi tarah meri aainda tehreeron ko bhi apni raaey say nawaaztay rahiye ga, jeetay rahain.............. .... ~muS@F!r~ ![]() |
|
#56
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam Diya jee, bohat bohat shukriya ap nay jo achay alfaaz, jin naik or mubarak raaey ko paish kiya hay main minnat kash-e-ehsaan hoon, jeeti rahiye, khush rahiye, sadaa hansti muskraati rahiye, or meri tehreeron par isi tarah apnay alfaaz kay laal-e-guhar daan karti rahiye, Allah ap ko bohat si kaamyaabiyaan day, ASA................ ~muS@F!r~ ![]() |
|
#57
| |||||
| |||||
| Quote:
Do-or-Die, Salam, Oh sajan jee, its ur id or an order, yaara jo hukam ham sar taa paa mujasma-e-ijz-o-niyaaz banay ap kay is hukm ki ta'ameel kay liye mojood hain, janab bas isi mohabat,isi inayat kaa izhaar kar diya kijiye, ap kay liye, roman to kia, latin main bhi likhi jaa sakti hai, jeetay rahiye, khush rahiye, hanstay muskratay rahiye............. Sadaa maflooj hay kab say, duain cheekh uthti hain lutee ismat kay laashay par, hayaaein cheekh uthtee hain Hisaar-e-zulm say jab bay basee kay bain uthtay hain Takhayul tharthraata hay, khataaein cheekh uthtee hain Meray sultaaN teri chokhat pay faryaadain mujassam hain Yeh ghaao kitnay gehray hain, dawaaein cheekh uthtee hain KahaaN, insaaniyat, tehzeeb aur insaaf kay daaei Mushi'yat bay bharam, wahshat saraaein cheekh uthtee hain Addam say kheech kar layaa thaa jis ko kun kaa aawaazaa Yeh doraaN larkhraati hay, Fanaaein cheekh uthtee hain Amman kay ghalghalay main harf masloob-e-muaani hay Sisaktee hay jo dharkan to, ghinaaein cheekh uthtee hain Yahi behtar thaa, beti paidaa hotey dafan kar daitay Koi majboor kehtaa hay to maaein cheekh uthtee hain Falak ki bay hisee hay laal aandhee ab nahin aatee Shafaq jab surkh hoti hay, hawaaein cheekh uthtee hain Khandar yeh girnay waalay hain, nishaan yeh mitnay walay hain Koi katbooN ko parhtaa hay, ghupaaein cheekh uthtee hain Jahaan qaanoon andhaa, zar ki laathi thaam chaltaa ho Wahaan jo adl hotaa hay, sazaaein cheekh tuthee hain Musafir bujh chukay aatish fishaan ghairat kay seenay main Yeh dhartee baanjh banjar hay, wafaaein cheekh uthtee hain...... ap ki duaaon ka talib............... .... ~muS@F!r~ ![]() |
|
#58
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam janab, Bohat heeeeeeeeeeeeeeeeeee eeeeeeeee shukriyaaaaaaaaaaaaa a, ap ki pur khaloos duaaon kaa bohat shukriya, or ap nay jin naik khaahishaat ka izhaar kiya hai, ALLAH PAK ap ko bohat si nawazishon main masroof rakhain, jeetay rahiye, bohat khush rahiye, hanstay muskratay rahiye, or apni raaey kaa izhaar kartay rahiye,,,,,,,, ~muS@F!r~ ![]() |