It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Duaaein Cheekh Uththi hain....... within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by abbasi wah bhai wah, kia musshkil magar pur maghz tehrir hai...... parhtay rahen aur parhtay rahen... wel ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#41
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam jee, mujhay mehsoos hua kay ap nay jab id register karwaya to shaayed sab say top par meri hi ghazal thi, or ap nay pehla msg bhi mujhay hi kiya, agar yeh mahaz khush gumaani nahin to main apnay ap ko khush qismat tasawar karta hoon kay aik achay or baazoq qaari nay meri tehreer ko is qaabil samjha, jeetay rahiye, khush rahiye, hanstay muskraatay rahiye, or meri tehreeron par apni raaey zaroor paish kiya keejiye, ~muS@F!r~ ![]()
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#42
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam jee, ap ki id daikh kar apnay aik dost shaair kaa sher yaad aa giya, paish karnay ki jasarat kar raha hoon, Chaand ko daikha to woh naaraaz si kehnay lagi, ya mujhay daikha karo, yaa aainaa daikha karo, bohat acha laga ap nay meri ghazal ko daad kay qaabil samjhaa, jee, mustaqil mizaaji to ho gi, dil kay karb nay bhi to mustaqil deray daalay huey hain, dil kay saath jab dard bhi jaaey gaa to phir sakoon, saari mustaqil mizaaji kaafoor ho jaaey gi, baharhaal, jee, inshallah apnay qaare'een ko aainda bhi apnay bay rabt tehreeron say tang karta rahoon gaa, jeeti rahiye, khush rahiye, hansti muskrati rahiye, ~muS@F!r~ ![]() |
|
#43
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam muhtram, ap kay alfaaz mann ki piyaasi dharti par aab-e-zulaal ban kar barsay, chand gharion ko youn laga jaisay har taraf ik ajeeb si tamaaniat kay deray hain, janab ap jaisay mukhlis doston nay isi tarah hosla afzai jaari rakhi to , yaqeenan meyaar par bhi aanch nahin aayey gi or asraar-e-barbaadi-e-dil bhi nihaan reh paain gay, inshallah saee-e-baleegh ho gi kay ap ko acha kalaam parhnay ko milay, jeetay rahiye, bohat khush rahiye, hansntay muskratay rahiye. ~muS@F!r~ ![]() |
|
#44
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam, yeh zindagi, Agar ap isay jasaarat tasawar naa karain to aik sher yaad aaya, Zindagee keh diya hay us nay mujhay, kia usay mujh pay aitebaar nahin, janab ap nay jin achay alfaaz kaa nazraana kiya hay, dil ki gehraaion say bas ik dua si nikalti hay, qabooliat kaa naa to faraib kabhi khaya hay naa he aarzoo hay magar achay doston kay liyey zaroor yeh khalish si rehti hay kay ALLAH un ko har khushi jo aalam-e-imkaan main is khaaki jasad rakhnay wali makhlooq kay liyey bani hay, woh ap sab ko milay, ap ki aaraa ka aainda bhi intezaar raha karay gay, jeetay rahain, bohat khush rahain, sada hanstay muskratay rahain. ~muS@F!r~ |
|
#45
| |||||
| |||||
| Quote:
buhat buhat shukriya............ ....... khsuh rahiye........... |
|
#46
| |||||
| |||||
| Quote:
Salam sagar jee, janab ap kiya ghazab kartay hain, kahaan janab Habib Jalib or kahan yeh khaak nasheen, abhi to is dasht main qadam hi rakha hay, abhi to khud he apni tehreeron say mutma'in honay ko dil nahin karta, ap nay to meri basaat say ziyaadaa izat afzaai kar di, baharhaal jis ka zarf jitna kushaadaa hota hay woh utna he nawaazta hay, ap ki is farakh dili par mahaz itna kahoon gaa kay main koshish karoon gaa kay achay say acha kalam paish kar sakoon, jeetay rahiye, boht khush rahiye, hanstay muskratay rahiye. ~muS@F!r~ ![]() |
|
#47
| |||||
| |||||
| Quote:
Qasim bhai, Salam (110) Janab bas ham to is qaabil nahin thay, yeh to ap jaisay shukhan shanas, shukhan parwar, shukhan feham, saahibaan-e-ilm-o-maarefat kay qadmon mian baith kar kasb-e-ilm ki koshish ki to jitna mila us par saad kiya, or phir "Qul Rab-e-zidni ilmaa" yaad aayaa to tishnagi or barhti gaee, is main koi zaati kamaal nahin, yeh khaaksaar bas op jaisay doston ki duaaon ko sarmaaya-e-zeest samajhtaa hay, bas op duaaon or hosla afzaai ki rasm jaari rakhiye gaa, jeetay rahiye, khush rahiye, hanstay muskratay rahiye, or us dar par jhukay rahiye jahan bay zar boozar ban jaatay hain, or hamaray liyey bhi kuch maangiye, ~muS@F!r~ ![]() |
|
#48
| |||||
| |||||
| Quote:
zindagi mein oonch niich ati rehti hay kabhi khushi kabhi gham laikin dua honi chahiye kay bus khush rahay hum bhi aur doosray bhi ![]()
__________________ ![]() |