It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Dil maiN rakheiN to nigaahoN say juda ho jaaey within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; jumla adab dost sathion ki khidmat main ~muS@F!r~ ki taraf se ik taza kawish ap sab ki khidmat main paish ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
jumla adab dost sathion ki khidmat main ~muS@F!r~ ki taraf se ik taza kawish ap sab ki khidmat main paish karnein ki jasarat kar raha hoon, umeed-e-wasiq hai k ap k zoq-e-saleem ki meraaj ko choo paein gi, agar koi ghalti reh gai ho to us se sarf-e-nazar kariya ga, or ap sab ki tanqed-o-araa ka muntazir raho, jeetay rahaein, khush rahaein, sada hastay muskuratay rahaein. ap sab ki duaaoan ka tilib........... Dil maiN rakheiN to nigaahoN say juda ho jaaey Kiya qiyamat hai, jisey chaaheiN, Khuda ho jaaey ankh khaaboN ko kabhi daam-e-sehar maiN ghairey Khaab jharr jaaeiN to yeh farsh-e-azaa ho jaaey Khaak zaadey haiN, tujhey chootey huey dartey haiN Ham say jannat maiN kahiN phir na khataa ho jaaey Zabt bhi hota nahiN, toot kay rona bhi nahiN Rog aisa hai kay jeevan bhi sazaa ho jaaey Ishq hai, daagh nahiN, noor hai peishaani ka Sar ho tasleem maiN kham, sajda adaa ho jaaey Hijr-o-aaseb-e-mohabat ki fasooN kaari maiN Tum jo taaveez bano, radd-e-balaa ho jaaey Harf bhi lab pay haiN or haath bhi khaali apney Woh to kuch or hai jo rakht-e-duaa ho jaaey Woh bhi manzil kahiN aati hay wafaa ki raah meiN Khaak-e-na'alein bhi jab khaak-e-shifaa ho jaaey Ham ko nisbat hay muS@F!r kisi aisay dar say Ab to a'adaa ko bhi khairaat-e-wafa ho jaaey . . . . . . . . . ~muS@F!r~ ![]()
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#2
| |||||
| |||||
| Quote:
:clap5Aik baat yahaaN per aapko bataanaa bohot zaroorii ... Pooraa yaqeen hai merii baat ka bura naheiN maanaiNgay aap ![]() Shair # 2, 3, 4, 6, 7, 8, aur 9 k qavaafee ghalat ho ga'ay ... Ghabraa'iay naheiN, maiN uskii wajah bhii bataataa hooN ![]() Aap ne matle meN "juda" aur "khuda" qaafiaa baandhaa hai ... Ab choonke malte k dono qaafiay "juda" aur "khuda" daal aur alif per khatam hote haiN iss liay ab aap paaband ho ga'ay haiN k baaqii aShaar k bhii qaafiay daal aur alif per khatam hoN ... Iss tarah dekha jaa'ay to malte k saath shair #5 ka qaafia hee jaa'iZ hai ![]() Iss masle ko duur kerne ka aasaan tareeqa hai ... Apne malte k kisii aik micre ka qaafia tabdeel ker daiN ![]() Qassim Mirza :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
aoa:buhat khub kush raho bhai Ameen ![]()
__________________ Ek Aah Bhari Ho Ghi Hum Ne Na Suni Ho Ghi Jate Jate Tum Ne Awaaz Tu Di Ho Ghi ![]() Sukh Da Koi Saa Na Avey...? |
|
#4
| |||||
| |||||
| wah!!!!! bahot khoob janaab,kaya khoob ghazal kahi hai aap ne,maza aa gaya par ke,har har sher pe dil ash ash kar uthaa,is qadar khoobsurat ghazal kehne pe dheron daad qabool kijiye, bahot khush rahiye,aor likhte rahiye ke bahot hi khoobsurat likhte hain aap.
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px Last edited by zain; 05-30-2006 at 01:26 AM. |
|
#5
| |||||
| |||||
| bauhat umda para jee hamesha kee tarhaan ![]() apni is umda kawish per is khaaksaar kee janib say dili mubarakbaad aur bauhat c daad qubool farmaayen Khush rhain sadda ![]()
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Ha ha ha , ,,,,,,,,,, ha ha ha , ,,,,,,,,,,,, ha ha ha , ,,,,,,,,,,,,, ha ha ha, ,,,,,,,,,,,,,,, ha ha ha , ,,,,,,,,,, ustaad jee, maza aa giyaa, main soch raha hooN aap ki kaifeeat kiya ho gi, ,,,,,,,,,,,,,,,, ha ha ha ha ha ha , ,,,,,,,,,,,,,, mujhey matla lay baithaa, aur aap ko qaafiyay nay dabo diya, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ,,,, qasam say is waqat aap kay saamney hota to aap ka muny choom laitaa, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ![]() Qasim Bhai, aap khoob adab ki khidmat kar rahey hain, acha hay koi apna he ghalti nikaal day warna dosray to bohat takabur , bohat zulm aur bohat bay rehmi say ghaltiyaan nikaltey hain, ,,,,,,,,,,,,,,, Allah aap ko jazaa-e-khair day. (110) Shaagird jee,
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Ali Ali janaab Ali Ali k naam per >-v 110 Qassim Mirza :Qassim: |
|
#8
| |||||
| |||||
| bohat acha likha hai gr8 work
__________________ ![]() |