It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Dil huwa taar taaar apna bhi within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Originally Posted by Aik Lamha Assalam -0- alaikum Phir apnay riwayati Break k ba'ad aap k kaanoN ko takleef denay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#11
| |||||
| |||||
| Quote: wa-alaikum-as-salam Moin Bhai... kya khoob nazm kahi hy... Dil hua taar taar apna bhi, hy koi gham-gusaar apna bhi... wah, bohat acha hy mat'ta... aur maqta bhi bohat umda laga, lamha ki takraar do mukhtalif maanoN meN achi lagi... zindgi us pe waar di tu ne, Lamha lamha guzaar apna bhi... matla aur maqta k beech k tamaam ashaar bhi bohat khoob rahy, sirf aik lafz ki adaaaigi pr shak ki waja se aik misry ka wazn kuch khrab laga. misra hy "wah ri qismat teri nazar meiN hua". Mery khyal meiN yahaN lafz "waah" ki alif girai nai ja'y gi, balkay wazeh ada ki ja'y gi.... aik khubsurat ghazal kehny pr meri janib se bohat si daad hazir hy, qubool kreN, Allah Mola aap ko bohat ziada ata kary... khush raheN, aabad raheN, likhty raheN (is se ziada raftaar meiN), aur ham se share krty raheN...
__________________ ------------------------------------------------- Bedil libaas-e-zeest bohat deeda-zeb tha aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya... (Bedil Haidri) |
|
#12
| |||||
| |||||
| zindagi us pe waar di tune Lamha,lamha guzar apna bhi lajawab.behad aala ghazal.padhkar bahut achha laga.bahut sari daad. |
|
#13
| |||||
| |||||
| Bayhadd Khobsoorat Ghazal Moin Jeetay Raho, Khush Raho
__________________ Signature Removed - Only One Image is Allowed Tu Aik Image Remove Ker Daitay Poora Signature Q Remove Ker diya |
|
#14
| |||||
| |||||
| Quote: sab say pahli baat ye hay k ab tak moin ki jitni bhi shairi takhleeqat meri nazar se guzri hain un ki roshni main mujhay yehan aik mukhtalif moin nazar aaya hay,,, apnay usloob ko yoon yeksar badal kr kuch izhaar krna aik kaar e muhaal hay,,,jis main mera khiyaal hy k moin boht kaamyaab nazar aaiy hain,,,dairon main rah kr dairay tornay wali shairi istalah yehan saadiq aati hay,,,, aik or baat jo main nay mahsoos ki hay wo ye k guzishta wo tamam ghazlain jo main ny parhi hain un ko madd e nazar rakhtay hoaiy ye kah sakta hon k ye wahid ghzal hay jis main izaaft sy guraiz kiya gaya hay,,, bay panah taghazzul.or bay panah jamalyaat ki haamil ye ghzal mujhay to mast kr gaee.... kuch sha,iri aisi hoti hain jo sirf sun nay main achi lagti hain or kuch aisi hoti hain jo sirf sar e warq achi lagti hain,,,moin ki pichli kawishain sar e warq to jamalyat ki haamil theen,laikin gosh br aawaz itni sahr angaiz na theen.,,,is ghazal main meri zaati raaiy yehi hay k ye na sirf sar e warq saahib e jamal hay balkay gosh br awaz bhi jamalyat sy bharpoor hay... aik share jo kamal e saadgi k saath khiyaal rifat samaitay hoaiy hy,,zaroor qout keron ga waah ri qismat teri nazar main huwa dushmano main shumar apna bhi kiya kahnay hain bhai is shair main wah ri ny boht lazzat di zindagi us pe waar di to nay lmha lmha guzar apna bhi aiy maseeha kuch khiyal kr hal e dil sudhar apna bhi is shair pr kuch tanqeed ki jaskti hay..aik to ye k maseeha k saath sudhaar ka talaazma kuch jacha nahi,,kasak baaqi hay..or doosra ye k pahlay misray main ,apna, ki kuch takraar bhali nahi lagi,,, aik shandar ghazal thi moin jis nay chaltay hoaiy qadmon ko rok diya....boht saari mubarkbbad or daad paish e khidmat ho |
|
#15
| |||||
| |||||
| Umdaa Aur Khoobsorat,,,,,,,,,@ };-
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#16
| |||||
| |||||
| :-s itti sari tareef already ho gayi me sab ki copy paste ker doon kya ![]() excellent!!! thts all i can say likhtay raho be blessed!!
__________________ Things to do: 1) Get up 2) Survive 3) Go back to Sleep ![]() Last edited by ~*kainat*~; 05-02-2007 at 08:07 PM. |
|
#17
| |||||
| |||||
| aahaaaa .. bohat khoob kehnay lagay hain ... mashaAllah moin bhai banay banaaye shaayer hain . main wesay bhi aap k kalaam ki mu tarif hoon ... aey maseeha khyaal kar apna haal e dill kuch sudhaar apna bhi zindagi us pay waar di too nay lama lamah guzar ..apna bhi ..!! do ashaar ki tareef karnay ka ye matlba nahi k baqi meray soteelay hain /khekhekhekhe likhtay rahiye @};- ham parhtay rahen gay pakistan zinda baad : |