It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Daagh daamnn ke jo dho laitay to achha hotaa within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa Hum bhi ji bharr ke jo ro laitay to achhaa hotaa ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa Hum bhi ji bharr ke jo ro laitay to achhaa hotaa Aisaa toofaan to jeevann mai'n na phir aanay lagaa Khud hee kashti ko duboo laitay to achha hotaa Raat k uss peher jo woh diyaa buhjaat k chalay unn ko aankho'n mai'n samo laitay to achha hotaa Hum sawaalo'n ko nigaaho'n mai'n chhupaa rakhtay hai'n Jhaank aankho'n mai'n kabho laitay to achha hotaa Un k deedaar ki ik raah to baaqi thi kabhi Garr jo ik shabb ko hee so laitay to achha hotaa Un ke phoolo'n mai'n wo khushboo to abb nahi baaqi Un ke kaantay hee chubho laitay to achha hotaa Hum se manzil ka ta'ayyun na ho sakaa Sajid Khud ko rasto'n mai'n jo kho laitay to achha hotaa Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail. com) |
|
#2
| |||||
| |||||
| Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa Hum bhi ji bharr ke jo ro laitay to achhaa hotaa dar-o-deevaar ko chup chaap kharay taktay rahay lafz do lafz jo keh laitay to achha hotaa Raat k uss peher jo woh diyaa buhjaat k chalay Bandd aankho'n ko jo ker laitay to achha hotaa Humm nay saawan ki wo rim jhim jo kabhi daikhi thi Qaid manzarr sabhi ker laitay to achhaa hotaa Apni manzil ka ta'ayyun to kiyaa kertay rahay Khudd hee rastay bhi banaa laitay to achhaa hotaa Aik lamhay mai'n musaafir banaa gayay hum ko Do qadam saath bhi chal laitay to achha hotaa Hum sawaalo'n ko nigaaho'n mai'n chhupaa rakhtay hai'n Jhaank laitay meri aankho'n mai'n to achha hotaa Meri ankhon main jhank laitay to acha hota Abb ke ash'aar mai'n woh baat nahi'n hai Sajid Un k chehray ko jo keh laitay to achha hotaa RED = Qawafi Blue = Radeef Assalam-o-alaikum Sajid Sahab buhat hi achi Ghazal kehne ki koshish ki hay appp ne Khayal aur alfaz ka chunao bhi buhat acha hay Magar zara si 1 kami nazar aii socha aapp ko se share kadon umed app ko bura nahen lage ga. Ghazal kehne k liay intial 2 batain eham hoti hain Qafia aur Radeef. App ki is ghazal main Radeef tu sahi hain siwai 2nd last shair k us main radeef garbar hay aur Qawafi sab share main garbar hain Ab pehle lete hain Radeef ko App ki ghazal main Radeef Hay "Laitay to acha hota" Agar app dekhain apni 2nd last wale shair ki 2nd line main tu apne radeef bhi ghalati kardi hay, main ne blue line main usay sahi karne ki koshish ki hay magar Qawafi still garbar hay. 2nd thing lete hain qawafi ko App ki ghazal main jo pehla Shair hay us k Qawafi hain DHO & RO Is hisab se app ko baqi k tamam shair main Qawafi in k ham awaz hi rakhne the. Radeef aur Qafia ki tashreh buhat lambi hay aur main khud abhi sekhne k marahil main hoon is liay app ko aik link PM kardon ga, Ya Phir bhi koi prb rahe tu Mere Ustad Hain, MOIN, QASIM, ZAIN & MEHRO. App in main se kisi se bhi contact karsakte hain Umed k koi baat bure nahen lagi hogi Dua'go Mehtab
__________________ ![]() Last edited by MEHTAB; 07-27-2006 at 06:04 PM. |
|
#3
| |||||
| |||||
![]() bohat khubsoorat ghazal kahi aapne...yaqeenan aapke khayalat bayhad dilkash haiN... lekin yahaN aik do batoN ki nishan dahi karna chahooNgi... apki ghazal ka radeef hai "laitay to acha hota"...but apne 2nd last shair maiN radeef change kar dia .. 2ndly apne matla maiN "ro aur dho" ko qawafi banaya hai ... to ab apki ghazal ke qawafi matla ke hisab say hi honay chahiyeN thay...like so, kho, jo...waghaira. ... ho sakay to in batoN ki roshni maiN is ghazal ko phir say kehnay ki koshish kijiye ga, bila shuba yeh aik haseen ghazal kehlaye gi ![]() kuch bura laga ho to mazrat chahti hooN... @};- khush rahiye
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#4
| |||||
| |||||
| Thanks Alott all of u... ya i was also thinking k iss mai'n kuchh garr barr hai.. Thanks for pointing out the mistakes.. i'll make ammenments in it.. aur mind kernay ki to baat hee koee nahi hai.. I am here to learn.. aur mujhay khushi hai k mujhay aap logo'n se kuchh seekhnay ko mill raha hai Thanks |
|
#5
| |||||
| |||||
| Assalamualaikum , @ Mahtab bhai, mehroo baji. well, mai'n nay koshish kee hai, iss ghazal mai'n behtari laanay ki.. i dont know kis hadd tak kaamyaab rahaa.. Please is per nazar-e-saani ker ke apni tajaaweez se nawaaziyay .. Shukriyaa.. Duaao'n ka Taalib Sajid |
|
#6
| |||||
| |||||
| walikum asalam Sajid@};- wahh wah ... kiya kehnayyyy... aik aik shair bayhad khoob kaha .... bohat si dad qubool kijiye ![]() Hum sawaalo'n ko nigaaho'n mai'n chhupaa rakhtay hai'n Jhaank aankho'n mai'n kabho laitay to achha hotaa Hum se manzil ka ta'ayyun na ho sakaa Sajid Khud ko rasto'n mai'n jo kho laitay to achha hotaa beautifullll @};- 1 2 misroN maiN abhi thori si prb lagi mujhe... like dis one Aisaa toofaa'n to zindagi mai'n phir na aanay lagaa isko agar ap yooN karo : aisa toofan to jeewan maiN na phir aanay laga to ziada munasib hoga... ![]() khush raho aur likhtay raho ke ap maiN likhnay ki bohat salahiyat hai @};- |
|
#7
| |||||
| |||||
| Thanks alott..janaab.. InshaAllah... koshishj jaari rakhoo'n gaa.. aap duaao'n mai'n yaad rakhiyay gaa |
|
#8
| |||||
| |||||
| Bohat achi kawish hai.. khayalat bohat umdah hein.. bus inhen muntashir na honay dijiye.. daad qabool kijiye.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |