It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aye mairay dil-e-nadaaN, tu mujh pe nazar rakhna within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Na apni khabar rakhna, na un ki khabar rakhna Pindaar-e-muhabbat ho, matloob agar rakhna Halaat wo daikhay haiN, bardasht na ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Na apni khabar rakhna, na un ki khabar rakhna Pindaar-e-muhabbat ho, matloob agar rakhna Halaat wo daikhay haiN, bardasht na ho paayeN Seekha hai muhabbat maiN, paththar ko jigar rakhna BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna Is dil se mere Maula! khwahish hi miTa dena Tu meri duaaoN maiN, itna to asar rakhna DanaaoN ki danayee, barbadi-e-dunya hai Aye mairay dil-e-nadaaN, tu mujh pe nazar rakhna Ghar ko jo kia sehra, to sab ka bura hoga Ab mujh ko ghaneemat hai, sehra ko hi ghar rakhna Jab wo na Saraab aaye, tum jaaN se guzar jao Wo bhool gaye wada, tum yaad magar rakhna
__________________ ******************** ******************* MaiN bulata to hooN usko magar aye jazba-e-dil Us pe ban jaye kuch aisi ke bin aaye na banay (Ghalib) |
|
#2
| |||||
| |||||
| baei subhanAllah.... wahhh... kya baat hy ji... Saraabs bhai khoob ghazal kahi hy... bohat lutf mila... baei kya kehny haiN is sheir k to: BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna goya apni riwayat berqaraar rakhty hu'ay aap ne choNkany ka saman kr hi liya... sari ghazal hi pr meri janib se dhairoN daad qubool kreN, Allah Taala aap ko aur ziada nawazy... khush raheN aabad raheN....
__________________ tu na jadoN paas channaN! key ay saady paas way, din vi udaas saady, rataaN vi udaas way, luT gya chain sadaa, rus gye hassay way, khushiaN ny dur nssiaN... akhaN cham cham wssiaN!!! |
|
#3
| |||||
| |||||
| zABARDAST jANAB kIA kEhNe hAIN
__________________ N @ R @ z ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
Aik Shair Itni Umdagi Say Likha Hay Kay Jitni Tareef Karoo'n Kam Hay...Mujhay Aap Ki Yeh Ghazal Bhi Bouhat Pasand Aai...Bouhat Daad Qubool Kijiye...![]()
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
![]() bhaee wahhhhhhhh... kamal kartay haiN aap bhi... intahaiii khubsoooorat ghazal rahi yeh bhi... BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna wahhhhhhhhhhh... la jawaaabb... la sawaal bhi ![]() bohat khush rahiye
__________________ ![]() . . . Mere dil.. Mere musaafir..! |
|
#6
| |||||
| |||||
| bohut khubsurat ghazal kahi he saraab sahab, daad qabool kijye, |
|
#7
| |||||
| |||||
| Halaat wo daikhay haiN, bardasht na ho paayeN Seekha hai muhabbat maiN, paththar ko jigar rakhna BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna Ghar ko jo kia sehra, to sab ka bura hoga Ab mujh ko ghaneemat hai, sehra ko hi ghar rakhna Jab wo na Saraab aaye, tum jaaN se guzar jao Wo bhool gaye wada, tum yaad magar rakhna ============ wah janab kya hi kehney hain, bhuat umdah rahi ye kawish, mazeed ka intezar rahey ga. keep sharing
__________________ ( Saqib Sahili ) Jo bhi hai magar kyun hai, ek bar bata dey Mery pas tery na hone ka koi to sabab ho |
|
#8
| |||||
| |||||
| BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna Ghar ko jo kia sehra, to sab ka bura hoga Ab mujh ko ghaneemat hai, sehra ko hi ghar rakhna bhayi wah!!!!!!! kaya kehney aap ki is khoobsurat ghazal ke,har aek sheir ne be had lutf diya,lekin mundarja baala ashaar ne to sehar taari kar diya,bahot khoobsurat janaab, dheron daad qabool kijiye is khoobsurat ghazal par, ![]() ALLAH karey zor-e-qalam aor ziyaada, ![]() bahot khush rahiye, ![]()
__________________ ![]() |
|
#10
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ ******************** ******************* MaiN bulata to hooN usko magar aye jazba-e-dil Us pe ban jaye kuch aisi ke bin aaye na banay (Ghalib) |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| asar, jigar, nazar |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| "Mohabbat Chup Nahi Rehti" Farhat Abbas Shah" | JawadG | Ghazal | 13 | 06-11-2008 05:48 AM |
| Bhula De Mujh Ko | yasiraq | Ghazal | 5 | 03-06-2008 08:52 PM |
| Us ke lagte heN ye aNdaaz niraale mujh ko | shoog | Nazam | 6 | |