It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ashk Ruke tow sahra ho ga within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Sathiyo Aek aur Kawish aap sab ki nazar. Ara'a ka intezar rahey ga 1. Ashk ruke tow sahra ho ga ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Sathiyo Aek aur Kawish aap sab ki nazar. Ara'a ka intezar rahey ga 1. Ashk ruke tow sahra ho ga beh nikle tow deryaa ho ga 2. Jab bhi chaand ko dekha ho ga Us ney mujh ko socha ho ga 3. Raah badal li us ney apni Raah mein mujh ko dekha ho ga 4. dekhna tujh ko, milna tera Khawab kahan ye poora ho ga 5. Kon yahaN aata hey pagley dekh le mur ke saaya ho ga 6. Laila baal bakherey nikli MajnooN ban mein roya ho ga 7. Umr bita ke hijr ke ban meiN Wasl ka bas ik lamha ho ga 8. Tujh sey bicher ker dil ka panchi daali daali roya ho ga 9. Sham-e talab sey subh-e fana tak Dil ka safar bas itna ho ga 10. Dushman jis ko maar na paaey Us ko yar ney maara ho ga 11. Thora jhoot mila len is mein sach tow bohat hi kerwa ho ga 12. La hasil hey shikwa phir bhi Dil ka bojh tow halka ho ga 13. Tukrey dil ke chun lo khud hi wo tow jag meiN uljha ho ga 14. kaisey kahun wo mera naheen hey aur bhala wo kis ka ho ga Qamar Zaman |
|
#2
| |||||
| |||||
| dekhna tujh ko, milna tera Khawab kahan ye poora ho ga Tujh sey bicher ker dil ka panchi daali daali roya ho ga wah Qamar Zaman Sahab, achi ghazal kahi ap ne, rawaN mager choti behr ki is ghazal k sabhi ashar pasand aa'ay, mager oper likhy do shair to bohat hi khoob haiN... itny kam gunja'ish meiN mazmoon ko smaitna khasa kaThin kam hota hy, mager ap ne achy andaaz meiN nibhayaa... isi trha likhty aur ham se share krty raheN, Allah Mola ap ko shaad-o-aabad rakhy.... dua-go faizan Ahmad.
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| kaisey kahun wo mera naheen hey aur bhala wo kis ka ho ga.... wahhh...bohat khoob tamaam shair he shandaar hain lakin ye shair bohat acha laga dad qabol kijiye ga ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Ashk ruke to sehra hoga Beh nikle to darya hoga Matla hi ghazab ka kaha hai...mashaAllah...a ur uske baad poori ghazal hi ghazab dha rahi hai....khaas kar ke ye ash'aar Tujh se bichaR kar dil ka panchi Dali dali roya hoga Shaam-e-talab se subh-e-fana tak Dil ka safar bas itna hoga TukRe dil ke chun lo khud hi Wo to jag maiN uljha hoga Bhai ye ghazal bhi "Bik chuke saare raazdaaN kab ke" ki tarah shandar hai...aap mashaAllah bohot achche shaire haiN...keep it up
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#5
| |||||
| |||||
| Mohtaram Qamar saheb, Aap ki ghazal buhat pasand aayee choti behr aur saada alfaaz mein likhay gayay ashaar daikh kar lagta tu yehi hai keh aisa likhna buhat aasan hai magar jannay waalay jaantay hain keh yeh raah aasan nahin. Buhat saari daad hazir hai. Anis Hasan |
|
#6
| |||||
| |||||
| Faizan Saheb: Ghazal ki pazeeraai ka shukria. Aaj kal jaaney kyun choti behr sawar hey khasey arsey sey. Aap ka likha sahi hey ke kafi mushkil hota hey is behr mein mazmoon ko sametna. Isi waja sey kuch achey khayalat reh bhi jaatey hein, naheen aatey choti behr ke ehatey mein. dad ka bey had shukria Kher andesh Qamar |
|
#7
| |||||
| |||||
| bohut khubsurat ghazal kahi , mubarakbaad qabool kijye, shukriya |
|
#8
| |||||
| |||||
| ashk ruke to sahra hoga bah nikle to darya hoga is chhoti bahar ki khoobsoorat ghazal ke sabhi ashar kamalke hain.aap ki yeh ghazal behad pasand aai.buhat sari daad ki mustahiq hai yeh ghazal. |
|
#9
| |||||
| |||||
| Kanwal Saheba: Is ghazal mein mujhey bhi ye sher bey had pasand hey. Dad ke liye shukria Kher andesh Qamar Zaman |