It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; My New Poem Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do Aah mai'n phir wo asar lot k aa lainay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| My New Poem Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do Aah mai'n phir wo asar lot k aa lainay do Meri dunyaa bhi to ghaafil thi mujh se aaj talak Abb k mujh ko meri dunyaa ko bhulaa lainay do zindagi bharr to kaee log nibhaayaa hai'n karai'n Hum pe ik baar zaraa mo'ut ko aa lainay do Saans ki dorr ki kyaa baat kiyaa kertay ho Hum ko dhaagaa koee mazboot banaa lainay do Dardd sehnaa bhi to aasaa'n thaa, sahaa kertay thay Sho'uq se apnaa lahoo aaj bahaa lainay do Darr pe un ke kharay kharay he phirr se shaam hui Un ko ik baar to chokhatt pe tum aa lainay do Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do Ab to bay-zaar si dunyaa ye nazar aati hai Apnay ash'aar bhi Sajid ko sunaa lainay do Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail .com) |
|
#2
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Sajid Raheem saahib ... Tamaam aSh'aar khoobsurat haiN ... Bohot pyaarii ghazal kahii hai aap ne :clap5 Qassim Mirza :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Welkom to Hg ![]() Ghazal bohut khub kahi hai app nay Khush Rahiyea Abaad Rahiyea @};-
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Bohat khub............. ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Asslamo alikum sajid pehli bata to yeh k yeh nazam(poem) nahin balkay mere khyal main aik ghazal hai aur ghazal waqai aap ne dil moh lene wali likhi hai bohut khoob poori ghazal hi zabar10 hai magar khass tor par yeh line be hada chhi lagi Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Assalamualaikum... well, 1st of all thanks alott forliking the ghazal.. And.. ya definitely it is a ghazal.. i'm sorry I didnt take care of that column in any of my posts.. I'll be careful next time Hoslaa afzaaee ka bohot shukriyaa Duaao'n mai'n yaad rakhiyay gaa |
|
#7
| |||||
| |||||
| Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do wahhhhhh .. sajid sahib...yaqeenan.. iss umdah ghazal ke liye aap bohat si daad-o-tehseen ke mustahiq hein.. so daad haazir hai .. qabool kijiye.. Pesh kernay ka Bohat Shukria.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#8
| |||||
| |||||
| Bauhat umdah jee ![]() thanx 4 sharing ![]()
__________________ ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi bht khoob (Y) likhtey rahiye khush rahye ![]()
__________________ Daawa.e.ishq na kr k hai ye wo payala.e.meh labo'n sey chootey hi jo sookh jata bi ho |
|
#10
| |||||
| |||||
| jnab achy khyaalat haiN aap ke.... ghalzal achi hy magar ye do ashaar to hasil'e ghazal lagy mujhy: Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do Aah mai'n phir wo asar lot k aa lainay do Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do is achi ghazal kehny pr daad kabool ke'ji'ay.... aur yunhi likhty rahi'ay and sher krty rahi'ay.... Allah Mola aap ko bohat ata kary....
__________________ tu na jadoN paas channaN! key ay saady paas way, din vi udaas saady, rataaN vi udaas way, luT gya chain sadaa, rus gye hassay way, khushiaN ny dur nssiaN... akhaN cham cham wssiaN!!! |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| apnay, ashaar, dardd, jagaa, lainay |
| Thread Tools | |
| |