It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aik Ghazal within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Apni nayee ghazal aap tamam sathion ki nazr kar raha houn parh kar apni qeemti raey say zaroor aagah kijiey ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Apni nayee ghazal aap tamam sathion ki nazr kar raha houn parh kar apni qeemti raey say zaroor aagah kijiey ga. Behtay huay ashkon ki rawani say hua hai Kuch dukh ka madawa isi paani say hua hai girtay hain jo paton ki tarah dil mein ab aansoo yeh yaad ki ik baad-e-khizani say hua hai ab daikhiey is qissay ka anjam kahan ho aaghaz tu meri hi kahani say hua hai ab tak meri pehchan jo mitnay nahin payee yeh bhi kisi mit'ti si nishani say hua hai yaadon kay jazeeray mein buhat dukh tu thay laikin dukh aur siwa naql-e-makani say hua hai us nay tu kabhi ki hi nahin baat koyee bhi jo bhi hua khamosh bayani say hua hai khali hain jo ab tak meray alfaz asar say yeh sab meri napukhta bayani say hua hai |
| The Following 2 Users Say Thank You to Saukhta_Jaan For This Useful Post: | ||
kanwal Hussain (07-12-2008), Mayyaa (06-16-2008) | ||
|
#2
| |||||
| |||||
| zabrdast............ Bahut khoob.......... exellent..........
__________________ |
|
#3
| |||||
| |||||
Ghazal Mujhay Bouhat Pasand Aai...Sab Say Ziyada Mujhay Maqta Pasand Aaya Hay...Bouhat Daad Qubool Kijiye... ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| us nay tu kabhi ki hi nahin baat koyee bhi jo bhi hua khamosh bayani say hua hai Bhai wah....kia kehne hain....subhanAllah. ..bohot bohot ziada daad qubool kijye
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay (Qabil Ajmeri) |
|
#5
| |||||
| |||||
| Behtay huay ashkon ki rawani say hua hai Kuch dukh ka madawa isi paani say hua hai very nice jee. |
|
#6
| |||||
| |||||
| jo bhi hua khamosh bayani se hua hai saukhta_jaan ji kya murassa ghazal kahi hai maza aa gaya--mashaallah |
|
#7
| |||||
| |||||
| wah g kia bat hy shaukat sahib lutf aya haqeeqatan ghazal kahi hy ap nay [i]khali hain jo ab tak meray alfaz asar say yeh sab meri napukhta bayani say hua hai kia munkasir mizaji hy bahrhal qabil e dad o tehsin .... |
|
#8
| |||||
| |||||
| Buhat Buhat shukriya. |
|
#9
| |||||
| |||||
| Ghazal aap ko pasand aayee tu mehnat wasool hui aap ka behud shukriya. |
|
#10
| |||||
| |||||
| Buhat shukria janab aap tu khud itnay umdah shayar hain aap ki zarrah nawazi hai. |