It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Dosto aik english poem se mutaa'sir hoker aik taazaa nazam kahii hai ... Haazir e khidmat hai ... Nazam thoRii ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() Dosto aik english poem se mutaa'sir hoker aik taazaa nazam kahii hai ... Haazir e khidmat hai ... Nazam thoRii taveel hai bardhaaSht kee jiay ![]() ~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~ fajr ka waqt tha darvaaze pe aayaa koi Kaun aayaa hai yeg saa'il se kiya uss ne savaal lamhaa guzraa tha naheiN kaanoN meN aawaaz paRii Malakaul maut hooN darvaazaa zara khol apna baat yeh sun kay zameeN pairoN se sarkii uss kay thaa paseenay k samandar meN saraapaa Doobaa bas isee haal meN puhnchaa hai woh zaujaa k qareeN uss se kehta hai k mujhko tu bachaalay iss say aur palaTker yeh kahaa rote huvay uss ne phir Malakul maut tujhay waasta Allah ka hai baKhShday jaan merii lauT jaa Maalik k paas mere bachche, merii biiwii ko saNmbhaalega kaun? bas maiN ik aur hee mauqe ka talabgaar hooN ab Malakul maut ne phir se hai kiya dak.ul.baab uss pareeshaan se bande ko woh samjhaane lagaa jism meN rooh jo tere hai yeh paa'ii jaatii hai amaanat tere Allah ki mat bhoolna yeh apni marzii se fariShtaa naheiN jaataa dar dar marzii-e.Rab se tere dar peh meN aayaa hooN aaj Yeh khabar sun kay bohot dair thaa royaa woh ShaKhs rote rote woh bayaaN kernay lagaa dil kii baat Malakul maut mujhay maut se Dar lagtaa hai maiN teri gaud meN dunyaa k khazaane rakh dooN aaj se teri GHulaamii meN jeeooNga maiN to dhool qadmoN ki tere dhokay peeooNga maiN to uss fariShtay ne muhabbat se phir ik baar kaha waqt hai ab bhii k andar tu mujhay aane day dekh kehta hooN jo andar naheiN aane dayga toRker ghar ka yeh darvaazaa chalaa aaooNga ghar meN aate hee fariShte ne yeh manzar dekha haath meN pakRe woh bandooq khaRaa hai buzdil kaaNmte haath se bandooq fariShte ki taraf ker k kehta thaa qareeN mere naheiN aanaa tu uss kii naadaani peh yeh hans k fariShtaa bolaa tu samajhta hai k dhamkii se Daraa dayga mujhay? aslahaa kaam fariShton meN naheiN kerta hai saamne rab jhukaa'ayga agar apna sar rooh aaraam se phir tan se nikal paa'aygii mujhko batlaa k tujhay khauf hai kiss baat ka ab apne Maalik ki taraf lauTkay jaataa hai tu aay fariShte tujhay batlaata hooN kyuN Dartaa hooN SHarm aatee hai mujhay kehte huvay tujhse yeh naam Allah ka ik baar bhii lay paaya naheiN subh se shaam talak maiN ne kamaa'ii daulat tandurustii ka bhi hargiz na rakhaa maiN ne khayaal maiN Khudawand k ehkaam se bhii door raha zandgii bhar meN kabhii bhi na paRii maiN ne Namaaz Maah-e Ramzaan meN roze na rakhe maiN ne kabhii log "Al Haaj" pukaaraiN yeh tamanna thi magar thaa junooN aur bhii paisa hai kamaanaa mujhko waastaa tujhko Khudaa ka hai dua sunlay merii saal do saal mujhay aur tu jeelaynay day paak QuraaN ki tilaavat maiN shuruu kerdooNga aik hee baar sahii Haj bhi kerooNga pooraa roze mujhper jo haiN vaajib woh rakhooNga poore maiN ghareeboN meN taqseem kerooNga daulat aaj se khums nikaalooNga yeh waadaa hai mera Malakul maut ne yeh arz sunii phir yeh kahaa maut her aik kii qismat meN likhii hai aasii chaahe woh baap ho, maader ho ke bayTaa bayTii maiN samajh sakta hooN kiss baat se Dartaa hai tu faa'idaa aansoo bahaane se naheiN koi bhi ab tu jeeaa hai to faQat paisa kamaane k liay aik se aik mehel apna banaabe k liay tu ne maaN baap ki izzat bhi kabhii kee hee naheiN naa kabhii tu ne ghareeboN ko khilaayaa khaanaa baawajood iss k musalmaan banaataa sab ko teri aulaad he iss deen k qaabil na rahii tu ne Quraan sajaavaT k liay ghar meN rakhaa umr bhar jhooT hee ka layka sahaaraa tu jiaa Malakul maut mera aaKhrii tujhse hai savaal kya musalmaan har ik jaata hai jannat meN bataa? hHans kay bola k tera daaKhila jannat meN naheiN vaaste tere jhannum k haiN darvaaze khulay zindagii bhar ki tujhay dee thi khuda ne mohlat waqt ab lauTkay jaane ka tere aayaa hai aik dam roke jo bister se uThaa woh banda jism meN zuaf sa mehsoos kiya uss ne aur ho kay be.jaan zameeN peh woh giraa muNh k bal ... Qassim Mirza Ali :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| Jee nazar se guzri hai wo poem...........zehan bata raha hai....aapne achi tarhan usko urdu nazm ke uslub me dhala......... ![]()
__________________ |
|
#3
| |||||
| |||||
| ohhhhhh kia likha hia app nay bohat bohat umdha manzer kashi ki hai app nay boaht bohat acha likha hai Allah app ko is ka silah day ga kay app nay logoon ki ankhain kholnay main bohat acha qadam uthaya hai bohat bohat ziada doaaon kay sath jahan rahian boht bohat ziada khush rahian imran
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| wah qassim behud haseen ... bohat bohat haseen kya sabaq amoz nazm kahi hai tum nay.. dili daad qobool karo jetey raho khush raho hamesha aur Khuda karey zor-e kalaam aur zayada
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |
|
#5
| |||||
| |||||
| Bohut Hii Khoobsorat,,,,,,,,@} ;- Likhtey Raho Khush Raho Sadda@};-
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Aap Ki Likhi Is Nazm Ki Tareef Kay Liye Mairay Paas Koi Lafz Nahi Jo Kay Tehreer Karoo'n.. Roz-e-Rowshan Ki Tarha Ayaa'n Baat Ko Aap Jis Tarha Daera-e-Tehreer Mai'n Laey Hai'n Us Ki Jitni Tareef Ki Jaey Kam Hay...Allah Aap Ko Mazeed Bouhat Umda Likhnay Ki Towfeeq Inayat Karay Ameen... ![]()
__________________ |
|
#7
| |||||
| |||||
| Khoob Bohat Khoob......... Acha Andaz Hai........ Likhte rehie or dhairon dal kubool kijie........ |
|
#8
| |||||
| |||||
| bahot khoob Qasim bhahi,achhi nazam kahi aap ne,daad qabool kijiye, ![]() wese hazoor aaj kal ghaaib kahaan hain,bahot kam nazar aate hain?sab kheriyat to hai na? bahot khush rahiye. ![]()
__________________ ![]() |