It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aakaash within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; AANKHON MEIN EK SAPNA!!!!!! Aankhon mein ek sapna jagta hai raat bhar Dil yeh pagal mera tarapta hai raat bhar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
| AANKHON MEIN EK SAPNA!!!!!! Aankhon mein ek sapna jagta hai raat bhar Dil yeh pagal mera tarapta hai raat bhar Aandheron mein bhi yeh darechay chamaknay lagtay hain Ek jugnoo sa jhilmalata hai raat bhar Roshani kaye huay sunni raaton mein meri Roshan ek diya sa jalta hai raat bhar Rahon mein woh bhatak na jaie kahein Yeh sooch kay chand bhi chamakta hai raat bhar Woh ek hassien ehsaas ki manad hai jo Chand mein rahe kay mujhe deikhta hai raat bhar Ajnabi aahaton ko sunta hoon tuo soochta hoon Kaun hai jo aakhir pukarta hai raat bhar Ek yaad hai jo aab bhi zahein nashee hai meray Ek kheyaal hai mujhe rulata hai raat bhar Woh yaad kabhi kabhi aa hee jatay hain Dil jin rishton ko bhulata hai raat bhar Woh meray jeewan ka khisa hai aab tuo Dharkan ki manad dharakta hai raat bhar Mein aus ko keisay bhoolon meray saath harpal Meray saye ki tarhan jo reitha hai raat bhar Millay tuo phir na janay doon ga aus ko kahein Dil apna jis ko yaad karta hai raat bhar Meray dil kay hassien aangan mein mani Yaadon ka ek badal barasta hai raat bhar AANKHON MEIN EK SAPNA JAGTA HAI RAAT BHAR…!
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla Last edited by aakaash; 09-27-2007 at 08:07 PM. Reason: AANKHON MEIN EK SAPNA |
| The Following User Says Thank You to aakaash For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#2
| |||||
| |||||
| CHERAY...... Khamosh rethien hain nighahien aksar sub kuch kar detay hain beyaan cheray hain hum nay bhi deikhain hain yahan kuch anjaan tuo kuch badguman cheray kuch dewanay ho jatay hain pyaar mein tuo kuch kartay hain pyaar nadaan cheray nafraton ki pheli es duniya mein ho jatay hain kaye khuda cheray kuch tuo milnay kay baad bhool say jatay hain kuch ban kay mani reithay hain apni jaan cheray |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#3
| |||||
| |||||
| KHUSHIYON KA NAUSAM GHAMON KA MAUSAM Khushiyon ka mausam ghamon ka mausam Sambhalay rakhta hoon hassien lamhon ka mausam meray weeranay mein aye kaash phir say Kahein say aa jaien dilkash nazaron ka mausam Woh phool woh kaliyian woh raks karti khushboo Yaad aata hai woh mehaki baharon ka mausam meray khal o khand ko roshan kaye rakhta tha Chamakta hua woh chand sitaron ka mausam kitna hassien tha teri chahaat ka sama woh Kya khoob tha woh teri aadayon ka mausam wafayon ka daur tha kabhi es dunia mein Aaj kahan milta hai wafayon ka mausam aab tuo faqt ek yaad ban chuka hai Meray tamam kheyaalon khuwabon ka mausam pehal chuka hai aab tuo har soo har tarf Hijr ka mausam nafraton ka mausam mujhe maloom hai naaab aaye ga kabhi Woh kaliyon ka woh phoolon ka mausam pyaar mein hara hoon magar yeh yaqeen hai aab bhi aaye ga phir ek din khushiyon ka mausam mera sukoon o qarar lay gaya hai woh Jeisay samjha tha apni rahaton ka mausam phir esi aas mein hoon mein jana mill jaie kahein raha pay teri qurbaton ka mausam meray chand kay na honay kay sabab aab tuo jajta nahi mujeh ko ujalon ka mausam har mausam aa kar laut jata hai lekin jata nahi kabhi yeh zulmaton ka mausam Koi aus ko ja kay itna kahe day mani Lauta day woh mujeh ko meri chahaaton ka mausam KHUSHIYON KA MAUSAM GHAMON KA MAUSAM AAKASH(NICK NAME MANI |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#4
| |||||
| |||||
| TUM YAAD AATAY HO Gham e sham jab dhalti hai tuo tum yaad aatay ho Mehaki hawa jab chalti hai tuo tum yaad aatay ho Phelay huay andheron mein weeranon mein shama jab kabhi jalti hai tuo tum yaad aatay ho jab kabhi dooor kesi gulshan mein koi kali khilti hai tuo tum yaad aatay ho aus tanha kalay ufaq pay jab kabhi chandni chamakti hai tuo tum yaad aatay ho sadyon say tuo barsat barsi nahi aab jab kabhi barasti hai tuo tum yaad aatay ho aab tanha sa reitha hoon magar kia karoon jab milnay ko jaan tarasti hai tuo tum yaad aatay ho weeranon kay es mausam mein kahein roshni jalti dikhti hai tuo tum yaad aatay ho tanha chaltay huay en rahoon pay kabhi zindagi jo muskura kay milti hai tuo tum yaad aatay ho TUM YAAD AATAY HO |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#5
| |||||
| |||||
| ANJANI YAADON MEIN KHOYA RAHA!!!!!! Anjani yaadon mein khoya raha raat bhar ek ajnabi sa chera meray dheyaan mein tha woh khushboo tuo bin batlaye hee laut gayee thi jis ka zikar kal shab saray gulistan mein tha mera pyaar khuwab bin jaie ga ek din yeh phelay say hee meray gumaan mein tha yaad aata hai jabkabhi tuo tarapta hai dil aazaab shamil jo hijr kay toofan mein tha jal jal kay ho chuka hai fana aab tuo woh dia jo roshan kabhi meray biyabaan mein tha aaj bhi detay hain apne ausi ka tana mujeh ko jo nuqs meray es dil e nadan mein tha musafaton kay baad jo khula saman tuo kia deikha ek ajnabi sa khat meray samaan mein tha wohi maan mein basa tha sukoon ban kay jo makeen ki tarhan es dil kay makaan mein tha roshan kar kay beitha tha har raat meri jo roshni ki tarhan woh taron kay shabistan mein tha jis ki talaash mein din raat laga daye mani woh bheroopia aakhir meray hee makaan mein tha --------------------------------ek ajnabi sa chera meray dheyaan mein tha mani |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#6
| |||||
| |||||
| RAAT SARD THI AUR TANHA THA MEIN Raat sard thi aur tanha tha mein apne hee kheyaalon mein lapata tha mein woh yaadien bhi chor gayien mujeh ko aakhir jin yaadon say kab ka jura tha mein manzil ka nishaan saaf dikhta tha wahan say ishq kay jis maur pay khara tha mein pyaar kar kay nibhana hai aasal cheez pyaar kar kay yeahi ek baat samjha tha mein aaj woh bhi anjaan ban gaya hai jis ko kuch arsa phelay kay jaanta tha mein woh log ajnabi ban beithay hain mujeh say kal tak jin ko apna maanta tha mein apnon say jo gham milla tuo ehsaas hua ghalt tha woh jo sub kuch soochta tha mein dunia ki bheer mein kho gayein hain kuch aeisay log jin ko kabhi dil say apnay chahaatha tha mein jo saza milli mujeh ko aus ka haq daar nahi tha masoom tha aur kuch khad tak nadaan tha mein bachpan kay woh pal bhi bichar gaye mujeh say jin kay sang haansta muskurata tha mein dukhon ki bhuchaar jab hoti thi dil pay gham e sham ki tarhan phir dhalta tha mein jab bhi deikhta tha pyaar ko ruswa hotay ek gham ki agan mein jalta tha mein kesi ko mera honay ki aarzoo thi kabhi kesi kay jeewan ka armaan tha mein ghamon ki inteha ho chuka hoon aab kabhi rahaton ka samaan tha mein dost kabhi kesi ka hota nahi koi khud ko yeahi hamesha samjhata tha mein ek pal jab woh na milta tha mujeh say judayee mein aus ki tarapta tha mein hijr kay mausam mein jeisay toota hoon ab ki bar aeisay phelay kabhi na toot kay bikhra tha mein jeewan kay jeisay badal sa gaya tha jab mohabat say pheli baar rahon pay milla tha mein gheiron ki bewafayee ka pata tha lekin apnon ki sazishon say badgumaan tha mein es khalat mein hoon soochta hoon ek waqt aeisa tha kay bahut mahaan tha mein kesi ki aankhon mein basa nooor tha kabhi kesi kay hassien sapnon ka jahan tha mein jaanta tha dil ki basti ujray gi ek din par hijr kay toofanon say mani anjaan tha mein RAAT SARD THI AUR TANHA THA MEIN !!!!! |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#7
| |||||
| |||||
| HIJR KA DARD AUR TANHA DIL.......!!!!! Hijr ka dard aur tanha dil tanhayee mein mera dooba dil dooor talak phela hua hai yaadon say bhara shera dil keisay beyaan karoon aaj kal kitna hai yeh weeran dil ausi nay chora es ko jis ki chahaat mein tha khoya dil apni hee tanhayee mein aksar aus ki yaad mein roya dil jab deikha pyaar ko ruswa hotay tuo dil hee dil mein tarpa dil sub kay hotay es dunia mein hay kitna baybas akela dil gheir sahee yan phir apne sahee yeh baat ab tak na jana dil har ek lamha har ek ek pal aus kay pyaar ko tarsa dil woh bhi kho chuka hai kahein dia tha jis ko kabhi apna dil aab tuo khaal hua har ek say reitha ha ukhra ukhra dil aeisay aina bhi toota na hoga kabhi jeisay toot kar aab kay bikhra dil sub gaye meri surat pay magar kesi nay kabhi na deikha dil aaj woh hee bhool beitha issay tha jis ka kabhi deewana dil yuon tuo zindagi kay saath saath kabhi basa tuo kabhi ujra dil har maur pay milli ruswayee mujhe har maur pay mera toota dil dunia ki ajab uljhanon mein aab tuo sadyon say hai uljha uljha dil aus ki chahaat mein ab tak zinda hain mein aur mani mera dil hijr ka dard aur tanha dil ---------------------------------- |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#8
| |||||
| |||||
| EK ADHOORA AFSANA Meray dil kay kaye mukamil afsanon mein say !!!! ek afsana hai jo aab tak na mukamil hai.....adhoora hai !!!! Woh afsana jis say mansoob meri zindagi ki har ghari hai meri zindagi ka har lamha hai .....meri zindagani hai..... MERI KAHANI hai !!!!!!! Woh ek afsana !!!! adhoora afsana tum ho Jis ko aab shahid mein kabhi mukamil kar nahi sakta!!!! -------------------- |
| The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post: | ||
pinkrose1 (04-13-2008) | ||
|
#9
| |||||
| |||||
| ISHQ (A STORY OF LOVE IN ITS OWN WORDS!!!!!!) Mein deewangi banay deewanon mein reitha hoon jalti shama kay jaltay parwanon mein reitha hoon mein jhonka banay hawayon mein reitha hoon mein pani kay taeez dharon mein reitha hoon mein khuwab hoon har ek shaeir ka mein har lafz ki tarhan kitabon mein reitha hoon mein phool hoon tuo kabhi kali khushboo ki tarhan gulistanon mein reitha hoon mein khushiyon kay lamhon mein basta hoon mein gham kay afsanon mein reitha hoon mein chayon banta hoon tuo kabhi tapish ki tarhan sehrayon mein reitha hoon kabhi hota hoon mein chandni kay saath kabhi roshni ki tarhan taaron mein reitha hoon bhool jatay hain jo tareik jeewan ko mein mast aun mastanon mein reitha hoon tanhayee milti hai jahan aksar mein badnaam aun mhekhanon mein reitha hoon kabhi maan mein basta hoon mein tuo kabhi suuni suuni nighahon mein reitha hoon mein dharkanon mein basta hoon kabhi dil say nikli sadayon mein reitha hoon kabhi andhron mein bhatakta hoon mein kabhi mein weeranon mein reitha hoon kabhi yaad benaam ilfaaz say kartay hain log kabhi labon ki duayon mein reitha hoon mujhe mehsoos karnay walay kartay hain mehsoos mein mehaki huai baharon mein reitha hoon mujhe samjhay tuo samjhay aakhir koi mein pyaar ki daastan mein reitha hoon kabhi toot ta hoon mein khuwabon ki tarhan kabhi deevta ki manad aasmanon mein reitha hoon zamanay walay tuo aksar keithay hain yeh mein bekhabar hoon bayganon mein reitha hoon mujhe phoolon ka bistar milta hai kabhi mein tuo aksar kaanton mein reitha hoon kabhi mehakay mausamon mein basta hoon kabhi dard ki panahon mein reitha hoon kabhi shaam kay rang mein rangta hoon mein kabhi tanhayee kay aashiyanon mein reitha hoon mein MEIN kia aur zikar karoon ..... mein kia aur beyaan karoon ....... weisay tuo mera jeewan ek khuli kitaab hai !!!!! |