
04-06-2004, 11:11 PM
|
 | HG Club | | | Join Date: Jul 2003 Location: Karachi Age: 26
Posts: 443
Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 197 | |
Re: muHabbatooN ka ajeeb mela bikher raha hay chahaar janib | | Quote: |
Originally Posted by A'nchaL Hmmm
Thanks for The suggestion .........@};-
Hum wazan alwaaz hi to nahin chaheay hotay hain .........her shair aik mani rakhta ho ....phir koi khayal bhi umda ho aur .baat ho to wazan bhi ho us main .........
perhnay walay ko kuch to gehrai dikhay ..........Its an Art to write a Ghazal @};-
Nazam ki ajkal Khoob amad ho rahi hai ..........mashwara kiya doon bas yeh hai k koshish say nazam nahin hoti .......jab honi hoti hai Ho jati hai .......for that U have to have a thought ....some thing special !
Aap to experienced hain U write very good apki nazmain perhi hain ...MashaAllah zabardast hoti hain ............Main to is maindan main tifl ki manind hoon abhi . | hmm
bataiN to aapki kaafi sahi haiN, magar agar aap ham.wazan alfaaz per pahlay tawajju daiN to aashista aahista Khayalaat Khud hi bantay chalay jatayhaiN, Ghazal ka sab say baRa drawback yahi hay...
meray Khyaal maiN shairee kernay say pahlay, Khaas ker Ghazal kahnay kay liea do intihaye zaroori bataiN haiN.... awwal ye kah "KHyaal" ya "taKhyuul" ho.... aur doom ye kah wazan per buhut tawajju di jaye.... sirf KHyal ya sirf wazan say koi sher buhut acha sher nahiN hota..... phir wazan meiN jitna kirdaar baqi alfaaz ka hota hay utna hi qaafia aur radeef ka hota hay....
sher kahnay say qabal apnay zehen maiN wazn aur alfaaz ka aik saancha sa banana buhut zaroori hay, jis meiN aap kay alfaaz mukammal toor per samooye ja sakaiN.... aik lafz idher ka udher ho gya to geRbeR hay... Altaf Husain Haali kahtay haiN kah:
"qafia ka istimaal nihayeat Khushgawaar maloom hota hay, aur usko paRhnay say zabaan zyada lazzat mahsoos kerti hay... magar qafia aur Khaas.ker aisa jaisa kah shu'ra-e-ajam nay is ko nihaayat saKht qaidooN say jaar.band ker dia hay aur phir is per radeef izafa farmaye.... shair ko bila.shuba is kay faraiz anjaam dainay say baaz rakhta hay... jis tarah sanaai'.lafzi ki pabandi ma'ni ka KHoon ker daiti hay usi tarah balkah is say buhut zyada qafia ki qaid ada-e-matlab meiN faqeehi andaaz hoi hay... sha'er ko bajaye is kay kah awwal apnay zehen meiN aik Khyaal ko tarteeb day ker is kay liea alfaaz muhayya karay, sab say pahlay qaafia tajweez kerna paRta hay.... aur phir iskay munasib koi KHyaal tarteeb day ker is kay ada karnay kay liea aisay alfaaz muhayya kiea jaatay haiN jis ka sab say aKheeer juzw qafia mujawizza qaraar pa sakay...kiuN kah agar aisa na karay to mumkin hay kah KHyaal ki takmeel kay baad koi munaasib qafia baham na puhunchay aur is KHyaal say dast.bardaar hona paRay.... pas darhaqeeqat shai'r KHud KHyaal nahiN baaNdhta, balkah qaafia jis KHyaal kay baaNdhnay ki ijaazat daita hay, usi ko baandhta hay.... aksar Ghazal aur qaseedah meiN awwal aKheer misra' jis meiN qaafia baaNdha hota hay, andha dhund kisi na kisi mazmoon ka GHaR liea jata hay aur phir us kay munasib pahla misra' us per lagaya jata hay... sach ye hay kah she'r ko zyada KHushnuma bananay kay liea is meiN aik aisee qaid lagaani jis say she'r ki asleaat baaqi na rahay ba'eena aisee baat hay kah libaas ko zyaada KHush.numa bananay kay lea is ki aisee qata' rakhi jaye, jis say libaas ki i'llat-e-GHaai ya'ni aasaaish aur pardah donooN fout ho jaiN..."
umeed hay nuqta wazeh ho gya hoga....
KHush rahyea @};-
Nabeel |