
Meri kashti sahil par pahunch jaati dosto,
Gar toofaano ka raasta maine apnaya na hota,
Kuch aur din khushi se muhabbat me ji lete hum,
Gar HAL-E-DIL unko maine bataya na hota!
Na jalta mere khwabon ka aashiyana is tarah,
Gar shama ki aag ko maine aajmaya na hota!
ye jo log khade hain meri rahon me pathar lekar,
Gar vo saath hote to kisine pathar uthaya na hota!
Gar milana hi nahin tha mere yaar se mujhe khuda,
Ai kaash tune mere sine me dil banaya na hota!
Na tootata mera dil, na aate aankhon me aansu,
Gar nigahon me tera khwab maine sajaya na hota!
Kush hum bhi rehte, jindagi bhi gamon se dur hoti,
Gar ek tujhe apni duniya me maine basaya na hota!
Hans le tu aaj RAVI ki muhabbat ko thukra ke ai bewafaa,
Tujhe bhi dard hota Gar tere yyar ne tujhe apnaya na hota!
