Fasanay-e-shab-e-gham likhoon
Yah Daastan-e-Alam likhoon
Tou hi bataa aye doost
Kia naam-e-sanam likhoon
Bewafaiyun kaa zikr karoon
Zakhm-e-dil kaa gham likhoon
Gou ke hai yeh baat purani
Kia doostoon kaa zulm likhoon
Aik cheekh hai buland qehqahaa
Roota hoya tabassum likhoon
Naamoon kaa kia hai......... Talat
Unn ko main patthar ke sanam likhoon
