Re: ra'ay shumari - muqabla-e-Nazm goi June 08 | | 5- danmurfi
Nostalgia
wo ik khamosh si larki
wafa kay sahilon par
waqt ki nao mein bethi soch mein gum hai
kitab e zeest kay jo warq paltay hain
to mazi kay dhundhalkon sey kayi chehrey, kayi yadein
ubhar kar jagmagati hain
usey yeh ilm,
yadon kay saharey umr to guzra nahin karti
magar yeh khud faramoshi!
gham e dauran sey kuch pal jab churati hai
to janey kitney barson ki thakan aankhon mein aati hai
tabhi woh sabr, jo sail e rawan ko rok leta hai
Asasa hai...
kayi bay naam jazbon ka
kayi anjaan rishton ka
jo dil mein reh gayi us khush gumani ka
Kahani ka...
jo likhkhi thi wafa kay rahrawon ney
bey khabar anjam sey ho kar
Usey ik shajar e saya dar banna tha k jiski chhaon mein aakar
zamaney bhar ki sari shiddatein bhi maand par jateen
Ghata ban kar barasna tha jisey banjar zameenon par,
unhein zarkhaiz karna tha
woh gumgushta muhabbat
is jahan par raj karney keliye nikli to thi laikin
riwajon kay andheron mein najaney kis taraf bhatki
sabhi mausam bohat bay kaif kar daley
to in bay rang yadon ke saharey umr woh kesey guzarey gi
wo apni jaan sey haarey gi
__________________
-------------------------------------------------
Bedil libaas-e-zeest bohat deeda-zeb tha
aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya...
(Bedil Haidri)
Last edited by WanderingThoughts; 06-24-2008 at 05:15 AM.
|