2 - chalatmusafir
EK INTAZAR
kis rut kee dua le kar,
tere aane ki aas aabad karoN
kis shaam ka karoN sawera
kis dhoop se faryaad karoN
maiN aas ki tuti naao liye,
sard mausam maiN teri raah takoN
jheel, kinare bat kareN
kitaboN sang nibah karun
mausam ek sarmaya hai
jakar phir kab aaya hai
qadmoN maiN apne khaar lye
phooloN ke din yaad karoN
ek aas sajaye bethe haiN
kon sa mausam ayega
jab dur, usi shjr tale
tera hath pakad aram karoN