Quote:
Originally Posted by mazhar naqvi Dhoop ko saay say tabir kar lia main nay
Kashf e nayaab ko taskheer kar lia main nay
Ay hawa sham e ghariban ka azadar hun main
Phir charaghon ko bay tanvir kar lia main nay
Qatal gahon main lahoo apna bha kr mehfooz
Wirsa e parcham o shamshir kar lia main nay..
Us k kehnay pe fakat,jurm ka darja dy kar
Fikr ko qabil e taazir kar lia main nay…….
Ankh ka bheegta taweez na sookha mazhar``
Gham kay ehsas ko zanjeer kar lia main nay..
(mazhar naqvi) |
Assalamualaik,
kya baat hai kya hi baat hai...........
barey munfarid lehjey mein aap ney yeh ghazal kahi... aur murakkabat ka istemaal aap ki zuban par garift ka wazih suboot hai....bohut umda
Allah hafiz