Aik Ghazal | | Apni nayee ghazal aap tamam sathion ki nazr kar raha houn parh kar apni qeemti raey say zaroor aagah kijiey ga. Behtay huay ashkon ki rawani say hua hai
Kuch dukh ka madawa isi paani say hua hai
girtay hain jo paton ki tarah dil mein ab aansoo
yeh yaad ki ik baad-e-khizani say hua hai
ab daikhiey is qissay ka anjam kahan ho
aaghaz tu meri hi kahani say hua hai
ab tak meri pehchan jo mitnay nahin payee
yeh bhi kisi mit'ti si nishani say hua hai
yaadon kay jazeeray mein buhat dukh tu thay laikin
dukh aur siwa naql-e-makani say hua hai
us nay tu kabhi ki hi nahin baat koyee bhi
jo bhi hua khamosh bayani say hua hai
khali hain jo ab tak meray alfaz asar say
yeh sab meri napukhta bayani say hua hai |