mera ahsaas meri duniya mera dil tu hai | | Mere mahboob meri chahat meri manzil tu hai
udhas raahon mein tanha meri mahfil tu hai
koi saa'at teri aamad meri madhoshi ka baa'as
teri khushboo meri saansein, mera haasil tu hai
tammam umr talasha tujhe paaya hai ab jaakar
main hoon dariyan bechainiyon ka mera sahil tu hai
khilwat mein zindagi ki saya ho tera mujh par
main dhoop zindagi ki mera aanchal tu hai
kabi jo waqt ne ilzaam diya meri wafa par
mere hamraah tu har dam mera aadil tu hai
mere alfaaz na karpaayeinge chahat ki tarjumaani
mera ahsaas meri duniya mera dil tu hai.
..................BY SHAIKH TANZEEM............. |